1. #1
    Eshaal..'s Avatar
    Senior Member
    Nov 2010
    Islamabad, Pakistan
    1,051

    Kab kisi ne mohabbat mein socha hai ye..!!



    Kab kisi ne mohabbat mein socha hai ye
    Mein ne khoya tu kia aur paya tu kia
    Umer bhar tu wo mujh ko bhulaate rahe
    Ab mein Fazli unhein yaad aaya tu kia

    Khawab lafzon mein dhal nahi sakte
    Kaash ankhein para kare koi
    Log taskheer bhi hosakte hein
    Lafz dil se adaa kare koi

    Bikharne mein jo lizat hai simmat ker dhoondte hein
    Humein dekho ke sehraa mein samander dhoondte hein

    Mujh ko afsos nahi apne lahoo hone ka
    Tere gulshan ki bahaarein tu nikhar aayi hein

    Mot jab zindgi se behtar thi
    Hum ne wo waqt bhi guzaara hai

    Use der hai ke lakerein na kahein bol parein
    Is liay khol ke wo haath dikhaata bhi nahi

    Jis sooraj ki aas lagi hai shayad wo bhi aaye
    Tum ye kaho khud tum ne ab tak kitne diye jalaaye
    Apna kaam hai sirf mohabbat, baki us k kaam
    Jab chahe wo roothe hum se jab chahe man jaaye

    Dil ka nagar ujaarne wala hunar shanaas
    Ta'meer hoslon ki imaarat bhi ker gaya

    Urne do parindon ko abhi shokh hawwa mein
    Phir lot ke bachpan ke zamaane nahi aate

    Is qadar duniya ke dukh aay khoobsurat zindgi
    Jis tarah titli koi makri ke jaalon mein hai

    Jaga hua zameer wo aaina hai Qutail
    Sone se pehle roz jise dekhta hoon mein

    Yoon tu tark-e-tallaq se bhi simmat te hain ye rishte
    Tum ab bhi usi tarah qareeb-e-rag-e-jaan ho

    Aayi na thi kabhi mere lafzon mein roshni
    Per mujh se ye kamaal tujhe dekh ker hua
    Apne khilaaf shehar ke andhe hujoom mein
    Dil ko buhut malal tujhe dekh ker hua

    Bulandiun ki haqeeqat se aashna ho kar
    Bare khuloos se pusti khareed li mein ne

    Guftugoo karne ka kuch us mein hunar aisa tha
    Wo meri baat ka mafhoom badal deta tha

    Mohabbat rang hai aisa ke roke se nahi rukta
    Kabhi phoolon mein bikhre ga, kabhi taaron mein chamke ga

    Jab teri simmat chala tha tu ye maloom na tha
    Zindgi rah ki diwaar bane gi kese

    Bhool wo kab ke chuke the mujh se pemaan-e-wafa
    Wo tu mein khud dila ker yaad sharminda hua

    Hamdardiun ki bheek si dene lage hain log
    Yun apne dil ka haal na sab se kaha karo

    Tum ik charaagh ki khairaat de rahe ho mujhe
    Mein aftaab se daaman chura ke laya hoon

    Kia ye pathar dilon ka shehar hai
    Yahan sirf begaangi ki lehar hai
    Ek doosre ko kuch nahi de sakte
    In ke andar bahir sirf zehar hi zehar hai

    Ye na dekho ke mere zakham buhut kaari hein
    Ye batao ke mera dushman-e-jaan kesa hai

    Ye phool apni lataafat ki daad pa na saka
    Khila zaroor magar khul ker muskura na saka

    Mein sach kahoon gi magar phir bhi haar jaaoon gi
    Wo jhoot bole ga aur lajwaab kar de ga

    Dil se teri nigah jigar tak utar gayi
    Hairan hoon dil ko rouoon ya peeton jigar ko mein

    Husn-e-dil aara ki khaatir paayi ruswaayi buhut
    Hum ne apne ishq ki sachayi dikhlayi buhut
    Kia mile ga tujh ko zanjeer-e-rifaaqat tor ker
    Mein bhi tanha tu bhi tanha aur tamashaayi buhut

    Kabhi kabhi tu wo itna khayal rakhta hai
    Zara zara si tammana sambhaal rakhta hai
    Yahi tu baat hai us mein ke ranjishon mein bhi
    Sukhon ka sukh tu dukhon ka malaal rakhta hai


    The most precious gift we can offer anyone is our attention.
    When mindfulness embraces those we love, they will bloom like flowers.

  2. #2
    Mahn00r's Avatar
    !! ~~ VIP ~~ !!
    Dec 2010
    UAE
    5,273
    AWESOME

    kis kis line ko appriciate kroun ....
    bht achu poetry hai

    good selection dev...

    keep it up.

  3. #3
    Eshaal..'s Avatar
    Senior Member
    Nov 2010
    Islamabad, Pakistan
    1,051


    Anytime Noori ^_^


    The most precious gift we can offer anyone is our attention.
    When mindfulness embraces those we love, they will bloom like flowers.

  4. #4
    awesome's Avatar
    Senior Member
    Jan 2011
    96
    bohot time laga bhai parhny me

    but bohooooooooooooooot zabardast hy bhai thnxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

  5. #5
    CyCloNE's Avatar
    Senior Member
    Nov 2010
    379
    itna lamba ... ..but nice one ...thank you for sharing ^_^
    || ? ||

 

 

Thread Information

Users Browsing this Thread

There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

Bookmarks

  •