wo kehti hai suno jana mohabbat mom ka ghar hai
tapish badgumaani ki kahin pighla na de is ko

main kehta hon k jis dil main zara bhi badgumaani ho
wahan kuch or ho to ho mohabbat ho nhi sakti

wo kehti hai sada aise hi kia tum mjh ko chaho ge
k main is main kammi koi gawara kar nhi sakti

main kehta hon mohabbat kia hai ye tum ne sikhaya hai
mjhe tum se mohabbat k siwa kuch bhi nhi ata

wo kehti hai batao kia mere bin ji sako ge tum
meri baten meri ankain meri yaaden bhula do ge

main kehta hon kabhi is baat par socha nhi main ne
agar ik pal ko bhi sochon to sansen rukne lagti hain

wo kehti hai tumhain mjhse mohabbat is qadar kion hai
k main ik aam si larki tumhen kion khaas lagti hon

main kehta hon kabhi khud ko meri ankhon se tum dekho
meri diwaangi kia hai ye khud hi jaan jao gi

wo kehti hai suno to ji bht baten banate ho
magar sach hai k ye baten bht hi shad rakhti hain

main kehta hon ye baten,fasaane ik bahana hain
k pal kuch zindgani k tumhare saath kat jaen