1. #1
    Nov 2010
    Chand
    1,074

    Ye daulat bhi le lo, ye shohrat bhi le lo

    Ye daulat bhi le lo, ye shohrat bhi le lo
    Bhale cheen lo muJhse meri jawaani

    Magar muJhko lauta do bachchpan ka saawan
    Wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani

    Mohalle ki sabse nishaani purani
    Wo burhiya jise bachche kehte the naani

    Wo naani kee baaton mein pariyon ka dera
    Wo chehre ke Jhuriyon mein sadiyon ka phera

    Bhulaaye nahi bhool sakta hai koi
    Wo choti see raaten wo lambi kahaani

    Kari dhoop mein apne ghar se nikalna
    Wo chiriya wo bulbul wo thithli pakarna

    Wo guriya ki shaadi pe ladna jhagadna
    Wo jhoolon se girna, wo gir ke sambhalna

    Wo pithal ke challon ke pyaare se thofe
    Wo tuti hui churiyon ki nishaani

    Kabhi rait ke oonche tilon pe jaana
    Gharonde banana, banaake mitaana

    Wo maasoom chaahat ki tasveer apni
    Wo khwabon khilono ki taabir jaageer apni

    Na duniya ka gham tha na rishton ke bandhan
    Bari khoobsoorat thi wo zindgaani

  2. #2
    Sahaili's Avatar
    Senior Member
    Dec 2010
    777

  3. #3
    Nov 2010
    Chand
    1,074
    shukrannnn .

 

 

Thread Information

Users Browsing this Thread

There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

Bookmarks

  •