1. #1
    Nov 2010
    USA
    3,447

    Tamasha ho bhi sakta hai

    Teri aankhon main, mere dil ka nakhsa ho bhi sakta hai
    Jise deewar samgha hai wuh, wuh rasta ho bhi sakta hai

    Zamana gour se daikhey, jisey is ne khuda samjha hai
    Woh is ke hath ka pather tarasha ho bhi sakta hai

    Nazar se door reh ker bhi, kisi soch main rehna
    Kisi ke paas rehney ka tareeqa ho bhi sakta hai

    Woh apni sard mehri se, mughey hud main to rakhta hai
    Mera hud se guzurney ka irada ho bhi sakta hai

    Bhari duniya ka maila sath ho to koun si mushkil
    Mager aik shakhs maile main akela ho bhi sakta hai

    Ye seedhi rah per chalna, kahan se seekh aye ho
    Ye rasta doosti ka hai, ye terra ho bhi sakta hai

    Main apney jism o jaan ko sath rehtey daikh ker samjha
    Nibhana ho jisey mushkil woh rishta ho bhi sakta hai

    uchalta, thokarain khata howa paani ka aik dharaa
    Tere dil tak pohanchney ka bahana ho bhi sakta hai

    Nikal ker band kamrey se zara baazar main aao
    Ager tum daikhna chaho, tamasha ho bhi sakta hai


    Ƭσʋт ƨα ɢαʏα нαι мɛяι cнαнαтσи κα ωαʝσσ∂

    Aαв κσι αcнα внι ℓαɢɛʏ тʋ нʋм ιʓнαя иαнι κɛятɛ

  2. #2
    Sep 2012
    524

    han es dunya main kuch bhi hone

    ko ho sakta he

    kabhi pathar ki thokar se bhi ati nahi kharash

    kabhi aik zara si bat se insan bekhar jata hai


  3. #3
    Dec 2010
    SpAIN
    11,277
    Zbrdst Shrng ..!!
    ​




 

 

Thread Information

Users Browsing this Thread

There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

Tags for this Thread

Bookmarks

  •