Originally Posted by MY$T3R!OUZ Teri aankhon main, mere dil ka nakhsa ho bhi sakta hai Jise deewar samgha hai wuh, wuh rasta ho bhi sakta hai Zamana gour se daikhey, jisey is ne khuda samjha hai Woh is ke hath ka pather tarasha ho bhi sakta hai Nazar se door reh ker bhi, kisi soch main rehna Kisi ke paas rehney ka tareeqa ho bhi sakta hai Woh apni sard mehri se, mughey hud main to rakhta hai Mera hud se guzurney ka irada ho bhi sakta hai Bhari duniya ka maila sath ho to koun si mushkil Mager aik shakhs maile main akela ho bhi sakta hai Ye seedhi rah per chalna, kahan se seekh aye ho Ye rasta doosti ka hai, ye terra ho bhi sakta hai Main apney jism o jaan ko sath rehtey daikh ker samjha Nibhana ho jisey mushkil woh rishta ho bhi sakta hai uchalta, thokarain khata howa paani ka aik dharaa Tere dil tak pohanchney ka bahana ho bhi sakta hai Nikal ker band kamrey se zara baazar main aao Ager tum daikhna chaho, tamasha ho bhi sakta hai