Batao kiya milla tum ko bhalla hm se khaffa ho kar?
Sunna hy tum bhi pareshan ho hum se judda ho kar,
Qasoor aakhir tumhara tha ya mera tha khuda Jaaney!
Kabhi ye baat sochen Ge phir Dono ek jagga ho kar,
Abhi tak yaad hai hum ko tumhara wo haseen wada,
Na tum Jee Pao Ge Duniya mein hum se be-waffa ho kar,
Jo hain boondein in Aankhon mein muhabbat ki hain soghaatein,
Yehi tohfay mile hain humain tum se ba-wafa ho kar...
Bookmarks