shadi card mein os ne likha
chand mujhe ilzam na dena
ab koi pegam na dena
dard ke is zalim sansaar mein
jis mein hum dono baste hain
jee lene ke sau raste hain
janam janam ki chahat kho kar
sab ki raza par raazi ho kar
kaante apne dil mein chibho kar
kisi ko khona hi parta hai
kisi ka hona hi parta hai
meri iss majboori ko tum
paspaee ka naam na dena
chand mujhe ilzam na dena
Bookmarks