Bikhar rahi hai meri zaat usay kehna
Kabhi milay to yehi baat usay kehna

Wo saath thi to zamana tha hamsafar mera
Magar ab koi nahi mere saath usay kehna

Usay kehna k bin us k din nahi kat'ta
Sisak sisak k kat'ti hai raat usay kehna

Ussay pukaroon ya khud hi pohanch jaoon us k pass
Nahi rahe ab wo halaat usay kehna

Agar wo phir b na lotay to aye meharbaan
Hamari zeest k halaat usay kehna

Her jeet us k naam kar raha hoon main
Main manta hoon apni haar usay kehna...