... 7891011
  1. #81
    Dec 2010
    SpAIN
    11,277

    please



    Rehmat Baras Rahe Hey Mohammad Key Sheher Mey

    Rehmat Baras Rahe Hey Mohammad Key Sheher Mey
    Har Shehey Mey Tazgi Hey Mohammad Key Sheher Mey



    Har Eik Bhar Raha Hey Yahan Damane Murad
    Makhlook Aa Rahe Hey Mohammad Key Sheher Mey



    Atey Hein Bakhshwany Gunahoon Ko Gunahgar
    Qismat Badal Rahe Hey Mohammad Key Sheher Mey
    Har Shehy Mey Tazgi Hey Mohammad Key Sheher Mey



    Dolat Sakoon Ki Har Jagha Hum Dhondty Rahey
    Akhir Ye Mil Gai Hey Mohammad Key Sheher Mey



    Har Simet Aa Rahe Hein Saday Darood Ki
    Eik Dhoom See Machi Hey MOhammad Key Sheher Mey



    Aey Sa Laga Key Samny Khud Aa Gay Hazoor
    Eik Naat Jab Parhi Hey Mohammad Key Sheher Mey



    Roshan Hey Jis Key Noor Sey Dono Jahan Riaz
    Aey Se Shaman Jali Hey Mohammad Key Sheher Mey



    Rehmat Baras Rahe Hey MOhammad Key Sheher Mey
    Har Shey Mey Tazgi Hey Mohammad Key Sheher Mey

    ———-//———-//———-//———-//———-//———-//———-
    ———-//———-//———-Rehmat Baras Rahe Hey ———//———-
    ———-//———-//———-//———-//———-//———-//———-


    ​




  2. #82
    Anjani's Avatar
    Star Member
    Jan 2011
    3,766
    Aa Jaaye Bulawa Mujhe



    Aa jaaye bulawa mujhe AQA Tere Dar se
    Jis Dar ki ghulaami ko to jibreel bhi tarse




    Paidal hi nikalte hain, masaafat ka nahin khauf
    Thakte hi nahin ham to Madine ke safar se




    Sunnat pe Teri chalne ka aa jaaye qareena
    Ye abr-e-karam kaash mere dasht pe barse




    Zarrah bhi lage gohar-o-almaas se badh kar
    Dekhe to koii khaak-e-arab meri nazar se




    Ek main hi nahin taalib-e-jalwa mere AQA!
    Har ek musalmaan Tere deed ko tarse




    Naamoos-e-Muhammad ke liye jaan bhi doon ga
    Ho jaaun ga waaqif main shahaadat ke hunar se




    Dunya ke faqat chand hi lamhaat the guzre
    Ho aaye payambar mere sadiyaun ke safar se




    Jo shaam-o-sahar Salle Alaa kehta rahe ga
    Aaye ga bulawa usay AQA ke nagar se




    Kuch khauf nahin mujh ko kadee dhoop ka Amjad
    Saaya mujhe miltaa hai Risaalat ke shajar se



  3. #83
    Anjani's Avatar
    Star Member
    Jan 2011
    3,766
    Mangton Ko Sultan Banaya



    Mangton ko sultan banaya mere kamli walay ne
    Jab apna darbar lagaya mere kamli walay ne




    Mal-o-zar ki bat nahin he sab ye karam ki batain hain
    Jis ko chaha dar pe bulaya mere kamli walay ne




    Jis per apna rang charhaya mere kamli walay ne
    Data farid or khuaja banaya mere kamli walay ne




    Baara rabi ul awal ke din noor-e-khuda ki kirno se
    amna tera gher chamkaya mere kamli walay ne




    Jitna kharch mai karti jao utna barhta jaye hai
    Baksh dia aisa sarmaya mere kamli walay ne




    Unka ziker kertay kertay neend ali jab ai mujhay
    Mujh ko apna jalwa dikhaya mere kamli walay ne



  4. #84
    Anjani's Avatar
    Star Member
    Jan 2011
    3,766
    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam



    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam
    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam
    Humne Jholi Hai Phailayi Bari Dair Se




    Daalo Nazr-e-Karam Sarkar,Apne Mangton Par Ek Baar
    Humne Mehfil Hai Saja’yi Bari Dair Se


    Mere Chand Main Sadqe Aa Ja Idher Bhi
    Mere Chand Main Sadqe Aa Ja Idher Bhi
    Chamak Uththe Dilki Gali Ghoos-e-Azam




    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam
    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam
    Humne Jholi Hai Phailayi Bari Dair Se




    Tere Rab ne Ma’alik Kiya Tere Jadd Ko
    Tere Rab ne Ma’alik Kiya Tere Jadd Ko
    Tere Dar se Duniya Pali Ghoos-e-Azam




    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam
    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam
    Humne Jholi Hai Phailayi Bari Dair Se




    Tera Rutba A’ala Na Kiun Ho Ke Maula
    Tera Rutba A’ala Na Kiun Ho Ke Maula
    Tu Hai Ibn-e-Maula Ali Ghoos-e-Azam




    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam
    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam
    Humne Jholi Hai Phailayi Bari Dair Se




    Qadam Gardan-e-Awliya Per Hai Tera
    Qadam Gardan-e-Awliya Per Hai Tera
    Tu Hai Rab ka Aisa Wali Ghoos-e-Azam




    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam
    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam
    Humne Jholi Hai Phailayi Badi Dair Se




    Tum jo banao Baat Bane Gi,Meeran Tumjo Banao
    Dono Jahan Main Laa’j Rahe Gi,La’j Rahe Gi
    Lajpa’al Karam ab Kardo,Mangton ki Jhooli Bhar Do
    Bhar Do Kaa’sa Sabka Panjtani Khair Se




    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam
    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam
    Humne Jholi Hai Phailayi Badi Dair Se




    Mushkil Jab Bhi Sir Par Aayi,Mushkil Jab Bhi Sir Par Aayi,
    Teri Rehmat Aare Aayi,Teri Rehmat Aare Aayi,Aare Aayi
    Jab Main ne Tumhen Pukara,Kamaya Tera Sahara
    Chalta Aasi Ka Guzara Teri Khair Se, Mere Meeran




    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam
    Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam
    Humne Jholi Hai Phailayi Badi Dair Se



  5. #85
    Anjani's Avatar
    Star Member
    Jan 2011
    3,766
    Noor Wala Aya Hai




    Noor Wala Aya Hai
    Noor Lay kar Aya Hai
    Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai

    Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
    Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH




    Jab Talak Yah Chand Tara Jheel Meelata Jayanga
    Tab Talak Jasna Wiladat Hum Manata Jayanga

    Noor Wala Aya Hai
    Noor Lay kar Aya Hai
    Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai

    Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
    Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH




    Naata Mahbooba KHUDA Sunta Sunata Jayanga
    YA RASOOLALLAH Ka Nara Lagata Jayanga

    Noor Wala Aya Hai
    Noor Lay kar Aya Hai
    Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai

    Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
    Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH




    Char Janib Hum Diya Ghee Kay Jalata Jayanga
    Ghar Toh Ghar Sara Mohalla Ko Sajata Jayanga

    Noor Wala Aya Hai
    Noor Lay kar Aya Hai
    Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai

    Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
    Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH




    Eid a Milad-Un-NABI Ki Shab Charaga Kar Kay Hum
    Kabr a NOOR-A-MUSTAFA Say Jagmagata Jayanga

    Noor Wala Aya Hai
    Noor Lay kar Aya Hai
    Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai

    Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
    Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH




    Tum Karo Jasnay Wiladat Ki Kushi May Roshni
    Woh Tumhari Gor-A-Teera Jagmagata jayanga

    Noor Wala Aya Hai
    Noor Lay kar Aya Hai
    Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai

    Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
    Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH




    Hashr May Zayra Livay Hamd-A-ATTAR Hum
    Naat-E-SULTANA MADINA Gongunata jayanga

    Noor Wala Aya Hai
    Noor Lay kar Aya Hai
    Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai

    Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH
    Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH



  6. #86
    Anjani's Avatar
    Star Member
    Jan 2011
    3,766
    YA MOHAMMED(saw) NOOR-E-MUJASSAM YA HABIBI YA MOULAI



    YA MOHAMMED(saw) NOOR-E-MUJASSAM YA HABIBI YA MOULAI
    TASVIR-E-KAMAL-E-MOHABBAT TANVIR-E-JAMAL-E-KHUDAI
    TERA VAS BAYA HO KIS SE TERI KON KAREGA BADAI
    NABI JI TERI KON KAREGA BADAI


    IS GARDE SAFAR ME GUM HAI JIBRIL-E-AMIN KI RASAI
    TERI EK NAZAR KE TAALIB TERE EK SUKHAN PAR KHURBAN
    YE SAB TERE DIWANE YE SAB TERE SOUDAI




    YE RANG-E-BAHAR-E-GULSHAN YE GUL AUR GUL KA JOUBAN
    TERE NOOR-E -KHADAM KA DHOBAN US DHOBAN KI ROUNAI


    MA AJMA LAKA TERI SURAT MA MA AHSA LAKA TERI SEERAT
    MA AKMA LAKA TERI AZMATH TERI ZAAT ME GUM HAI KHUDAI




    TU RAYEES-E-ROZ-E-SHAFAT TU AMIR-E-LUTF-O-INAYAT
    HAI ADIB KO TUJH SE NISBATH YE GHULAM HAI TU AQAI



  7. #87
    Anjani's Avatar
    Star Member
    Jan 2011
    3,766
    Yeh Sab Tumhara Karam Hai Aaqa



    Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
    Yeh sab tumhara qaram hai aaqa keh baat ab tak bani hui hai




    Kissi ka ehsan kyon uthain, kissi ko haalat kyon batain
    Tumhein se mangein gey tum hi do gey, tumhare dar se hi loo lagi hai




    Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
    Mein iss karam ke kaha tha qabil, huzur ki banda parwari hai




    Shoor o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain
    Na choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai




    Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
    Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai




    Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye
    Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai




    Ammal ki merey asas kiya hai, bajuz nadamat ke paas kiya hai
    Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai




    Hai Qaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
    Magar jo maqsoode-e-aashqi hai, huzur ke dar ki haazri hai




    Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
    Nabi ka irfan zindagi hai, nabi ka irfan bandagi hai




  8. #88
    Anjani's Avatar
    Star Member
    Jan 2011
    3,766
    ​Jashn-e-Amad-e-Rasool





    Jashan-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
    Bibi Amena ke phool Allahi Allah




    Noor ki tann gaeen chaadrain chaarsoon
    Hoor-o-gulmaan ki poori hoii arzoo
    Mustafa mujtaba shah-e-kono mukaam
    Rub ki sarkaar jub hogaey roh baroh
    Phir khuda ne khaha mere mahboob tum
    Ho rasuloon ke rasool Allahi Allah
    Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
    Bibi Amena ke phool Allahi Allah




    Chehra-e-Mustafa jub dikhaya gaya
    Jhook gaye taarey aur chaand sharmaa gaya
    Amena dekh kar muskuraney lageen
    Hawwa Mariyam bhi khoshiyaan banaaney lageen
    Amena bibi sub se kehney lageen
    Duaa hogaii kabool Allahi Allah
    Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
    Bibi Amena ke phool Allahi Allah




    Farsh se arsh tak noor ka hai samaa
    Laaey tashreef doniyan main khair-ul-waraa
    Aasi ummat ki kismal sawarney lagii
    Barishain rehmatoon ki barasney lageen
    Ay Haleema teri looriyoon keyliye
    Rub ke aagaey rasool Allahi Allah
    Allahi Allah Bolo Allahi Allah
    Rub ke aagaey rasool Allahi Allah
    Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
    Bibi Amena ke phool Allahi Allah




    Boodd girey tooth kar khaaq main attak gaaey
    Kufr ke phele baadal sabhi chatt gaey
    Jub Rukh-e-Mustafa ki pari roshni
    Ye zameenon zamaan khood main butt gaaey
    Hoor-o-gilman malaik sabhi aaj hain
    Zikr Ahmed main mashgool Allahi Allah
    Bibi Amena ke Phool Allahi Allah
    Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah




    Shaadiyaaney khoshi ke bajaaey gaaey
    Shaadi ke naghmey sab ko sonaaney gaaey
    Har taraf shoor Sall-e-Allah hogaya
    Aaj paida Habib-e-Khuda hogaya
    Phir tu Jibreel ne bhi ye Ayhlaan kiyaa
    Ye Khudaa ke hain Rasool Allahi Allah
    Bibi Amena ke phool Allahi Allah
    Allahi Allah bolo Allahi Allah
    Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah




    Chehra Quraan ki tafseer hai
    Noor hi noor hai Haq ki tasveer hai
    Mussaf-e-Mustafa ke oojaalon ke rung
    Rehmatoon se sajii ek tasveer hai
    Jaane kaunay ju hai Shafee-ul-waraa
    Aysey piyaare hain rasool Allahi Allah
    Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah
    Bibi Amena ke phool Allahi Allah


  9. #89
    Dec 2010
    SpAIN
    11,277

    flies



    Haqeeqat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nehi Karte

    Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte,
    jo yaad e Mustafa dil ko garmaya nehi karte



    ZabaN parr shikwae ranj o alam laya nehi karte,
    Nabi ke naam lewa gham se gabraya nehi karte



    Yeh he darbaar Aqa ka yahaaN milta he bemange,
    Are nadaN yahaan daman ko phelya nehi karte



    Yeh darbaar e Mohammad he Yahaan apno ka kya kehna,
    Yahaan se hath khali gher bhi jaya nehi karte



    Are o na samaj qurbaan hoja onke roze perr,
    yeh lamhe zindagi me baar baar aya nehi karte



    Mohammad Mustafa ki shaan e rehmet to zarah dekho,
    sittam sehte to hain lekin sittam daya nehi karte



    Mohammad Mustafa ke baagh keh sabh phool aise hain,
    Yeh bepaani ke tarr rehte hain murjaya nehi karte



    Nadamat sath le karr hashr me ae asio jana,
    sonna he sharm walo ko woh sharmaya nehi karte



    Aggar ho jazba e sadiq to aksar humne dekha he,
    woh khud tashreef le ate hain tarpaya nehi karte



    Jo inke damaan e rehmet se wabasta hain ae Hamid,
    Kissi ke samne woh hath phelaya nehi karte



    Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte,
    jo yaad e Mustafa se dil ko garmaya nehi karte ..!!

    ———-//———-//———-//———-//———-//———-//———-
    ———-//———-//———
    Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte-———//———-


    ———-//———-//———-//———-//———-//———-//———

    -
    ​




  10. #90
    Dec 2010
    SpAIN
    11,277

    bfly


    Sab Se Aola Wa Aala Hamara Nabi

    Sab se aola wa aala hamara Nabi
    Sab se baala wa waala hamara Nabi



    Apne Moula ka pyara hamara Nabi
    Dono aalam ka Dulha ha hamara Nabi



    Bazme Aakhir ka Shama faroza huwa
    Noore awwal ka jalwa hamara Nabi



    Buj gayi jis ke aage sabhi mash'ale
    Shamma woh lekeh aaya hamara Nabi



    Jis ke talwon ka dhowan he aabe Hayaat
    Hai woh jaane Maseeha hamara Nabi



    Khalq se Awliya Awliya se Rusul
    Aur Rasoolon se aala hamara Nabi



    Jaise sab ka Khuda ek he waise hi
    In ka un ka thumhara hamara Nabi



    Kawn deta he dene ko muh chahiye
    Dene waala he sacha hamara Nabi



    Kya khabar kitne taare khile chhup gaye
    Par na doobe na dooba hamara Nabi



    Saare ooncho meh ooncha samajhye jise
    Hai oos oonche se ooncha hamara Nabi



    Ghum zadoh ko Raza muzda dije ke he
    Be kason ka sahara hamara Nabi

    ———-//———-//———-//———-//———-//———-//———-
    ———-//———-//———Sab se aola wa aala hamara Nabi
    -———//———-
    ———-//———-//———-//———-//———-//———-//———


    ​




 

 
... 7891011

Thread Information

Users Browsing this Thread

There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

Bookmarks

  •