12345 ...
  1. #21
    Nov 2010
    USA
    3,447
    Aaya Ramzaan Ka Mahina Khafila Chala Soo-E-Madina

    Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina
    Mujhe bhi do izn-e-Madina aane ki Sarkare Madina

    Mujhe na aaya bulawa kitni hai dil me tamanna
    kash Aqa mai bhi dekh leta bahar-e-Ramzaan-e-Madina

    Meri qismat ko bhi Khudara Tum sajana
    Hasnain ke sadqe me dikhana baar baar Madina

    Kahaan jaun kahaan daman pasaroon mai Malik-e-Madina
    Aas lagai hamne Tumhare Dar se ae Shahinsha-e-Madina

    kaheen aisa na ho seene me dafn karke gham-e-Madina
    Mai duniya se chala jaon bin deed ke Madina

    Ghamaun ke sailab me dooba jaraha hoon Sultan-e-Madina
    LILLAH IMDAD ko aao meri Sarwar-e-Madina

    Iss saal zaroor mujh aasi ko Sarkar bulana
    Rauda-e-Anwar aur Gumbade Khizra dikhana

    Chamka kar meri aankhaun ko jalwa dikha dena
    Dekh loon aankh bharke Tum ko Shahe Madina

    Duniya ki mohabbat dil se nikal jae Aqa-e-Madina
    Rahe chashm-e-nam dil me bas gham-e-Madina

    Maana ke nahi qabil hoon jo dekhoon Tumhara Madina
    Phir laoon kahaan se wo aamal mai Sarkar-e-Madina

    Nahi jaber ke paas koi zar jo dekhe Pyara Madina
    Itna to ho Karam khabaun me ise dikhado Madina


    Ƭσʋт ƨα ɢαʏα нαι мɛяι cнαнαтσи κα ωαʝσσ∂

    Aαв κσι αcнα внι ℓαɢɛʏ тʋ нʋм ιʓнαя иαнι κɛятɛ

  2. #22
    Anjani's Avatar
    Star Member
    Jan 2011
    3,766
    Noori Mehfil Pay Chadar Tanni Noor






    Noori mehfil pay chadar tanni noor ki,
    Noor phela huwa aaj ki raat hai.



    Chandni mein hain dubay huwey do jahan,
    Kon jalwa numa aaj ki raat hai.




    Farsh per dhoom hai, arsh per dhoom hai
    Badnasibi hai uski jo mehroom hai,
    Phir milay gi yeh shab kisko maloom hai
    Aam lutfay Khuda aaj ki raat hai.



    Abray rehmat hai mehfil pay chaye huwey
    Aasman say malaik hain aaye huey
    Khud Muhammed hain tashreef laye huwey
    Kis kadar jaan fiza aaj ki raat hai.





    Manglo Mang lo chashme tar mang lo
    Dard e dil aur husn e nazar manglo
    Kamli wale ki nagri mein ghar manglo
    Mangnay ka maza aaj ki raat hai.




    Momino aaj ganj e sakha lutlo
    Lutlo aie marizo shifa lootlo
    Asiyo rehmat e Mustafa lootlo
    Babay rehmat khula aaj ki raat hai.





    Khoob honay do ashkoon ki barsat ko
    Do salami Muhammed ki barat ko
    Choom lo chum lo aaj ki raat ko
    Shab qadar kay guman aaj ki raat hai.





    Waqt laye Khuda sabh Madinay chalein
    Lutnay rehmatoon kay khazinay chalein
    Sabh ki manzil ki janib safinay chalein
    Meri sa’aim dua aaj ki raat hai.







  3. #23
    Dec 2010
    SpAIN
    11,277




    Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
    Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai



    Jahan Main Hain Ibrat Kay Har Su Namoonay
    Magar Tujhko Andha Kiya Rang-o-Bu Nay
    Kabhi Ghaur Say Bhi Yeh Dekha Hai Tu Nay
    Jo Maamoor Thay Wo Mehel Ab Hain Sooonay
    Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
    Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai



    Milay Khaak Main Ahl-e-Shaan Kesay Kesay
    Makeen Ho Gaye La Makaan Kesay Kesay
    Huey Namwar Bay Nishaan Kesay Kesay
    Zameen Kha Gayee NauJawan Kesay Kesay
    Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
    Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai



    Zameen Kay Huey Log Paiwand Kya Kya
    Maluk-o-Huzur-o-Khudawand Kya Kya
    Dikhaye Ga Tu Chand Roz Kya Kya
    Ajal Nay Picharray Tan-o-Mand Kya Kya
    Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
    Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai



    Ajal Nay Na Kisra Hi Chora Na Daara
    Isi Say Sikandar Sa Fateh Bhi Hara
    Har Aik Chor Kay Kya Kya Hasrat Sidhara
    Parra Reh Gaya Sab Yahin Khaat Sara
    Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
    Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai



    Tujhay Pehlay Bachpan Nay Barson Khilaya

    Jawani Nay Phir Tujhko Majnoon Banaya
    Burr`haapay Nay Phir Aa Kay Kya Kya Sataya
    Ajal Tera Kar Day Ge Bilkul Safaya
    Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
    Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai ..!!



    Yehi Tujhko Dhun Hai Rahun Sab Say Bala
    Ho Zeenat Nirali Ho Fashion Nirala
    Jiya Karta Hai Kya Yunhi Marnay Wala
    Tujhay Husn-e-Zahir Nay Dhokay Main Dala
    Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
    Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai ..!!



    Wo Hai Aaish-o-Ishrat Ka Koi Mehel Bhi
    Jahan Taak Main Khari Ho Ajal Bhi
    Bas Ab Is Jahalat Say Tu Nikal Bhi
    Yeh Tarz-e-Maishat Ab Apna Badal Bhi
    Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
    Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai



    Yeh Duniya-e-Fani Hai Mehboob Tujhko
    Hui ah Kya Cheez Marghub Tujhko
    Nahin Aqal Itni Bhi Majzoob Tujhk0
    Samajh Lena Ab Chahiye Khoob Tujhko
    Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
    Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai



    Burr`hapay Say Paa Kar Payam-e-Qaza Bhi
    Na Chaunka Na Cheeta Na Samnbhla Zara Bhi
    Koi Teri Ghaflat Ki Hai Inteha Bhi
    Chor Kar Apnay Hoshon Main Aa Bhi
    Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
    Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai ..!!



    Jab Is Bazm Say Chal Diye Dost Aksar
    Aur Uthtay Chalay Ja Rahay Hain Baraabar
    Har Waqt Paish-e-Nazar Hai Yeh Manzar

    Yahan Par Tera Dil Behelta Hai Kionkar
    Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
    ​Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai ..!!


    ———-//———-//———-//———-//———-//———-//———-
    ———-//———-//———-
    Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai———//———-

    ———-//———-//———-//———-//———-//———-//———-

    ​




  4. #24
    Jan 2012
    2,022


    Mein Tere Samne

    Allahu Allhoo Allah
    Allahu Allhoo Allah
    Allahu Allhoo Allah
    Mein Tere samne, main Teray samnay
    Jhuk raha houn Khuda, mera koi nahin Allah Teray siwa
    Mein Tere samne.


    Allahu Allhoo Allah
    Allahu Allhoo Allah.
    Main gunahgar houn, main siyah kar houn

    Mein khata kar hoon, mein saza war hoon
    Meray sajdoon mein Teri hee hamd o sana
    Mera koi nahin Allah Teray siva
    Mein Tere samne…


    Allahu Allhoo Allah
    Allahu Allhoo Allah
    Meri tauba hai tauba, aie mere illa
    Mujh gunahgar ko Tu na day na saza
    Meri aahoon ko sunlay aie hajat rawaan
    Mera koi nahin Allah teray siwa
    Mein Tere samne, main Taray samnay.
    Main to ghafar houn Tunay khud hi kaha
    Nahin koi nahin hai shehbaz gah
    Baksh doun ga mein tujh ko hai wada Tera…
    Bakh day ga hamein yeh hai wada Tera
    Mera koi nahin Allah teray siwa
    Mein Tere samne, mein Tere samnay.
    Mein Tere samne, mein Teray Samnay
    Jhuk raha houn Khuda, mera koi nahin Allah Teray siwa
    Mein Tere samne.
    Mein Tere samne.
    Mein Tere samnay.
    Main Teray samne.

    Last edited by SaRaH; 07-16-2013 at 04:35 AM.




    ~! PrinCesS SaRaH !~



  5. #25
    Jan 2012
    2,022

    Mere nabi ka naam

    jo bhi lega mere nabi ka naam
    dil se lega pyaare nabi ka naam
    us ka hoga saari dunya me naam
    unchi hogi saare aalam me shaan
    jo bhi lega mere nabi ka naam

    mein so jaawun ya mustafa kehte kehte
    khule aankh salle alaa kehte kehte
    jo uthun to kehta uthun ya mohammad
    jo bethun to salle alaa kehte kehte

    kate umr ya mustufa kehte kehte
    kaza aaye salle alaa kehte kehte
    jiye mustufa mustufa kehte kehte
    mare ham to salle alaa kehte kehte






    ~! PrinCesS SaRaH !~



  6. #26
    Anjani's Avatar
    Star Member
    Jan 2011
    3,766
    Hum Faqiroon Ko Madine Ki Galli Achi Lagi




    Khusravi achi lagi na, sarwari achi lagi,
    Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi.




    Door thay to zindagi bay rang thi be-kaif thi,
    Unkay kuchey main ga’ey to, zindagi achi lagi.

    Hum faqiron ko madine ki gali achi lagi….




    Main na jaun ga kahin bhi, dar Nabi ka chaur kar
    Mujh ko ku’ey Mustafa ki chakari achi lagi.




    Naaz kar tu aey Halima Sarwar-e-Kownain par,
    Gar lagi achi to teri jhownparhi achi lagi.




    Rakh diya Sarkaar kay qadmoon pay sultanoon nay sar,
    Sarwarey kown-o-makaan ki saadgi ach-chii lagi.




    Mahr-o-mah ki roshani mana kay achi hai magar,
    Sabz gunbad ki mujhey to, roshani achi lagi.




    Door rah kar astaan-e-sarwar-e-kownain se
    Zindagi achii lagiina bandagi achii lagii




    Aaj mahfil meinNiyaazi, naat jo maine parhi,
    Ashaqan-e-Mustafa ko woh barhi achii lagi




    Hum faqiron ko madine ki gali achi lagi….
    Hum faqiroon ko madinay ki gali achi lagi…




    Khusravi achi lagi na, sarwari achi lagi,
    Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi.





  7. #27
    Nov 2010
    Cervera, Cataluna, Spain, Spain
    6,419

    Uchiyan Uchiyan Sha ana, Mere Sohne Diyan




    Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
    Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
    Rab Aap banaya Ae, Gamkhwar Bara Sohna
    Rab Aap banaya Ae, Gamkhwar Bara Sohna
    Naale Khud Farmaya Ae, Mera Yaar Bara Sohna
    Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan



    Din Saare Hi Sohne Ne, Jaire Rab Ne Banaye Ne
    Din Saare Hi Sohne Ne, Jaire Rab Ne Banaye Ne
    Jairay Waar Nabi Aaya, O War Bara Sohna
    Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
    Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan



    Dushman Nu Dua Deway, Digiyan Nu Utha Deway
    Dushman Nu Dua Deway, Digiyan Nu Utha Deway
    Islam De Wali Da, Kirdar Bara Sohna
    Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
    Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan



    Sarkar De Mohnday Te, SHABBIR Pya Khaiday
    Sarkar De Mohnday Te, SHABBIR Pya Khaiday
    O Sawari Bari Sohni, O Sawar Bara Sohna
    Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
    Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan



    Har waar Maza Wakhra, Roze Di Ziyarat Da
    Har waar Maza Wakhra, Roze Di Ziyarat Da
    Sohne Da Bulawa Ae, Har Waar Bara Sohna
    Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
    Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan



    Dunya De Shehran De, Baray Sohne Nazare Ne
    Dunya De Shehran De, Baray Sohne Nazare Ne
    Har Sohne Tu Sohnay Da Ghar Baar Bara Sohna
    Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
    Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan



    Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
    Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan
    Rab Aap banaya Ae, Gamkhwar Bara Sohna
    Rab Aap banaya Ae, Gamkhwar Bara Sohna
    Naale Khud Farmaya Ae, Mera Yaar Bara Sohna
    Uchiyan Uchiyan Shaana, Mere Sohne Diyan






    ​




  8. #28
    Anjani's Avatar
    Star Member
    Jan 2011
    3,766
    Mohammad Ka Roza Qareeb Aa Raha Hai



    Mohammad Ka Roza Qareeb Aa Raha Hai
    Bulandi Pay Apna Naseeb Aa Raha Hai




    Farishto Yeh Day Do Paigham Unko
    Khabar Ja Kay Day Do Unko Farishto
    Kay Khadim Tumhara Saeed Aa Raha Hai




    Madina, Madina,Madina,Madina
    Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina





    Wafa Tum Na Dekho Gay Hargiz Kisi Main
    Zamana Wo Aisa Qareeb Aa Raha Hai
    Hifaazat Karo Apnay Iman-o-Deen Ki
    Zamana Wo Aisa Ajeeb Aaa Raha Hai




    Mohammad Ka Roza Qareeb Aa Raha Hai
    Bulandi Pay Apna Naseeb Aa Raha Hai




    Farishto Yeh Day Do Paigham Unko
    Khabar Ja Kay Day Do Unko Farishto
    Kay Khadim Tumhara Saeed Aa Raha Hai





    Madina, Madina,Madina,Madina
    Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina





    Madina, Madina,Madina,Madina
    Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina





    Tumhain Kuch Khabar Hai Kahan Ja Raha Hun
    Rasool-e-Khuda Hain Wahan Ja Raha Hoon
    Tumhain Kuch Khabar Hai Main Kya Pa Raha Hun
    Mohabbat Ka Unki Maza Pa Raha Hoon
    Chalo Ja Kay Rehna Madinay Main Ab Toh
    Qiyamat Ka Manzar Qareeb Aa Raha Hai





    Farishto Yeh Day Do Paigham Unko
    Khabar Ja Kay Day Do Unko Farishto
    Kay Khadim Tumhara Saeed Aa Raha Hai
    Kay Khadim Tumhara Saeed Aa Raha Hai




    Madina, Madina,Madina,Madina
    Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina




    Madina, Madina,Madina,Madina
    Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina




    Nigahon Main Sultaniyat Heech Ho Ge
    Jo Paye Ga Dil Main Payam-e-Madina
    Sukoon-e-Jahan Tum Kahan Dhonndtay Ho
    Sukoon-e-Jahan Hai Nizam-e-Madina




    Madina, Madina,Madina,Madina
    Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina




    Madina, Madina,Madina,Madina
    Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina





  9. #29
    Jan 2012
    2,022

    Qasida Burda Sharif

    Mawla ya salli wa sallim daa'iman, abadann
    'Ala habeebika khayri khalqi kullihimi.

    Muhammadun sayyidul kawnayni wath-thaqalayn,
    Wal fareeqayni min 'urbiw-wa min 'ajami.

    Nabiyyunal amirun-nahi fala ahadun,
    Abarra fi qawli la minhu wa la na'ami.

    Huwal habeebul-ladhee turja shafaa'atuhu
    Li kulli hawlim-minal ahwali muqutahimi.

    Da'a ilallahi fal mustamsi koona bihi
    Mustamsi koona bi hablin ghayri munfasimi.

    Faqan nabiyyina fi khalqiw-wa fi khuluqin
    Wa lam yudaanuhu fi 'ilmiw-wa la karami.

    Famablaghul 'ilmi feehi annahu basharun
    Wa annahu khayru khalqillahi kull
    ihimi.




    ~! PrinCesS SaRaH !~



  10. #30
    Dec 2010
    SpAIN
    11,277

    please









    Subha Ha Taiba mein hui bat’ta hai bara noor ka
    Sadqa laynay noor ka aaya hai tara noor ka
    Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah ..




    Jo gadha dekho liye jata hai tora noor ka
    Noor ki sarkar hai kiya is mein tora noor ka.
    Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah ..



    Mein gada tu badshah bhar day piyala noor ka
    Noor din duna tera day daal sadqa noor ka.
    Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah ..



    Sham’a dil mishqaat tan sina zujaja noor ka
    Teri surat kay liye aaya hai surah noor ka.
    Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah ..



    Teri naslay paak mein hai bacha bacha noor ka
    Tu hai a’ainay noor tera sab gharana noor ka.
    Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah ..



    Noor o binte, noor zojay, noor o umme, noor o noor
    Noore mutlaq ki kami zala hai ***lahma*** noor ka.
    Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah ..



    Nariyoon ka door tha dil jal raha tha noor ka
    Tum ko dekha ho gaya thanda kaleja noor ka.
    Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah ..




    Taj walay dekh ker tera imama noor ka
    Sir jhukatay hain ilahi bol bala noor ka.
    Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah ..




    Chand jhuk jata jidhar ungli uthatay mehad mein
    Kiya hee chalta tha isharoon per khiloona noor ka.




    Aie Raza achay raza sachay Raza meethay Raza
    Aie Raza murshad Raza piyaaray Raza meray Raza
    Aie raza yeh ahmade noori ka faize noor hai
    Ho gayi meri ghazal bhar ker qasida noor ka.
    Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah-Allah Allah

    ———-//———-//———-//———-//———-//———-//———-
    ———-//———-//———Qasida Noor
    -———//———-
    ———-//———-//———-//———-//———-//———-//———-






    ​




 

 
12345 ...

Thread Information

Users Browsing this Thread

There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

Bookmarks

  •