Originally Posted by MY$T3R!OUZ Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood aankhon main aanso’on ko chupaya na jaa saka kuch log zindagi main aise bhi aaye hain jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar chehre ka rang us se chupaya na jaa saka tanhaiyon ki aag main hum jal gaye magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka Nice poetry ..