123
  1. #21
    Anjani's Avatar
    Star Member
    Jan 2011
    3,766
    Next Part INSHALLAH Kal abhi itna read karein

  2. #22
    Anjani's Avatar
    Star Member
    Jan 2011
    3,766
    jaisa ke ALLAH quran mein farmata hai k"phir humne khol dyay ublte pani ke reele aur baha dyay zamin se chashme aur phir mila dya us pani ko jo zamin se ubla tha aur usse jo asman se barsa tha yahan taq ke paharoon ke upar 40ghaz buland pani huwa tha"..aur phir jo hazrat nooh ka beta tha uspe bi pani ja puhncha yeh keefiyat dekh ke hazrat nooh dil mein baap ki mohabbat umdi ke woh kuch dher mein hi mara jayega (is baat se hum is baat ka andaza laga saqtay hain ke aulaad bhale kitni hi buri kuon na hujayay maan baap unse nafrat nahi karsaqtay unke dil mein phir bi rehm ahi jata hai ..isliyay aulaad ko bi chahyay ke apne parents k farmabardar rhe unka dil na toorein)uswaqt hazrat nooh ne apna muh asmaan ki taraf uthaya aur ALLAH ke huzoor dua ki ke eh mere rab tu ne wada kiya tha ke mere tamam ehle bait ko halak nahi karoge ab yeh mera beta kunan mara jata hai tu jaise k quran mein aya "aur pukara nooh ne apne rab ko bole!eh rab mera beta hai mere ghar waloon se tera wada sach hai aur tu sab pe hakim hai "...(unki jab biwi jo ke nafarman thi kafira thi mar gai tu aapne dua ki ke ab tu chahe tu mere bete ko nijat de ya saza de)tu Allah ne farmaya "aur farmaya Allah ne ke eh nooh!woh tere ghar waloon mein se nahi kuion ke woh nafarman hai aur uska deen bi tere deen ke muwafiq nahi pas kuch dher mein aik mooj ayii aur kunan ko gharq kar gai "hazrat jibrayil ne hazrat nooh se farmaya "eh nooh tum kashti pe sawar hujaoo aur apni zuban se yeh parhoo"tarjuma"aur bola sawar hu Allah ka naam leke is kashti ka chalna aur tehrna mere rab pe hai beshaq mera rab bahshne wala mehrban hai" jab yeh ayah parhi tu kashti chalti rhii lakin bht zyada mahlooq ki waja se kashti galiz hugai tu hazrat nooh ne hathi ki peeth pe mohabbat se hath pheera tu khuda ki qudrat se uski naak mein do soorah paida huwe aur usne unki madad se tamam kashti ki ghalazat bahir phenk di ..aur iblis ne hanzir(pig) ki peeshani pe hath phera tu iski naak se do chohe paida hue(isiliyay hinzir ka ghoost muslmanoon pe haram kiyagya kuon ke ispe shaitaan ne hath pheera tha aur iske ghoost khane wala begairat hujata unmein sharmo haya nahi rehti aur khuda ne apni bnai huwi tamam mahlooq mein sabse zyada napasand is hanzir ko farmaya) ..hazrat nooh ne kaha ke eh shaitaan maloon tuje is kashti pe kon laya ...tu shaitaan bola jiswaqt tumne hinzir ko maloon kaha tu muje bi pata tha k tum muje b maloon kahoghe aur mein is hanzir ki madad se hi is kashti taq aya hun ...chunache hinzir ki naak se nikle hue choohe jab kashti mein soorah karne lage tu jibrayil ne ake hazrat nooh se kaha ke sher ki peeshani pe hath phair ..hazrat nooh ne shair ki paishani pe hath pheera tu do biliyan iski naak se paida huwi aur in bilyoon ne sab chohe kashti ke kha liyay aur is din se bili chohe ki dushman ban gai ..hazrat nooh 12 rjab ki dosri tarih se muharam taq taqreeban 6 month 8 din kashti pe rhe baad mein gayib se hukm hua "aur ALLAH ki taraf se hukm hua k eh zamin nigl ja apne pani ko aur eh asmaan tham ja aur suka dya har cheez ko aur hugya kaam aur kashti tehri joodi pahar pe aur hukm hua door hu qoom se jo be insaaf hai "is ayah ki tahrish mein likha hai ke pani asmaan se 40 din taq barbar brasta rha aur isi tarah 40din taq zamin se bi ublta rhaa aur phir 6 month k baad paharoon ke sir khule aur kashti tehri huwi thi joodi pahar mein(yeh pahar sham mein hai)phir jab barish ruki aur zamin khush huwi itni khush ke aik boond bi pani ki na rhi..jab pani khush hurha tha tu kahst e nooh isdin zamin hijaaz pe taqreeban 70 martaba bait ullah ka taaf karke mulk sham ki taraf nikl gai aur jodi pahar pe ruk gai phir iske baad jahan kahin pahar the woh sab dikhai dene lagay..hazrat nooh ne kisi parinde ko zamin par beja k woh khbar layay ke zamin pe kis qadr pani hai woh parinda jo hazrat nooh ne beja tha woh zamin pe jake dane chugne mein mashgool hugya aur phir wapis na aya is waja se ALLAH ne ise urne se mazoor karda..phir iske baad hazrat nooh ne kabotar ko beja aur woh zamin pe ja betha aur kuch tar surhi (geeli matti)ane paoo pe laga ke kashti pe laya tab nooh ne kabotar ke haq mein dua ki ke pori mahlooq isko pyar ki nigah se dekhe iswaqt hazrat jibrayil hazir hue aur unho ne 7 rahein pani ki bana di aur is tarah 7 darya hue tab sara pani jo zamin pe baqi tha daryaoon mein ja giraa aur iske ilawa jo reh gya tha woh tamam ka tamam khusq hugya..hazrat nooh ne phir aik janwar beja woh pani na honi ki waja se tehrna saqa aur wapis agya ..tab hazrat nooh ne inke liyay dua farmayiaur apni tamam qoom ko kashti se utar liya uswaqt hukm hua ke eh nooh!jitne tahkm aur jarein hai sab zamin mein boo de ..taham tamam jarein aur beej mil ghay lakin anghoor ki jar na mili..usse shaitaan ne chura liya thaa ..hazrat nooh ne shaitaan ko hazir kiya aur poocha k tumne yeh jar chura li hai tu shaitan ne inkar kiya...phir hazrat nooh ne farmaya ke muje ALLAH ne khabar di hai ke tu ne hi churai hai tab shaitaan ne kaha mein la donga?phir kuch hi dher mein lake hazrat nooh ke samne paish kardi aur isne aik shart bi rakhi ke jab tum isko bo doge tu aik baar tum aur teen baar mein pani donga aur yeh shart bi hazrat nooh ne maan li aur angoor ko zamin mein bo dya aur phir sher lomri aur hanzir in tenoon janwroon ko mar ke inka khoon dala gya...aur anghoor mein jo mithas hai woh hazrat nooh ke pani dene ki waja se hai aur jo sharab banti hai woh shaitaan ke pani dene ki waja se hai..(isiliyay anghoor agr zyada miqdar mein khayay tu admi pe ganodgi cha jati hai) ...iblis ne pani dya tha aur choonke anghoor sharab mein istmal hota isiliyay sharabiyoon ka mizaaj pehle lomri ki tarah hota phir sher ki tara aur phir hinzir ki tarah hujata ..kuon nashe ki halat mein sharabi kisi ko dekhta sunta nahi aur na hi kuch samjta ..



  3. #23
    Anjani's Avatar
    Star Member
    Jan 2011
    3,766
    aur uske baad shaitaan ne kaha ke eh shiekh ul anbiya tera ehsan hai mujpe ke tu ne muje pani dene ki ijazat di ab tumhe mujse tu mangna mang lo tu ispe hazrat nooh ne farmaya ke eh malyoon tu hmaray kis gunah se khush hua hai tu bola aapne gunah nahi kiya tu ne hazaroon kafiroon ko khuda ki dargah mein dua karke halak kara dya tu woh sab dozakh mein hameesha mere sath rhenge...hazrat nooh is baat ko sun ke tars kha ke 100 baras taq rote rhe ..tu phir aik din hazrat nooh ne poocha ke eh shaitaan maloon woh kon sa aisa fail(kaam) hai jisse karne se aulaad e adam dozakh mein jayegi tu woh bola char cheezein hain aur woh yeh hain "hasdo hars o takabr o buhl"(hasad yani kisi se jalna nahi chahye ,buhl yani kanjoosi :apni zarooryat pe kharch karna chayay kanjoosi nahi karni chahyay aur khuda ki di hui dolat mein se zakat deni chahyay aik hadis e pak mein ata ke jo loog buhl kartay hai yahi dolat qayamat ke din un ke gale ka tooq(yani phanda) ban jayegi;,takabar yani ghroor insan ko baray bool nahi bolne chahyay kisi kism ki barai nahi honi chahyay insan mein kuonke khuda ko ajzi o sadgi pasand hai aur parhaizgaar loog hi us ke mehboob hai,aur hirs yani lalach nahi karni chahyay.agr kisi mein bi koi ikhlaqi burai (jhoot ,hasdo hirs o takaboro buhl ...)hu tu woh subu fajr ke baad 7 baar sorrah alkafiroon paray tu har qism ki ikhlaqi burai khatam hujati hai . khuda hum sab ko in sab ikhlaqi burayoon se bachne ki tofiq ata farmayay aur hum pe rehm farmayay(amin)..

    phir iske baad hazrat nooh ne iski sharah isse poocho tu iblis ne jawab dya ke "meine 70 000 saal khuda wande tallah ki ibadat ki hai aur iska hukm manta rha hu(rawayat mein hai ke iblis sabse zyada ibadat ghuzar tha aur sabse zyada ibadat bi ussi ne ki hai lakin aik sajda na karne ki waja se rad kar dya gyaa tu soochyay hum ne kitne sajde choore hain ? hum ne kitne hukm nahi manay ?)...aur jab adam ko allah ne bnaya tu sab farishtoon ko hukm hua ke isse sajda karoo sab ne kiya aur meine hasad kiyaa (ke adam mati ke banay hai aur mein aag ka mein adam ko sajda kuon karonga)isiliyay khuda ki lanat huwi aur dosri baat yeh ke phir ALLAH ne mujse poocha aur ke tune adam ko sajda kuon nahi kiya tu mein magroor hugya ke mein adam se behtar hu isiliyay allah ne apni dargah se mardod kaarar karke nikal dya aur teesri waja yeh ke hirs(lalach )hui adam ko gehyoo khane ki jisse allah ne mana farmaya tha aur meine unhein gehyon khane pe uksaya aur isiliyay woh behshat se nikale ghay aur is duniya ki qaid mein girftar hughay"aik hadis hai ya kisi ka qool muje sure nahi usmein ata ke "momin ke liyay duniya dozakh hai aur kafir ke liyay janat"..aur isi hirs ne adam ko is dozakh mein phenkwaya tha...aur choota buhl hai ke khuda ne buhliyoon pe janat ko haram kardya hai woh hargiz janat mein na jayenge ...iblis yeh waqiya hazrat nooh(alyih islam) ko suna ke chala gya tu baad mein khuda ka hukm hua ke eh nooh tu is kashti ki lakri se aik masjid bana tab whan unho ne usi jodi pahari pe masjid bnai aur us basti ka naam "samaneen "rakha yani iska matlab yeh hai ke tamam adam momin o momina usi basti mein hazrat nooh ke sath rehte the..aur iske chand rooz baad hi hazrat nooh wafat pa ghay (hazrat nooh ki umr sabse zyada hui hai tu jab arsh pe farishtoon ne hazrat nooh se poocha ke aapne duniya ko kaisa paya tu aapne farmaya"ke mujetu maloom hota hai ke mein aik darwaze se nikl ke dosre darwaze se nikl gyaa...)
    aapki wafat ke baad unki aulaad saam,khaam aur yasif baqi rhi yani yeh pori duniya in teenoon ki nasl mein se hai ..ehle arabo ajam saam ki aulaad mein se hai(agr hum ajmi hai tu i think hum bi unhi ki aulaad mein se hai..)...ehle habsh(blacks) haam ki aulaad mein se hai aur ele taraktistan(i think in mein chinese, japnese wagaira atay hai but m not sure)yasif ki aulaad mein se hai ...marwi hai ke aik dafa hazrat nooh so rhe the tu unho ne khuwab mein dekha ke aik kapra satr ka alag hugya tha jisme mubarak se tu haam ne jab dekha tu hans para aur saam ne jab dekha tu usse unke upar dobara oorh dya tu ispe hazrat nooh ne saam ko dua di tu unki aulaad mein se sare paighambar hue hai aur haam ko baddua thi jiski waja se inka muh sayah(black) hugya aur aulaad bi sayah hi rhi aur baaz awaytoon mein ata ke haam ne saam ko dua di thi isiliyay inki aulaad mein se paighambar hue .....aur umre nooh ke baray mein kuch rawayat mein ata ke unki umr 1400 baras thi kuch ka kehna 1020 baras thi aur aik rawyat hai ke 950 baras thi(waise meine bi yahi suna aur parha hai ke 950 baras thi ab haqiqat kya hai yeh tu khuda hi behtar janta lakin unki zindagi sabse lambi thi )...


    uske baad aulaad saam mein se kuch loogo ne koofe mein baaz ne yaman mein aur baaz ne hizajo sham (yani arab mumalik) aur baaz ne magrib mein jake sheher bsayay ....aur ulaad e haam ne hindustan ko ake abad kiyaa aur aulaad yasif tarksitan mein jake qayam pazir huwi aur whan jake but parasti shuru kardii(isiliyay aj bi unmein se zyadatar ka mazhab buddhism hai)..baad mein inhi mein se kuch loogo ne arab mumallik mein jake whan ke rehne waloon ko bi gumrah kiya(yani but parasti sikhai)...aur aik badshah jiska naam jarham tha aur woh hight mein 400ghaz lamba tha tamam arab iske farmabardar the ...baaz yeh bi kehte the ke iska naam hizr moot tha ...isne whan makanat o baghat aur nehrein bnai thi...aur iski taqat ke muqabl pore arab mein koi na tha...taqreeban 700 baras taq inmein se koi bi mara na tha...woh sab maut ko bhool ghay the aur zamin inse abad o mamoor thi..aur sabke sab jahil the koi bi ehle ilm na tha ...aur tehzeeb naam ki cheez nahi thi unmein...chunache aik din shaitaan inke paas aya aur poocha tum kis ki parastish kartay hu..tu un loog ne kaha ke humein kuch bi ilm nahi...yeh baat sunke shaitaan ne in loogo se kaha ke mein tumhe btaonga ke jiski tumharay baap dada parastish kartay thay...tab shaitaan inmein se chand aik ko leke hita e hindoustan leke gya aur whan ke loogo ko pooja kartay hue dikhaya...ur phir inko butparasti ki talqin ki ...aur pore tareeqe se inko butparasti ka aadi bana dya...aur jo loog hindoustan ayay the woh whan se 5 but utha ke leghay thay...jaisa ke ALLAH ne quran mein farmaya "aur bole na chooryoo apne thakroon ko yani wod ko na sawayih ko na yagoos ko aur na yaooq ko aur na nsr ko(yeh naam un 5 butoon ko dyay ghay jo woh loog hindoustan se layay the )aur woh sab loog unhein poojne lagay aur tamam alam phir se butparast hugya "..



 

 
123

Thread Information

Users Browsing this Thread

There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

Bookmarks

  •