o-bewafa aa sun zara meri rooh par guzaree’n jo qaya’amtain
mera dil dukha to bohat magar meray lub pe ab bhi gila nahi

tera bas na tha to kyu mujhay naye mousamoo’n ki naveed di
tu mujhay paeshgi mai jo de gya woh phool ab tak khila nahi

thi jin mousamoo’n mai teri wapsi mai ab bhi ho unka muntazir
par woh fasl-e-gul kahan rah gaye mujhay ab to kuch bhi pata nahi

tera raaz jo mujh pe na khul saka mujhay dosroo’n se pata chala
teray ehd-o-pemaa’n mai bharay huway kisi lafz mai bhi wafa nahi

teray dostoo’n mai tera bharm rahay yehi soch ke main chup raha
jo nigah mein tha woh chupa liya jo dil mai tha kisi se kaha nahi