27 Shab -e- qadar
12 Rakaat nimaaz 3 salam se parhein her rakat mein baad surah fatha l surah qadar aik,aik martba surah akhla 15,15 martba parhein baad salam k 70 martba astagfar parhein
Allah Tala is nimaaz parhnay parhnay walay ko nabiyon ki ibadat ka sawab ata farmaye ga Insha Allah ul azeem
27ween shab ko 2 rakaat nimaz parhein her rakaat main surah fateha k baad surah qadaar teen teen dafa Surah Akhlas 5,5 martba parhein
baad salam k surah akhlas 27 martba parh ker gunahon ki magfirat talab karein Allah tala us k tumam peechlay gunnah muwaf farmaye ga Insha Allah
27 Shab ko 4 rakaat nimaaz 2 salam se parhni hai her rakaat main baad surah fateha k surah tukasir aik aik baar surah akhlaas 3,3 martba parhein
Is nimaaz ko parhnay walay per Allah Paak maut ki sakhti aasan akre ga
Insha Allah is per se Azaab-e-qabr bhi muwaf ho jaye ga
Aizan 27 Shab ko 2 rakaat nima parhein her rakat mein baad surah fateha k surah akhlas 7,7 martba parhein baad Salam k 70 Safa yeh tasbeeh muazim parhni hai
AStagfir-ul-Allah-hal-azim-al-alzi La Ilaha Ila HuWal Haiyul Qayumu Wa Aa Tubo Ilaih (yahan per toyen ka ra hai so waqaf karna hai se galay se sirf he ki aawaz nikle gi
Insha Allah tala is nimaaz ko parhnay walay apnay masalay se na uthein gay k Allah Paak us ko aur us k waliden k gunnah muwaf farmaye ga Allah Tala farishton ko hukam de ga k is k liye janat aarasta karo aur Farmaya k Woh jab tak tumam bahishti naimaten apni anakh se na dekh le ga us waqt tak maut na aasakay gi waste magfirat yeh nimaaz bohat afzal hai
Aizan27 Shab qadar ko 2 raqaat nimaz parhein her rakaat mein surah fateha k surah Nashrah aik aik baar surah akhlas 3,3 martba parhein baad salam k surah qadar parhein
Insha Allah ul azeem waste sawab be shumar ibadaat k yeh nimaz afzal hai
27 shab ko 4 rakaat nimaz parhein her rakaat mein baad surah fateha k surah qadar 3,3 dafa,surah akhlas 50 martba parhein baad Salam sajda main sar rakh ker aik martba yeh kalimaat parhein
Subhan Allahe Walhamdulilahe wa La ilaha ilalAllahu Wallah huAkbar
Us baad jo hajat dunyawi o deenwi talab kare insha Allah Tala dargah bari tala main qbaool ho gi
Wazaif
27 Shab qadar ko 7ween HAMEEM parhein yeh 7Ween HAMEEM azaab-e-qabar se nijaat aur magfirat gunah k liye bohat afzal hain
Aizan 27 shab ko Surah Mulk 7 martba parhni wasta magfirat gunnah bohat afzal hai ..!!
Bookmarks