1. #1
    Nov 2010
    Chand
    1,074

    Chand ki Tamanai...

    Shehr-e-dil ki galion main ..
    Sham se bataktey hain ..
    Chand key tamanai ...
    Beqarar sudaee ...
    Dil gudaz tareeki..
    Jaan guzad tanhai ...
    Rooh-O-Jaan ko dasti hey ....
    Rooh-O-Jaan main basti hey ....
    Shehr-e-dil ki galion main ...
    Taak-e-shab Ki beeloun Per ...
    Shabnameen sarshikoun per ...
    Beqarar logoon ney..
    Beshumar logoon ney ..
    Yaad gar churi hey ..
    Itni baat thuri hey ...
    Sad hazar batein thin...
    Heela-e-Shika-e-baee ..
    Sooratoun kay zaibai ...
    Kaamatoun ki raanai ...
    In seyaah ratun main ...
    Eik bhi na yaad aei ..
    Jaaa bajaa bhataktey hain ..
    Kis Ki Rah taktey Hein ...
    Chand ke tamanai ....
    Yea nagar kabhi pehley ..
    Is qader na weeraan tha ..
    Kahney waley kahtey hein ..
    Kareeya aa nigaran tha ....
    Khair apney jeeney la ..
    Yea bhi eik samaan tha ...
    Ajj Dil main weraani ..
    Abar ban key girh aei ..
    Ajj dil ko kiya kahiye ...
    Ba wafaa na harjai ....
    Phir bhi loog dewaney ..
    Aa gey hain samjaney ...
    Apni wehshat-e-dil
    Apni wehshat-e-dil key...
    Bun liey Hain afsaney....
    Khush khyaal dunya ney ...
    Germiyaan tu jati Hain ...
    Yea rutein bhi ati Hain ...
    Jab malool ratun main ...
    Dostoon ki batun main ...
    Jee na chein paey ga ..
    Aur doob jaey ga ....
    Ahatun sey gonjey ge ...
    Shehar-e-dil Ki pehnai ....
    Aur chand ratun main ...
    Chandni key shedaee ..
    Her bahaney niklein gey ...
    Azmaney niklein gey ...
    Arzu ki geraee ....
    Dhondney ko ruswai ...
    Sard sard ratun ko ..
    Zard chand bakhshey ga....
    Be-hisaaab tanhai ....
    Be hejaab tanhai....
    Chand kay tamanai....!!!

  2. #2
    Sahaili's Avatar
    Senior Member
    Dec 2010
    777

  3. #3
    Nov 2010
    Chand
    1,074
    Thanks Sis

  4. #4
    Mahn00r's Avatar
    !! ~~ VIP ~~ !!
    Dec 2010
    UAE
    5,273
    bht achi poem hai
    thanks

  5. #5
    Nov 2010
    Chand
    1,074
    Thanks siso

 

 

Thread Information

Users Browsing this Thread

There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

Bookmarks

  •