Suno mein laut aya hoon
Meri batein, Meray waday
Mein apne saath laya hoon,

Suno meri dharkan mein
Wohi ik saaz bajta hai
Andaz meri baton ka
Tera andaz lagta hai

Khazaan k zard patton ko
Barf se sard mosam ko
Hijar ki garm aahon ko
Tanhai ki bahon ko

Suno Main chor aya hoon
Abhi jo sakt baaqi hai
Mera jo wqat baaqi hai

Meray sab gham sameto tum
Chand lamhay mujh ko de dalo

Mein sab rishtay
Sabhi natay
Sabhi bandhan
Sabhi dhage
Suno Mein tor aya hoon

Suno mein laut aya hoon
Suno mein laut aya hoon..!!