123 ...
  1. #1
    Jan 2012
    2,022

    please HAMD-O-NAAT Competitions ...

    Asalam alaikum...

    Freinds ye 2 competition thread hai
    is thread mai ap ko sirf ye krna hoga ap yaha apni pasnd ki koi khubsoort Humd Or Naat
    share karenge but ap audio ya video nhi desakte ap ko khud type karni hogi jo zyda Hamd ya Naat
    share karega wo winner hoga aur winner ko boht khubsort sa award diya jayga ( IN SHA ALLAH )

    ~! PrinCesS SaRaH !~

  2. #2
    Dec 2010
    SpAIN
    11,277

    Assalam, Asalam, Asalaam, Aasalam
    Air remat e azeem kay mehman assalam
    Quran kay nazool kay saman asalam,
    Ramadan Assalam, Aie Ramzan Asalam.

    Anwar e mustafa ka ujala liye huey
    Humday khuda ka saath hawala liye huway.
    Tu aagaya hai aie mah e zeshaan assalam.
    Ramadan Assalam, Aie Ramazan Asalam.

    Kyun na tujhay salaam karein arsh ore zameen
    Teray sabab say sajdoon main jhuknay lagein jabeen

    Juzdaan mein rahay nahin Quran assalam
    Ramadaan Assalam, Aie Ramdan Asalam.

    Punjgana ho namaz kay har jo zakat ho
    Hum sab rajoh kerat hain rehman ki taraf
    Lekin karam ki had hai yeh Rab e Kareem ki
    Ramzan chal kay aata hai insaan ki taraf

    Phir masjidoon main ronakein aabad ho gayein
    Bholi hoyi aabadatein phir yaad ho gayein
    Hum per bara hai tera yeh ehsan asalam
    Ramaadan Assalam, Aie Ramazan Asalam.

    Sad Shuker Teray Saath Hai, Pegham E Eid Bhi
    Yani Kay Teray Baad Hai Rozay Saeed Bhi
    Kehtay Hai Tujh Ko Aamir Or Rehan Asaalam
    Ramadan Assalam, Aie Ramzan Asalam.

    ———-//———-//———-//———-//———-//———-//———-
    ———-//———-//———-
    Ramadan Assalam———//———-

    ———-//———-//———-//———-//———-//———-//———-

    ​

  3. #3
    Nov 2010
    Cervera, Cataluna, Spain, Spain
    6,419
    Hum ko bulaana Ya Rasulullah

    Hum ko bulaana Ya Rasulullah
    Hum ko bulaana Ya HabeebAllah

    Kabhi to sabz gumbad ka ujaala hum bhi dekhe gey
    Hame bulwa'enge Aqa Madina hum bhi dekhe gey

    Tarap uthe ga ye diil ya darakna bul jaenga
    Dil-e-bismil ka us dar par tamasha ham bhi dekhe gey
    Hame bulwa'enge Aqa Madina hum bhi dekhe gey

    Kabhi to sabz gumbad ka ujaala hum bhi dekhe gey
    Hame bulwa'enge Aqa Madina hum bhi dekhe gey

    Adab sey haath baandey un key rozey par karey hogey
    Suneri jaliyon ka yoon nazara hum bhi dekhe gey

    Kabhi to sabz gumbad ka ujaala hum bhi dekhe gey
    Hame bulwa'enge Aqa Madina hum bhi dekhe gey

    Darey dowlaat sey lowtaya naheen jata koi khaali
    Waha kherat ka batna Khudaya hum bhi dekhe gey
    Hame bulwa'enge Aqa Madina hum bhi dekhe gey

    Barasti Gumbad-e-khazra sey tak ratee hui bunday
    Waha par shaan sey barish barasna hum bhi dekhe gey
    Hame bulwa'enge Aqa Madina hum bhi dekhe gey

    Kabhi to sabz gumbad ka ujaala hum bhi dekhe gey
    Hame bulwa'enge Aqa Madina hum bhi dekhe gey

    Guzarey raat deen apney isi umeed par hamney
    Kisi deen ko jamaal'ey ru'ey zeba hum bhi dekhe gey
    Hame bulwa'enge Aqa Madina hum bhi dekhe gey

    Damey rukhsat kadam maan bar key hai mehsus kartey hain
    Kisey hai jakhey lowtaney ka yaara hum bhi dekhey gey
    Hame bulwa'enge Aqa Madina hum bhi dekhe gey

    Pohnch jaegey jiis deen ney ujaa kar un key kadmo mein
    Kisey kehtey hai jannat ka nazaara hum bhi dekhe gey

  4. #4
    Nov 2010
    USA
    3,447
    AA JAYE BULAWA MUJEY !!!

    Aa jaaye bulawa mujhe AQA Tere Dar se
    Jis Dar ki ghulaami ko to jibreel bhi tarse

    Paidal hi nikalte hain, masaafat ka nahin khauf
    Thakte hi nahin ham to Madine ke safar se

    Sunnat pe Teri chalne ka aa jaaye qareena
    Ye abr-e-karam kaash mere dasht pe barse

    Zarrah bhi lage gohar-o-almaas se badh kar
    Dekhe to koii khaak-e-arab meri nazar se

    Ek main hi nahin taalib-e-jalwa mere AQA!
    Har ek musalmaan Tere deed ko tarse

    Naamoos-e-Muhammad ke liye jaan bhi doon ga
    Ho jaaun ga waaqif main shahaadat ke hunar se

    Dunya ke faqat chand hi lamhaat the guzre
    Ho aaye payambar mere sadiyaun ke safar se

    Jo shaam-o-sahar Salle Alaa kehta rahe ga
    Aaye ga bulawa usay AQA ke nagar se

    Kuch khauf nahin mujh ko kadee dhoop ka Amjad
    Saaya mujhe miltaa hai Risaalat ke shajar se

    Ƭσʋт ƨα ɢαʏα нαι мɛяι cнαнαтσи κα ωαʝσσ∂

    Aαв κσι αcнα внι ℓαɢɛʏ тʋ нʋм ιʓнαя иαнι κɛятɛ

  5. #5
    Feb 2011
    Rawalpindi
    2,067
    Aqa aqa bol banday aqa aqa bol
    Zikr nabi tu karta ja yay zikr barra anmol

    Aisa din bhi aaja-ay sarkar kay dar pay betthay ho
    Lab khamosh zubaan ban ja-ay aansu arza kartay ho
    Un kay dar pay ronay waalay, dil say kucch to bolol

    Sarkar e do aalam pyaray aqa jidhar say guzra kartay thay
    Shajr gawaahi dayta tha or pathar kalima partay thay
    Noor e khuda kay munkir ab to, apni aankhayn khol

    Aow chalo deewano saaray shehr e madinah chaltay heyn
    Mayri kya oqaat he sab hii un kay dar say paltay heyn
    Ghairon ko bhi daytay heyn, bin maangay bin mol

    Jab say hosh sambaala he meyn unki naatayn parta huun
    Gustaahi na ho ja-ay meyn sambal sambal kay chalta huun
    Maan ki dua-on ka sadqa, aisa mila maahol

    Rashid naatayn likhna parna yay he barra ihsan
    Un kay karm kay sadqay hii se unchi he parwan
    Naat e nabi tu suna-ay ja, kaano mayn rasghol

  6. #6
    Feb 2011
    Rawalpindi
    2,067
    Apnay daamane shifaat main chupaye rakhna
    Meri sarkaar meri baat banaye rakhna

    Maine maana ke nikamma hoon magar aap ka hoon
    Is nikamme ko bi sarkar nibaye rakhna

    Meri sarkaar meri baat banaye rakhna

    Jab sare hashre sawaaneze pai suuraj aaye
    Aapne kamli kai gunahgare pai saye rakhna

    Meri sarkaar meri baat banaye rakhna

    Un kai aane ki gari hai wo hain aane waaley
    Meri sarkar ki mehfil ko sajaye rakhna

    Meri sarkaar meri baat banaye rakhna

    Zarraye khaak ko khursheed banane waey
    Khaak hoon khaak ko kaadmoon sey lagaye rakhna

    Meri sarkar meri baat banaye rakhna
    Apney daamane shifaat main chupaye rakhna

    Meri sarkaar meri baat banaye rakhna...!!!

  7. #7
    Jan 2012
    2,022
    Meyn muddat say iss aas par ji rahi huun
    Khuda kab bula lay mujhay apnay ghar mayn
    Kabhi to sunay ga dua'ayn wo mayri

    Jo loguun say sun sun kay naqshay heyn khenchay
    Haqeeqat mayn huun gay munazir wo kesay
    Kabhi ja kay daykhuun khud aankhon say apni

    Mayray saamnay ho wo kaba ki chokhhatt
    Wo rukn e yamaani wo meezaab e rahmat
    Meyn sehn e haram mayn karuun ja kay sajday

    Khuda nay utaara jissay aasmaan say
    Kiya nasb thha jis ko peghambaron nay
    Ussi hajr e aswad ko bosa meyn lay luun

    Wo shehr e haram wo madinay ki galiyaan
    Wo arfaat ka din minaa ki wo raatayn
    Muyassar kabhi huun mujhay saaray jalway

    Mayray saamnay ho wo gunbad e khazra
    Wo rozay ki jaali wo jannat ka gosha
    Kabhi chuum luun ja kay khaak e madina

    Nahiin he bharosa koii zindagi ka
    Usi ko khabar he wo sab jaanta he
    Bula lay ga mujh ko wo marnay say pehlay
    ************

    ~! PrinCesS SaRaH !~

  8. #8
    Dec 2010
    SpAIN
    11,277

    Ho karam Sarkar ab tho ho gaey gham beshumaar
    jaan-o-dil thum par fida aey do jahan key taajdaar

    Mey akeyla aur maas'il zindagee key beshumaar
    Aap hi kuch kijiey na ey Shahey aali waqar

    yaad atha hey tawafe khanaey Ka'ba mujhay
    aur lipatna multazam say waley khana bar bar

    sange aswad chuum kar milta mujhay keyf-o-saroor
    chayn patha deykh kar dil mustajab-o-mustajar

    ya Khuda dikhlahathi mey pak mizan woh maqam
    aur safa marwa mujhay behray Rasoole zi waqar

    ja raha hey kaafila Taiba nagar rotha huwa
    mey raha jatha hun thanha aey Habibey kirdgaar

    jald phir thum lo bula aur sabz ghumbad do dikha
    hazri ki aarzo ney kardiya phir beykaraar

    Choom kar khake Madinah jhoomtha phirtha tha mey
    yaad athay hey madinay kay mujhay leyl o nahar

    Ghumbaday Khazra key jalway aur woh iftariya
    yaad athi hey bohoth Ramadhan Taibah ki baha
    r
    Ya Rasulullah sun li jey meri faryaad ko
    kown hai jo key sunay teray siwa meri pukaar

    Haal par meray karam ki ik nazar farmaey
    dil mera ghamgeen hai aey ghamzadon kay ghamgusaar

    Kaflay walo suno yaad aey tho mera salam
    arz karna rothay rothay ho sakey tho bar bar

    ghamzada yun na huwa hotha Obaidey Qadri
    iss baras bhi deykhtha ghar sabz Ghumbad ki bahar

    Ho karam Sarkar ab tho ho gaey gham beshumaar
    jaan-o-dil thum par fida aey do jahan key taajdaar

    ———-//———-//———-//———-//———-//———-//———-
    ———-//———-//———-
    Ho karam Sarkar ———//———-
    ———-//———-//———-//———-//———-//———-//———-

    ​

  9. #9
    Mar 2011
    1,581
    Main to panjtan ka ghulam hoon, mein to panjtan ka ghulam hoon
    Mein ghulaam ibn-e-ghulam hoon, mein ghulaam ibn e ghulam hoon
    Main to panjtan ka ghulam hoon

    Mujhe ishq hai to Khuda se hai
    Mujhay ishq hai to Rasool say
    Yeh karam hai sara batool ka
    Mere moon say aye mehak sada
    Jo mein naam loon tera jhoom kay
    Mein to panjtan ka gulaam hoon

    Kiya baat e raza us chamanistanay karam ki
    Zahra hai kali jis mein Hussain ore Hassan phool
    Mein to panjtan ka ghulam hoon
    Mein ghulaam ibn-e-ghulam hoon

    Mujhe ishq sarv o samal se hai
    Mujhe ishq saray chaman say hai
    Mujhe ishq unkay watan say hai
    Mujhay ishq unki galii say hai
    Mujhe ishq hai to Ali se hai
    Mujhe ishq hai to Hassan se hai
    Mujhe ishq hai to Hussain say
    Mujhay ishq shah e Zaman say hai
    Mein to panjtan ka ghulam hoon

    Mujh pay kitna niyazi karam ho gaya
    Dunya kehnay lagi Punjtan ka gadha
    Iss gharanay ka jabse mein nokar hua
    Sab say achi meri nokari ho gayi
    Mein to panjtan ka ghulam hoon

    Hua kaisay tan say woh sar juda
    Jahan ishq ho wahin Karbala
    Meri baat unhii ki baat hai
    Meray saamne wohi zaat hai
    Wohi jinko Sher E Khuda kahein
    Jinhein Bab e Salle alaa kahein
    Wohi jinko Aale Nabi kahein
    Wohi jinko Zaat e Ali kahein
    Wohi pukhtha hain mein to khaam hoon
    Mein to panjtan ka ghulam hoon

    Mera shair kiya mera zikr kiya
    Meri baath kiya meri fikr kiya
    Meri baath unke sabab se hai
    Mera sher unke adab se hai
    Mera zikr unke tufeil se
    Meri fikr unke thufel se
    Kahan muj men itni sakhat bala
    Keho man kabath ka bhi hak ada
    Mein to panjtan ka gulaam hun

  10. #10
    Anjani's Avatar
    Star Member
    Jan 2011
    3,766
    Zahe Muqaddar

    Zahe muqaddar huzoor e haq say salaam aaya payam aya
    Jhukao nazrein bichao palkain adab ka aala maqam aaya.

    Yeh kon sar say kafan lapatay, chala hai ulfat kay rastay par
    Farishtay hairat say tak rahe hain yeh kon zy ehteram aaya.

    Faza main labbaik ki sadain, zah farishta aarsh goonjti hain
    Har aik qurban ho raha hai, zaban pay yeh kis ka naam aaya.

    Yeh rah e haq hai! sambhal kay chalna! yahan hai manzil qadam qadam par
    Pohanchna dar par, to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya.

    Yeh kehna aaqa bohat say aashiq taraptay say chor aaya houn main
    Bulaway kay muntazir hain lekin, na subho aaya na shaam aaya.

    Dua jo nikli thi dil say aakhir, palat kay maqbool ho kay aayi
    Woh jazba jis main tarap thi sachi, woh jazba aakhir ko kaam aaya.

    Khuda tera hafiz o nigehban, Oh rah e bat’ha kay janay wale
    Nabi de sad inbisat ban kar, payam darood o salaam aaya.

    Zahay muqadar huzur e haq se salaam aaya payam aaya
    Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya.

123 ...

Thread Information

Users Browsing this Thread

There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

Bookmarks

  •