123
  1. #11
    Sep 2013
    Karachi
    36
    zaberdast hey janab... wesey maineya aj tak novel parha nahi kion k sach bataoun tu itney lambey hotey hain k parah parah k thak jaye banda hahaha anyways it's really nice n best part is k kafi clear likha hai in simple lango ... aap ki apni tehreer hey wahhh kia baat hai means aap writer hain nice. Please do share next part soon with us so zayada wait b na kerna parey aur na hi essa ho k loug peechla part bhol jaye k kia howa tha.

    Anyways intazar rahey ga next part ka.

    Thanks for sharing
    Thank You Chalain acha laga aap ko achi baat hai Thak gay hain perh ke to paani pi lein

  2. #12
    Sep 2013
    Karachi
    36
    Woh counter pe se saman samait ke,seema ke pass aa ke baith jati hai
    "subah?"
    woh seema ki taraf dekh ke kuch soochti hai,phir batati hai
    "mai nashta deney gayi thi,woh office janey ke liye tayar ho rehay thay,mujhay dekh ke
    unho ne tray utha ke phainkh di aur office ke liye chaley gay bas."
    "bas!aur tum isey bhi waleed bhai ka ishq samjhin."
    "ishq nahi mohbaat" maha ne muskura ke kaha.
    "haan wohi,tumhay hazar dafa samjhaya hai chaand,tum samjhti kyon nahi keh woh tum se nahi saima se pyar
    kertey hain."
    "mai kaisey yaqeen ker loon,woh meri zindagi hain,aur mai apni zindagi pe shak nahi ker sakhti,
    meri mohbaat kamzoor nahi."
    "ager tumhari zindagi hi tum se keh de keh..."
    "seema please"
    "chaand kal tumhari zindagi ka bhut khoobsurat din hai,waleed bhai ager aaj nahi aay to kal bhi nahi aayain gay,
    aur ye sab unki ghalati hai jo baithay intezaar ker rehay hain."
    seema ne zich hoke kaha aur khari hogayi,usay uthtay howey dekh ke maha bhi khari hojati hai,usay seema ki shakal
    dekh ke hi andaza hojata hai keh woh kuch aisa kerney ja rahi hai jo ghar mein toofan la sakhta hai.
    "seema,tum kiya kerney ja rahi ho?"
    "sach bataney."
    seema ko jata dekh ke us key osaan khata honey lagtey hain.
    "seema,ruko meri baat to suno."
    "yeh lerki kahin kuch ziyada hi sach na bol de."
    woh isi paraishan kun halat mein khari thi keh peechay se kisi ne usay salam kiya aur woh dar gayi.
    "assalam-o-alykum"
    "faraz,tobah hai,dara diya lerkey,walykum assalam."
    "meri pyari baji,kyon dar rahi hain,meri mehbooba aap ka sach nahi bataye gi."
    "itna yaqeen,kyon nahi bataye gi?"
    "kyon ke woh sab kuch tor sakhti hai,per waada nahi tor sakhti."
    maha ko uski baat pe hansi aa jati hai aur woh kaafi dair tak hansti rehti hai,aur woh apni behan
    ko dair tak hansta howa dekhta rehta hai.
    "hansti raha kerain baji,achi lagti hain."
    usi waqt maha ki hansi ko break lag jatey hain.
    "batameez na ho to,waisey aaj dair se kyon aay?"
    "emergency case tha,mai fresh hoke ata hoon."
    aisa kuch tha us ki awaz mein,jo maha thithak jati hai.
    "isey kiya howa."
    usi waqt maha ko tayi ji ki awaz aati hai,woh usay bula rahi theen.woh bhagi bhagi jati hai.
    seema wahan baithi aik aunty se mukhatib thi,jo unke ghar mein kuch dino se mehmaan ki haisiyat se reh
    rahi theen.
    "dekhye aunty,aap humari mehmaan hain,to mehmaan hi ban ke rehain,aap ko.."
    tayi ji ne usay aagay bolney se rok diya.
    "Seema,tameez se baat karo."
    "amma,tameez hi se baat ker rahi hoon,ager inki jaga koi aur hota to mai,mounh tor deti us ka."
    "seema chup karo,kiya hogaya hai."
    maha ne usay rokna chaha.
    "chaand tumhay nahi pata,tum abhi aayi ho" aur aunty ki taraf dekh ke kehti hai.
    "dekhye aunty,mai bhut aram se aap se keh rahi hoon,ye humarey ghar ka gharelo mamla hai,is liye is mein
    dhakal andazi na kerain to behter hai."
    phir apni ma se kehti hai.
    "amma aap ager baba ko mana ker detin to waleed bhai ghar na chortey,mai aab bhi keh rahi hoon,ager woh
    aaj nahi aay to kal bhi nahi aayain gay."
    woh aunty jo aab tak khamoshi se baithi theen,ziyada dair khamosh na reh sakin.
    "acha!!! to ye lerki manhoos hai,jabhi is ghar ka chiragh abhi tak nahi aaya,wohi to mai soochon."
    "aunty zaban sambhal ke baat kerain,ager chaand ke khilaaf aap ne kuch kaha to mujh se bura koi nahi hoga.
    seema ka pa'ara aasmaan ko cho gaya tha,is se pheley ke woh aur kuch kehti,baba ki awaz ne sab ko dehla diya.
    "seema,ye kiya batameezi hai?aur aap rukhsana begum,apni beti ko khamoshi se ye hungama kertey dekh rahi
    hain,aap se zara na howa aik thaper lagayain uth ke,kuch pooch raha hoon mai seema?"
    "baba mai ne kuch nahi kiya,mai amma se keh rahi thi keh bhai ager aaj nahi aay to kal bhi nahi aaayain gay,
    to aunty ne chaand ko bura bhala kehna shuru ker diya,jo mai berdasht nahi ker sakhti,ye humara personal matter
    hai,ager amma aur aap nahi rok sakhtey,to mai ne inhay rook diya,ager ye aab bhi khamosh nahi rahin to mujh
    se bura koi nahi hoga."
    "seema chalo yahan se,baba aram se,mai isey le jati hoon yahan se,chalo..."
    seema ka gussa asmaan se batain ker raha tha,is se pheley ke woh mazeed kuch bolti,maha usay wahan se taqreeban
    ghaseet'tey howey le gayi.
    "demaagh to kharab nahi hogaya hai tumhara,kis terha baat ker rahi thi tum."
    woh usay wahan se kitchen mein le aayi aur khoob suna rahi thi.
    "bas,tum acha banti raho,kaisey woh tumhay bura bol rahi theen."
    "seema,baat acha ban'ney ki nahi hai,woh mujhay bol rahi theen na,bolney detin tum,kiya farq perta hai,aab woh dosrey gharon mein
    ja ke tumhari burayi kerain gi ke rukhsana ki beti aisi hai,waisi hai,is terha rishtey nahi aatey,thora
    berdasht kerna seekho."
    "kisi ko farq parey na parey,per mujhay farq perta hai,koi tumhay ghalat kahey,koi tumhay bura kahey,
    woh mai berdasht nahi ker sakhti,aur rahi baat rishtey ki,to woh lakh dosrey gharon mein
    ja ke meri burayi kerain,mujhay perwa nahi,kyon ke mai already mansoob hoon,woh bhi us se jis se mai
    mohbaat kerti hoon,woh bhi mera saath dein gay,akhir mohbaat jo hai,woh dosron ki bataon mein nahi aayain gay."
    usi waqt faraz us ke sar pe chapat laga ke kehta hai.
    "sharam karo apney mangetar ke samney aisi batain ker rahi ho."
    "ye kab aay aur tum ne mujhay bataya kyon nahi?"
    "mujhay kiya pata ye peechay kharey hoke tumhari batain sunn raha hai."
    "baji,jaldi se khana dijye bhook lagi hai."
    "haan bas garam ker ke lati hoon."
    "aap ko sharam nahi aati,chup chup ke meri baatein suntey hain."
    "aab ye dono shuru hogay,pata nahi inka kiya hoga," maha ne faraz ke liye khana garam kertey howey khud se kaha.
    "mai sunn thori raha tha,mai to dekh raha tha ke meri zindagi kitna acha bolti hai."
    "faraz chalo khana khao."
    maha usi waqt aake faraz ko khana deti hai.
    "tum bata rehay thay ke koi emergency thi jo late aaye."
    maha ne us se poocha,usay tha keh kuch howa zaroor hai hospital mein,jo faraz gumm summ hai.
    "wah baji,itna acha pakaya hai,love u baji."
    faraz ne aisey kaha jaisey us ne maha ki baat sunni hi nahi.maha usay dekhti reh jati hai.
    "seema tum jao jaa ke so jao,mai samait doon gi sab."
    "acha."
    "tum bhi kuch ker liya karo."
    faraz ne seema se kaha.
    "faraz kiya hogaya hai,uski perhayi chal rahi hai,mai khud issay kuch kerney nahi deti."
    maha ne faraz se kaha.
    "sunn liya aap ne." seema ne faraz se kaha.
    kaafi dair se maha dekh rahi thi keh faraz seema ko ghoor raha hai,akhir usay tookna para.
    "faraz khana khao,kyon ghoor rehay ho?"
    "ghoor nahi raha baji,nazer bhar ke dekh raha hoon."
    maha usay dekhti reh jati hai aur dil mein kehti hai "kaash...."
    "Ay Allah in dino ko dhair sari khushyan ata ferma,in dono ko nazer-e-baad se bacha,in dono ko apni
    panah mein rakh Ameen."
    "Seema kaafi dair hogayi hai,tum so jao jaa ke."
    seema uth ke chali jati hai,saath hi faraz bhi khana kha ke uth jata hai.maha sara saman samait ke aur kitchen
    saaf ker ke sehan mein aa jati hai.
    **********************************************************************

  3. #13
    Sep 2013
    Karachi
    36

    Maha sofay pe baithi thi keh faraz us ke pas aa jata hai.
    "aray,oper baitho,merey pas,neechay kyon baith rehay ho?"
    "bas,aaj aap ke kadmon mein baithney ka dil ker raha hai."
    "bhut nahi bolney lagay ho."
    woh us ke balon mein haath phair rahi thi,aur sooch rahi thi keh aaj ye zaroorat se ziyada chup hai,
    bulkey gumm summ hai.
    "baji,merey ser mein ta'ail ki maalish ker dein gi,jab mai choota tha,bilkul waisey hi?"
    "haan haan kyon nahi abhi lati hoon."
    bhut arsey baad faraz ne koi fermaish ki aur maha khush hogayi.woh uthney hi lagi thi ke faraz ne haath
    paker ke rok diya.
    "mai le aya hoon baji,ye lein."
    aur ta'ail ki bottle usay de daita hai,aur maha us ke ser mein maalish kerney lagti hai.isi terha kaafi
    dair woh apna kaam kerti hai aur khamoshi chahyi rehti hai,is khamoshi ko faraz ki awaz toorti hai,jo
    ansoowon se bhari hoti hai.
    "baji,mai ne aap ko bataya tha na keh mai late kyon howa?"
    "hmm."
    "aik emergency case tha,aik aurat aayi thi,us ki nazer poora waqt derwazey ki taraf rahi,jaisey kisi
    ka intezar ker rahi ho,mai check-up ke liye us ka chehra apni taraf kerta to woh phir apna chehra
    derwazey ki taraf ker leti.aakhir mai ne poocha to woh kehney lagi,mai apney betay ka intezar ker rahi
    hoon,jub tak woh nahi aay ga mai ilaaj nahi kerwaoon gi.baji woh aurat apney betay ka intezar kerti
    rahi,per woh nahi aaya,aur woh us ke intezar mein mar gayi."
    aik lamhay ke liye maha ka haath ruk gaya,us ki ankhon se bhi ansoo beh rehay thay.
    "faraz.."
    woh kuch kehney hi wali thi keh,faraz bachon ki terha uski goodh mein ser rakh ke roney laga,woh usay
    chup karaney ke liye us ke ser pe haath phairney lagi.
    "faraz nahi beta,nahi faraz,mera bhai,aisey nahi rootey,ma jub zinda thi,to usay qader nahi thi,aab woh nahi rahi,
    to usay qader hogi,usay ehsaas hoga keh ma kiya hoti hai.bas rootey nahi buri baat aisey nahi rootey."
    maha ko samjh nahi aa raha tha,keh woh kyon ro raha hai,aur woh bhi aisey jaisey us ka kuch kho gaya
    ho,woh to bas usay chup karaney ki sa'ayi ker rahi thi,aur woh hitchkiyon se roye ja raha tha.
    "baji mai aap ko kabhi bhi chor ke nahi jaon ga,kahin bhi nahi jaon ga,humaisha aap ke pas rahoon ga,
    mai aap se bhut pyar kerta hoon,bhut pyar kerta hoon."
    "jaanti hoon mai,mera bhai mujh se bhut pyar kerta hai,bas aab chup ho jao,chalo utho mounh dho ja ke,
    shahbash,koi dekhay to kiya kahey keh ye doctor hai?jo bachon ki terha ro raha hai,chalo shahbash jao,
    mounh dho,aur ja ke so jao,subah phir jana hai na?"
    faraz ne uthtey howey kaha
    "koi kehta hai to kehta rehay,kiya doctor ke seeney mein dil nahi hota."
    aur woh mounh dhoney chala jata hai.maha usay jata howa dekhti hai aur soochti hai
    "to ye baat thi,jo ye aaj itna disturb tha."
    *******************************************************
    "Rukhsana,is aurat ko abhi aur isi waqt ja ke bolien keh ye apna saman pack karey,mujhay ye aurat
    subah is ghar se bahir chahye,ager kal subah meri nazer in par per gayi,to mai khud hi inka saman utha ke bahar
    phaink doon ga.
    Seema aur maha ke jatey hi,woh aunty bhi chali gayeen aur bahar tak aati Taya ji ki awaz ko sunn ke
    apney kamrey mein ja ke saman pack kerney lagi.aab Taya ji,tayi ji ko suna rehay thay,woh bhut bharam
    howey thay,jis terha seema unhay sab bata rahi thi.
    "haad hogayi begum,jab woh aurat beech mein bol rahi thi,to aap ko seema ko tookney ke bajaye us aurat
    ko tookna chahye tha,ager aisa kertin to seema is terha ki zaban istemal na kerti,jo aaj mai ne suni.
    aur ye kal mangni ka function hai humarey betey ka,aur in sahab ka abhi tak kuch pata nahi,kahan hai woh?"
    "pata nahi,subah kuch bol ke nahi gaya."
    kuch dair baad tayi ji phir bolti hain.
    "sunye!!kahin seema sahi to nahi keh rahi,hum bachon ke saath ziyadti to nahi ker rehay?
    aik baar phir sooch lein."
    "Seema to khush hai na,aur woh lagti bhi hai,per waleed najaney kyon aisa ker raha hai,
    maha jaisi lerki usay kahin bhi nahi miley gi."
    "dhondhney kahan di,bas aap ne farmaan jari ker diya tha,keh maha aur waleed ki..."
    "bas rukhsana,mai ne pheley hi keh diya tha,ye mera akhri faisla hai,aur mai aab bhi yehi kehta hoon.
    maha jaisi lerki waleed ko kahin nahi miley gi,chahey woh poori duniya hi kyon na chaan le."
    taya ji ye keh ker apney kamrey mein chaley jatey hain,tayi ji bhi unkey peechay kamrey mein aati hain.
    "aap aik baar phir sooch letey?"
    "bas bhut hogaya,kal ager woh nahi ata,jaisa keh seema ne kaha,woh persoon aya to mai aab in dono ki
    mangni nahi,nikah kerwaon ga.to aap dua kijye,keh woh kal hi aa jaye,nahi to phir nikah ki tayari kijye,
    dono soorton mein is ghar ki bahoo,maha hi banay gi,chahay woh kal aay ya persoon,ager persoon bhi nahi aya to mai samjh jaon ga,
    keh meri sirf aik hi aulaad hai jo seema hai,beta kabhi tha hi nahi."
    tayi ji ne ye sunn ke apna haath seeney pe rakh liya.
    "ye kiya keh rehay hain aap,kis baat ki saza de rehay hain aap usay?"
    "nahi rukhsana,mai koi saza nahi de raha,aur mai apney betey ko saza kyon doon.humara beta lakhoon mein aik hai,
    fermanberdar hai,tum nahi jaanti,mai ne dekha hai,woh aaj kal kiya kerta ph'hir raha hai,jis lerki
    ke saath woh aaj kal hai,woh lerki theek nahi,lekin waleed ki ankhon pe mohbaat ki pat'ti bandhi hai,
    tabhi usay nazer nahi ata keh woh lerki kiya hai per mai jaanta hoon,woh beta hai mera aur usay rokna
    mera farz hai."
    "ye tareeqa theek nahi,hum usay pyar se samjha bhi to sakhtey hain."
    "woh samjhaney aur samjhney ki kaifiyat se bhut door chala gaya hai,tumharey saamney hai,woh abhi tak
    ghar nahi aya,dosra din shuru honey wala hai.rukhsana,mai uska dushman nahi,baap hoon uska,ager hum ne
    usay roka nahi to aik din hum usay kho dein gay,bas mai ye nahi chahta,ager hum ne usay kho diya to hum jeetey
    jee mar jayain gay.maha achi lerki hai,tum usay apni beti ki terha samjho aur dekho,to phir tum dekhna woh kitni
    achi bachi hai,humain aur humarey waleed ko bhut khush rakhey gi,aik baar us nazer se to dekho."
    Taya ji,ye keh ke,sooney chaley jatey hain,aur tayi ji sooch mein per jati hain.
    ****************************To Be Continued****************

  4. #14
    Dec 2010
    SpAIN
    11,277
    Hmm Nice Jii Thanx Per Inne Arsay Bad Share Karoo Gyi Tou Log Pehle Ka Bhul Jaye Gaye Jaise K MY$T3R!0UZ Ny Bola Hai .. Aur Abhi Me K Sath Huwa Hai Me Bhi Bhul Gyi Thi K Kia Read Kia Tha Lol Story Start Ki Tou Samhj Aaya K Kia Chakar Chal Raha Tha Is Main ..Hoo Sake Tou Jaldi Share Kr Dena
    ​




  5. #15
    Nov 2010
    USA
    3,447
    going good. So far story achi jaa rahi hai. Aik cheez ki samjh nahi aye k yeh last paragraph mai wapis peechey kesey chali gaye ?? Novels mai yehi rola hota hai present chal raha hota hai aur aik dam se past mai LOL wesey [MENTION=5101]*Rose Petal*[/MENTION] check ker lena kahin agey peechey tu nahi likh diya aapney I am sorry agar essey hi hai tu sorry mai thora confuse ho gaya houn esliye yeh pocha.

    Baki like D!ctat0r said k try keejiyee ga k jaldi post kar dain next part of it

    Thanks.


    Ƭσʋт ƨα ɢαʏα нαι мɛяι cнαнαтσи κα ωαʝσσ∂

    Aαв κσι αcнα внι ℓαɢɛʏ тʋ нʋм ιʓнαя иαнι κɛятɛ

  6. #16
    Sep 2013
    Karachi
    36
    Hmm Nice Jii Thanx Per Inne Arsay Bad Share Karoo Gyi Tou Log Pehle Ka Bhul Jaye Gaye Jaise K MY$T3R!0UZ Ny Bola Hai .. Aur Abhi Me K Sath Huwa Hai Me Bhi Bhul Gyi Thi K Kia Read Kia Tha Lol Story Start Ki Tou Samhj Aaya K Kia Chakar Chal Raha Tha Is Main ..Hoo Sake Tou Jaldi Share Kr Dena
    mujhay kaha gaya tha kam post kernay ka taakey sab achay se per sakain ager aap chahati hain to aaj hi ker deti hoon sara post theek hai

  7. #17
    Sep 2013
    Karachi
    36
    going good. So far story achi jaa rahi hai. Aik cheez ki samjh nahi aye k yeh last paragraph mai wapis peechey kesey chali gaye ?? Novels mai yehi rola hota hai present chal raha hota hai aur aik dam se past mai LOL wesey @*Rose Petal* check ker lena kahin agey peechey tu nahi likh diya aapney I am sorry agar essey hi hai tu sorry mai thora confuse ho gaya houn esliye yeh pocha.

    Baki like D!ctat0r said k try keejiyee ga k jaldi post kar dain next part of it

    Thanks.
    Thank you nahi agay peechay nahi likha hai continue hai present hi chal raha hai jo past hoga woh clearly mai ne mention kiya hai confusion ki baat nahi hai aram se perhain samjh aa jaye ga

  8. #18
    Dec 2010
    SpAIN
    11,277
    mujhay kaha gaya tha kam post kernay ka taakey sab achay se per sakain ager aap chahati hain to aaj hi ker deti hoon sara post theek hai
    Kam Bolay Tou >> Roz 1 Page Ye Thori Na Bola Hoo Ga 1 Week Bad Akar 2 Line Likh Jana Ab Aap Khud Dekhoo Last Part AAp Ny Kab Share Kiya Tha Aur Abhi Agaye Ka Dour Dour Tak Kuch Aata Pata Nahi Bibi Logoo Ny Bhul Jana Hai Kia Read Kia Tha Loll Aaj Kal wAise Hi Ye Yaad Nhi Rehta Kal Raat Kia Khaya Tha Na Ye K 1 Week Bad YE Story Loll Khair Jo U Ko Sahi Lage AAp Vo Karoo Jab AAp Pura Share Kr Do Gyi Me TabHi REad Kar Longi Ab Aap Sara 1 Sath Share Karoo Yea Parts Main Khush Rahoo ..!!
    ​




  9. #19
    Sep 2013
    Karachi
    36
    Doosra din shuru hota hai,jo maha ke liye bhut khushi ka din hai,lekin waleed ka abhi tak kuch nahi
    pata,aur woh dua ker rahi thi keh aaj woh aa jaye.
    woh kitchen mein sab ke liye nashta bana rahi thi keh sab se pheley faraz aa gaya.
    "assalam-o-alykum baji."
    "walykum assalam,uth gay?neend achi aayi?"
    "kyon nahi aay gi achi neend,akhir meri baji ne jo maalish ki thi ser mein,neend to achi aani hai,
    jaado hai aap ke haathon mein."
    ye boltey howey faraz parathon ki taraf haath berhata hai.
    "faraz garam hai,parey hato,udher baitho mai le ke aati hoon."
    maha ne faraz ke haath pe chapat lagatey howey kaha.
    "jiyo baji,khush rahain,abaad rahein Ameen,i love u baji."
    faraz ne apni pasandeeda khaney ki cheez dekhi to us se raha na gaya.
    "acha bas,aab jaldi khao warna late ho jao gay."
    itney mein seema bhi bhagi bhagi aati hai.
    "aram se seema,aur late utho,aram se nashta karo baith ke inson ki terha."
    "nahi nahi chaand,aaj late hogaya hai bhut,class mis hojaye gi."
    seema chai pi ke,taqreeban bhagti sab ko Allah hafiz kehti howi derwazey ki taraf jati hai.
    "seema, faraz chor de ga."
    "nahi nahi mai chali jaon gi."
    usi waqt faraz kehta hai.
    "merey saath jatey howey sharam aati hai."
    "ji nahi mujhay dair ho rahi hai,is liye,warna aap hi ke saath jati."
    "sharam to aati nahi."
    "chaand dekho na!!."
    "Faraz,tang mat karo,nashta karo chup ker ke,seema tum jao,Allah hafiz,khayal se jana."
    itney mein faraz bhi nashta ker ke uth jata hai.
    "faraz,aaj jaldi aa jana."
    "baji,aap aab bhi purumeed hain keh waleed bhai aaj aa jayain gay?"
    woh aik nazer apney bhai pe dalti hai aur kehti hai
    "haan faraz mujhay umeed hai."
    aur woh apni behan ko dekhta reh jata hai.
    *****************************************************************************************************
    Dosra din bhi khatam howa,sab intezar kertey rehay,per waleed ko na ana tha aur woh nahi aya.seema ki
    baat sach sabit howi.faraz ne hospital se phone ker ke maloom kiya,aur aab woh dair se aay ga.maha ko faraz
    ke liye to jaagna hi tha,so woh akhir waqt tak waleed ka bhi intezar ker rahi thi.uski zindagi ka behtreen din,
    us ki zindagi ka khushi ka din,sirf intezar aur umeed pe khatam howa.lekin woh aab bhi man'ney ko tayar nahi
    keh waleed us se shidat se nafrat kerta hai aur sirf us ki waja se ghar nahi aa raha.
    teesra din phir umeedon ke saath keh shayad woh aa jaye,keh shayad seema ki baat sach hojaye,shuru howa.
    sehan mein taya ji aur tayi ji baithay thay,maha kitchen mein dophar ke khaney ki tayari ker rahi thi,
    seema college aur faraz hospital ja chukey thay.derwazey pe khatke ki waja se sehan mein baithay nafoos
    ki tawaja wahan mabzool howi,waleed derwazey se ander aa raha tha,us ne salam kiya.
    "assalam-o-alykum."
    "walykum assalam,aagay aap,fresh ho ke aaye taakey zaroori baat ker sakein."
    waleed fresh honey chala jata hai,maha aik aur faisley ki muntazir.tayi ji,apney shohar ke aik aur faisley
    aur inkeshaaf ki muntazir.akhir waleed aya,taya ji ne maha ko awaz di,taakey jo faisla woh kerney ja rehay hain,
    us mein usko bhi shareek kiya jaye.
    "chaand,beta aap bhi aa jao."
    "ji baba, aayi."
    maha ne aik nazer waleed ke chehrey pe dali,jahan usay filwaqt sakoon nazer aa raha tha.us ne usay salam
    kiya.
    "assalam-o-alykum."
    waleed ne na usay dekha aur na hi us ke salam ka jawab diya.
    "salam ka jawab to de do bachi ko,koi qayamat nahi aa jaye gi."
    taya ji ne waleed ko daant'tey howey kaha,waleed ko na chahtey howey bhi jawab dena para,lekin us ne maha ko na dekha,
    jawab deney ke baad woh apni haathon ki ungliyon se khailney laga,maha ne pheley us ke haathon aur phir
    us ke chehrey ko dekha wahan aab bhi sakoon tha.
    "waleed,tum batana pasand karo gay keh ye do din kahan thay,kal tumhari mangni ka function tha?"
    "baba office mein zaroori kaam aa gaya tha is liye."
    "jhoot boltey ho tum,aisa kiya kaam tha keh tum ghar phone ker ke itlaa na de sakay.dekh rahi ho rukhsana,
    ye,ye humara beta,humain bewaqoof samjhta hai."
    "baba,baba,please aram se aap ki tabiyat kharab hojaye gi,aap baithye mai paani lati hoon,aap ke liye."
    taya ji ik dum gussay mein gaye,ager maha na rookti to un ki tabiyat kharab honey ka khadshah tha.woh paani
    leney ke liye uthi,lekin unho ne mana ker diya.
    "baith jao chaand,mujhay kuch nahi howa."
    "aap aram se baat kerain,woh samjh jaye ga."
    tayi ji ne apney shohar se kaha,is pe taya ji ne unhay aisi nazeron se dekha keh woh sherminda hogayeen.
    "aab chahey tum sach bolo ya jhoot,mai ne aik faisla kiya hai,is jummay ko tumhara maha ke saath nikah hai,tayari ker lo,
    ager is baar tum ne ghar chora,to yaad rakhna mai samjh loon ga,mera koi beta nahi,sirf aik beti hai seema,
    yaad rakhna."
    taya ji apna faisla sunna ke chaley jatey hain,aur sehan mein baithay ye teen nafoos apni apni jaga sakit.
    waleed ik dum se uthta hai,maha dar ke us ki taraf dekhti hai keh najanay woh kiya kerney ja raha hai,
    lekin waleed aik nagawaar aur zehar bhari nigah us pe daal ke kursi ko thoker maar ke apney kamrey mein chala jata hai.
    woh tayi ji ki taraf dekhti hai,lekin un ke chehrey pe usay kuch nazer nahi ata,woh khamoshi se uthti hain,
    bagair us ki taraf dekhay chali jati hain.maha wahan baithay baithay soochti hai keh us ka naseeb kiya hai?
    woh,jis se ye mohbat kerti hai ya kuch aur?woh uth ke kitchen mein aa jati hai.
    "assalam-o-alykum,kiya yaar tum har waqt kitchen mein hi paayi jati ho,kahin aur bhi nazer aa jaya karo."
    maha apni soochon mein itni mehv hoti hai keh seema kab aayi usay pata na chala.
    "tum kab aayi?jao ja ke fresh ho jao mai khana lagati hoon."
    woh fresh honey chali jati hai,aur maha apney khayalon mein gumm us ke liye table pe khana lagati hai.
    "aaj to itni germi hai keh bas,aik do teachers bhi nahi aay thay,hum lerkiyan to cafe mein hulla gulla kertey rehay."
    "tum kab aayi?mujhay pata hi nahi chala,kiya keh rahi ho?kuch keh rahi thi tum?"
    seema ko uski dimagi halat pe shak howa,usay kuch gerber ka ehsas howa.
    "kiya baat hai chaand?tumharey saamney hi to mai aayi hoon,idher dekho meri taraf,kiya baat hai?mai...
    mai faraz ko phone kerti hoon."
    "nahi seema,usay paraishan mat karo,baith jao,mai batati hoon."
    kuch dair ki khamooshi ke baad maha usay batati hai.
    "woh wapis aa gay hain."
    "kon,waleed bhai?"
    "haan,aur baba ne faisla sunna diya hai,is jummay ko humara nikah hai,baba ne un se keh diya hai,
    keh ager unho ne ghar chora to baba samjh lein gay keh unka koi beta nahi,sirf aik beti hai seema."
    "kiya?oh God!!"
    seema ye sab sunn ke sakit reh jati hai,aur aik baar phir khamooshi chah jati hai.


  10. #20
    Sep 2013
    Karachi
    36

    "Seema ye khush nahi hai."
    is khamoshi ko maha ne toora,aur apney dil pe haath rakh ke seema se kaha.woh us ke chehrey ko dekh rahi
    thi,jahan ankhon mein usay ansoo ki jagah,weerani nazer aayi.
    "chaand!"
    "jaanti ho kyon?"
    maha ne jaisey seema ki awaz hi nahi suni.
    "kyon ke woh khush nahi.ye dil bhi ajeeb hai,jis ki chahat rakhta hai,woh isey mil raha hai,per dekho ye
    phir bhi khush nahi.mohbat jo kerta hai kaisey khush reh sakhta hai,us ka mehboob jo khush nahi."
    seema ko us ki dimagi halat pe shak honey laga,usay laga woh pagal hojaye gi,ager aisi hi batain
    kerti rahi,us ne faraz ko phone ker ke ghar bula liya.
    "seema tumhari baat ka mujhay aab bhi yaqeen nahi,lekin dekho,ye dil phir bhi khush nahi,issey to khush hona
    chahye na?"
    "chaand!khuda ke liye chup hojao,kyon is terha ki batain ker rahi ho?"
    "mai ne un se shidat se mohbaat ki,per woh mera naseeb nahi,mager mai unki khushi mein khush hoon.woh
    ager kisi aur ko pasand kertey hain,to mai khamoshi se unki zindagi se door chali jaon gi aur un ki
    khushiyon ke liye dua karoon gi,per dekho na.."
    "chaand!please chup hojao please,kyon is terha ki batain ker rahi ho?"
    "mai to chup hi hoon seema,mai kahan kuch bol rahi hoon,ye to mera dil bol raha hai.chalo aao khana khatey
    hain,sab ko bula lo."
    "chaand!tum theek to ho na?"
    "haan bilkul theek hoon,mujhay kiya howa hai.kuch hona tha kiya?"
    "nahi,tum khana lagao,mai bulati hoon sab ko."
    khana khamoshi se khaya gaya,sirf seema thi jo paraishan thi,baar baar uski nazer derwazey pe uthti.
    "faraz abhi tak nahi aay,pata nahi kahan reh gay hain."
    seema ne soocha aur phir sab ke uth janey ke baad maha ke saath table se khaney ke bertan uthaney lagi.
    sab apney apney kamrey mein aram kerney ki garz se chaley gay,siwaye seema aur maha ke.seema kitchen saaf ker
    rahi thi aur maha bertan dho rahi thi,keh usi lamhay waleed kitchen mein aya aur maha ko mukhatib ker ke kaha..
    "chaand!merey kamrey mein aao abhi aur isi waqt."
    "ji."
    maha,seema ki taraf dekh ke andaza laganay ki koshish kerti hai keh kyon bulaya hai.
    "mujhay kiya pata tum ja ke dekho,pata nahi kiya kehna chahtey hain,kahin mohbaat ka izhaar na ker dein."
    seema ne us ka mood khushgawar kerney ki khatir kaha.
    "acha aab batameezi na karo."
    maha ser pe duppatta rakh ke,ghabrayi howi si haalat mein,waleed key kamrey ka derwaza khatkhatati hai.
    "aa jao."
    "dekho chaand,tumhay andaza to hogaya hoga keh mai ne tumhay yahan kyon bulaya hai."
    maha chahney ke bawajood apni nazrein utha ke uski taraf na dekh saki.us ne kabhi bhi waleed ke samney
    apni nazrein nahi uthayein,woh jab bhi aata,ser pe jamay jamaye duppattay ko bhi naye sirey se ser pe
    tikaanay lagti.jab woh aata to aisey ghabrati,jaisey abhi us ke ser pe kharey ho ke us se mohbaat ka izhar
    kerwaye ga.aur aaj to us ki halat kharab ho rahi thi,dil aisey dharak raha tha,keh abhi aur isi waqt bahir aa jaye ga.
    apney duppattay ko baar baar ser pe sahi kerti,pankha chalney ke bawajood,usay paseeney aa rehay thay.
    us ki samjh mein nahi aa raha tha keh woh kiya keh raha hai.
    "tum samjh rahi ho,mai kiya keh raha hoon?"
    "ji."
    "aik to tumhara "ji" mujhay zehar lagta hai.dekho chaand mai tum se shadi nahi kerna chahta.pheli baat,
    tum mein aisi koi baat nahi jo mai tumhay pasand karoon ya tumhay dekh ke merey dil ne kabhi nahi kaha
    keh haan yehi woh lerki hai jo tumhari zindagi ko bahar bana de gi.ye sharam-o-haya,ye ghabrahat,ye
    nazrein jhukana,mujhay aisi lerkiyan achi nahi lagtin,mujhay bold lerkiyan pasand hain,jo apni mohbaat
    ka izhar kerna janti hoon,jo nazron se nazrein mila ke baat kerti hoon,youn tumhari terha ghabrati na hoon.
    aur dosri baat is ghar mein tumhara wajood,tumhara baba ke agay peechay phirna,unki khidmat kerna.jab
    se tum is ghar mein aayi ho,baba tumhari har baat maantey hain,jaisey tumhi ho unki aulaad,mai aur seema
    kuch nahi."
    "aap ko ghalatfehmi howi hai,baba aap dono se bhut pyar kertey hain."
    "ye meethi meethi batain tum unhi se kiya karo,mai in baaton mein nahi anay wala,andha nahi hoon mai.
    jab se tum is ghar mein aayi ho,tab se is dil mein tumharey liye sirf nafrat hai,sirf nafrat.baba ko
    nazer nahi aata najaaney tum ne un pe kiya jadoo ker diya hai.per mai ne dekha hai,un ke agay peechay kyon phirti ho tum?
    unki khidmat kyon kerti ho tum?is liye sirf is liye keh tumhay ye ghar aur ye jaidad chahye."
    maha ye sunn ke sakit reh jati hai,us ki ankhon se ansoo behnay lagtey hain,jo woh kab se rookey khari thi.
    woh waleed ko aisey dekhti hai,jaisey woh waleed nahi koi aur ho.aaj maha ko maloom howa,ke woh us se
    itni nafrat kerta hai keh uski khidmaton ko woh lalach samjh raha hai.haanlakey us ke dil mein siwaye
    mohbaat ke aur kuch nahi.woh aik pal bhi yahan nahi teharna chahti,is liye jaaney ke liye murr gayi.
    lekin waleed ne us ka haath paker liya,aur is mazbooti se pakra ke us ke haath mein takhleef honey lagi.
    "mera haath chorein."
    "kyon choron?tumhay takhleef,azyat aur ansoo deney ke liye hi to ye haath pakra hai,aur haan,baba se
    inkaar karo gi to kuch na kuch to mu'uavza chahye hoga tumhay,to ye lo kuch rakam."
    waleed ne drawer mein se kuch rakam nikal ke maha ke haath pe rakhi,maha shishder se usay dekhti rahi
    aur apna haath churanay lagi.aab usay takhleef nahi horahi thi keh usnay kis kader mazbooti se
    us ka haath pakra hai,aab usay sirf is baat ki takhleef thi keh us ke samney woh shaks khara hai,jisey woh toot
    ke chahti hai aur jo us se buri hadd tak badgumaan hai aur shadeed nafrat kerta hai.
    "chorein mera haath,choorein mera haath,mai kehti hoon choorein mera haath."
    usney apna haath aisey zor se churaya keh us ke haathon ki chooriyan toot ke bikher gayeen aur kuch is ki kalayi mein ghoonp
    gayeen,jahan se aab khoon rusney laga tha,lekin usay kisi baat ki perwa nahi,lekin waleed khoon dekh ke
    ghabra gaya tha.
    "chaand,tumharey haath se khoon.."
    lekin maha ne kuch suna nahi.
    "bhut garoor hai na aap ko in paison ka,kisi ki mohbaat aur khidmaton ko lalach samjhtey hain.sambhalye
    inhay,apna sadqa utaar ke gareeboon mein baant dijye ga,duayain dein gay."
    maha ne woh rakam waleed ke mounh pe phainki aur jaaney lagi.
    "aur aik baat aur,mera naam maha hai,ainda maha ke naam se pukarye ga,aur zindagi mein kabhi merey samney
    mat aaye ga kahin kuch bura na hojaye mujh se."
    aur kamrey se chali jati hai.neechay faraz khara kab se,seema se pooch raha tha aur seema ne usay bataya
    keh waleed bhai ne chaand ko apney kamrey mein bulaya hai,aur baba ka faisla bhi bata diya.maha ko aata
    dekh ke faraz aur seema us ki taraf berhtey hain,lekin woh unhay nazer andaz kerti apney kamrey mein chali jati hai
    aur almaari se apna saman nikal ke pack kerney lagti hai aur faraz se kehti hai.
    "faraz apna samaan pack karo,hum abhi aur isi waqt ye ghar chor ke ja rehay hain."
    faraz aur seema ye sunn ke hairat se aik dosrey ki taraf dekhtey hain.
    *****************************************************************************

    "baji howa kiya hai,bataye to?"
    "chaand,kiya kaha waleed bhai ne?"
    "mujh se kuch mat poocho,mai nahi bata sakhti,faraz jao aur apna saman pack karo."
    "aap jahan kahain gi,mai aap ke saath chaloon ga,lekin aap ko batana hoga keh baat kiya hai."
    "zid mat karo faraz,please."
    "aap ke haath se khoon bhi nikal raha hai,bataye kiya howa hai,waleed bhai ne kiya kaha,aap ko
    meri .."
    "nahi,faraz kasam mat dena."
    aakhir faraz ne aik aisi baat soochi,jis se usay poora yaqeen tha keh maha aab zaroor bataye gi,us ne
    aik nazer seema ko dekha,woh usi ki taraf dekh rahi thi.faraz ki aankhon mein kuch aisa nazer aya,jaisey
    woh kuch aisa kehney ja raha hai,jis pe chaand ka reaction kuch bhi hosakhta hai.
    "theek hai baji,aap nahi batana chahti na batayain,lekin meri aik baat sunn lein."
    jahan maha ka haath kaam kertey howay ruka,wahin seema ke dil ki dharkan bhi thamney lagi,woh dono faraz ki
    taraf mutawaja howay.
    "jaaney se pheley mai seema se apna har rishta toorta..."
    us ki baat mukamil honey se pheley hi maha ne usay aik thapar mara.faraz to hairat se ga'ang reh gaya
    aur seema ki halat bhi taqreeban aisi hi thi.woh dono hairat se maha ko takney lagay,jo aab ro rahi thi,
    aur apney haath zor zor se table pe maar rahi thi,jaisey apney aap ko saza de rahi ho.woh dono us ki
    taraf,usay rokney ke liye berhay.
    "baji please na kerain aisey."
    "chaand khuda ke liye,kiya ker rahi ho."
    "baji idher aye,yahan baithye."
    "seema,first-aid lao kamrey se."
    "ji mai laati hoon."
    seema ye kehtey howey first-aid leney chali jati hai,itney mein faraz usay bed per bitha deta hai aur
    khud us ke kadmon mein baith jata hai aur us ke haath se bachi howi chooriyan utaarta hai.
    seema box le aati hai aur usay deti hai.
    "kyon saza de rahi theen aap apney aapko?aap ko haq hai baji,aap ma hain meri,beta hoon mai aap ka,phir
    kyon?mujhay to hasrat hi rahi keh mai kabhi koi aisi baat karoon keh aap mujh se naraz hojayain,koi aisi
    baat jis pe aap ka haath uthay,mujhay maarney ke liye,koi aisi zid jis pe aap gussa hoon,lekin mai
    ne aap ko na haath uthatey dekha,na naraz hotey,na gussa hotey dekha,haanlake mai aap ko kitna taang
    kerta hoon."
    woh bolta ja raha tha aur maha ke haath ke zakham ko saaf kerta ja raha tha.seema bhi wahin thi aur
    maha ke saath ro rahi thi.
    "jab bhi ghar ke liye aa raha hota hoon,raastey mein kitney hi bachay apney ma baap se zid ker rahay hotey,
    unhay hasrat se dekhta hoon,zid kertey dekhta hoon,unki ma ko gussa hotey dekhta hoon,to mujhay baikhtiyar
    aap yaad aati hain,keh mai aap ko kitna tang kerta hoon,per aap ne kabhi mujhay kuch nahi kaha.lekin
    aaj mai itna khush hoon,keh kaash ye baat mai pheley keh deta to hasrat nahi rehti."
    "pagal."
    maha ne faraz ke aik chapat lagayi aur ansoowaon ke dermiyan hans di.
    "dard to nahi ho raha baji?thora sa hoga,chooriyon ke kaanch aap ki kalayi mein thay,mai ne nikal ke
    patti ker di hai."
    "nahi ho raha dard,iam sorry faraz mai ne.."
    "nahi baji nahi,mai ne kaha na aap ko haq hai.aap ne mujhay ma,baap,behan,bhai,dost,sab ka piyar diya,saarey rishtey diye
    mujhay bahir dhoondhney ki zaroorat hi mehsoos nahi howi.mai aap se bhut bhut pyar kerta hoon baji,
    aap ke liye apni jaan de sakhta hoon lekin aap ki ankhon mein ansoo nahi dekh sakhta.aap ko
    khush dekhna chahta hoon aur us ke liye,mai kuch bhi ker skahta hoon."
    "nahi faraz,rishtey nahi tora kertey,merey liye tum apni zindagi ko khud se alag ker do gay,tumhari
    baji khudgarz nahi hain jaan."
    aur phir maha,faraz aur seema ko sab kuch bata deti hai,ye jaaney bagair keh ye sab sunn ke faraz ka
    reaction kiya hoga.
    "faraz,kahan ja rehay ho?"
    faraz ko jata dekh ke maha dar jati hai.
    "waleed bhai ke pas."
    "nahi faraz,meri baat suno,please beta meri baat suno.seema usay roko,seema tum sunn rahi ho usay roko."
    "mai nahi rokon gi chaand jaaney do,koi to sach bolay ja ke."
    "tum log pagal hogay ho."
    maha khud usay rokney chali jati hai,aur jab tak woh kamrey mein phunchti hai,faraz waleed ko bata
    raha hota hai.
    "aap ne acha nahi kiya waleed bhai,meri behan ko beizzat ker ke aap ne acha nahi kiya.aap bhut
    pachtayain gay jab aap ko pata chaley ga,keh aap jis ghar mein,aur is ghar ki jis zameen pe aap kharey
    hain,woh kis ki badoulat hai to aap ke pairon taaley se zameen sarak jaye gi.jis ki badoulat aap yahan hain,
    woh aap se bhut moh.."
    usi waqt maha aa key usay rok deti hai,is se pheley ke woh apni baat mukamil kerta,apni behan ki awaz sunn
    ke chup hogaya.
    "nahi faraz nahi."
    "aab bhi nahi baji?"
    "haan aab bhi nahi,aab kabhi bhi nahi.chalo yahan se,apna saman pack karo,chalo faraz please."
    aur maha usay wahan se le jati hai.waleed soch mein per jata hai,keh faraz aisa kyon keh raha tha,is
    ghar aur is zameen ke mutaliq.itney mein faraz aur maha apna saman pack ker ke jaaney lagtey hain.
    taya ji ke kamrey mein,seema,taya ji aur tayi ji mojood hotey hain,seema ne in dono ko sab kuch bata diya tha.
    faraz aur maha ko dekh ke woh sab apni jaga se kharey ho jatey hain.taya ji maha ke pas apney dono haath joor ke maafi maangtey hain
    "beta mujhay maaf ker do."
    "nahi baba aisa mat kerain,ayain yahan baithain."
    "baba mai faraz,hum dono ko aap se ya kisi aur se koi shikayat nahi.per baba mai yahan nahi reh sakhti,
    aap samjh rehay hain hai na,keh mai yahan kyon nahi reh sakhti?"
    "haan beta."
    "to bas baba,maafi mat maangain.aap hum se baray hain,humaray ma baap jaisey,aur ma baap bachon se maafi nahi
    maangtey,un ke ser pe haath rakhtey hain,unhay duain detey hain,hai na baba?"
    "haan beta."
    "aap apna khayal rakhye ga,dawayain waqt per lijye ga aur gussa bilkul nahi.seema,mai ne baba ki
    dawayain yahan side table ke drawer mein rakhi hain,unhay time pe deti rehna."
    maha ne tayaji ke saath saath seema ko bhi samjhaya.
    "acha baba hum log chaltey hain,tayi ji,seema meri amanat hai aur aik din mai isey leney aaon gi,
    meri amanat ka khayal rakhye ga aur hum dono se koi ghalati ya bhool hogayi ho to humain maaf ker dijye ga.
    chalo faraz! Allah Hafiz."
    maha ne tayaji ke saath tayi ji ko bhi Allah hafiz kaha aur seema ke mutaliq bhi yaqeen dehani kara di
    ke woh amanat hai humari.jab woh aur faraz jaaney lagay to taya ji ne maha se aik aisa sawal kiya ke
    maha ki dharkan tham si gayi aur ankhon mein ansoo anay lagay.faraz ne usay sambhala aur bechaini se
    jawab sunay ke liye apni behan ki taraf dekha,yehi haal seema,taya ji aur tayi ji ka bhi tha.
    "chaand!!beta,kiya tum aab bhi waleed se mohbat kerti ho?"
    "mohbat kerti thi baba,kerti thi,aab is dil mein unkey liye koi jaga nahi."
    itna kehay ke maha agay berh jati hai aur faraz us ke peechay.ye sunn ke taya ji,seema aur tayi ji
    sakit reh jatey hain.
    ********************************************************************************************

    "bulao usay,mujhay baat kerni hai uss se."
    taya ji ki dhaar ne ghar mein chahye sakoot ko toora,seema ghabra ke unke paas aayi.
    "nahi baba,aram se ,aap ki tabiyat kharab ho jaye gi,please baba gussa nahi please."
    "nahi seema,aaj kuch bhi hojaye mai bataon ga ussay ke usney kisay khoya hai,bulao ussay."
    seema jaldi se waleed ko bulaney chali jati hai.
    "baba bula rehay hain aap ko."
    seema ye keh ke usay dekhney lagti hai.
    "aa raha hoon...aisey kiya dekh rahi ho?"
    "aap ke chehrey ko dekh rahi hoon,un ke jaaney ke baad aap ke chehrey pe kiya aaks hain,khush hain,
    udas hain ya phir fiker hai,per yahan to kuch bhi nahi,khair jaldi aaye baba ko baat kerni hai aap se."
    seema aur waleed aik saath kamrey mein dakhil howey.waleed ko dekh ke tayaji apni jagah se uthay aur us
    ke pas jake usay aik thaper mara aur garaiban paker ke us se jawab talab ker rehay thay.seema unhay
    rokney ki koshish mein halkan hogayi thi.
    "jawab do mujhay kyon kiya aisa,kyon waleed kyon?"
    "please baba please aram se."
    "poocho apney betey se rukhsana,ye humain kis baat ki saza de raha hai,hum ne kiya gunah kiya jo aaj is
    ne humain undono ke samney sharminda ker diya,poocho is se."
    "jawab do waleed kyon kiya aisa?"
    taya ji ke baad aab tayi ji ne bhi us se jawab talab kiya,per woh khamosh raha,us ne kuch nahi kaha.
    akhir taya ji ne usay sab batana shuru kiya.
    "bhut paisa hai tumharey pas,bhut paisa jo tum youn sab ki khidmaton aur mohbaton kay silay detey ho.
    bhut pachtao gay waleed bhut pachtao gay.aray us lerki ne tumhara kiya bigara tha,sirf mohbat hi to ki
    thi,tum se mohbat to nahi maangi thi us ne,jo tum ne us ki beizzati ker di.duniya ghoom lo,kahin bhi
    chaley jao,per mai ye baat daway ke saath keh sakhta hoon ke us jaisi lerki tumhay kahin nahi miley
    gi."
    waleed apney baap ko aisey dekhney laga jaisey us ne koi anokhi baat sunn li ho.usay apney aas pas yehi
    alfaaz sunayi de rehay thay keh "sirf mohbat hi to ki thi tum se."
    "ye jo tum is ghar ki cha'att ke neechay kharey ho aur is ghar ki zameen pe jo tumharay kadam hain,ye
    kis ki badoulat hai?"
    waleed sawaliya nazron se dekhney laga.
    "ussi ki badoulat jissey tum ne beizzat kiya hai,ager woh apna zewar na baichti to aaj hum serkon ki
    khaak chaan rehay hotey.business mein paison ka ghapla hogaya tha,mai to ye ghar girwi rakh raha tha,
    per chaand ne mana ker diya,aur apna sara bacha kucha zewar mujhay de diya keh mai is ka kiya karoon gi
    aap baich dein.mai mana kerta raha per woh nahi maani.us ne aaj tak mujh se kuch nahi ma'anga,us ne
    sirf diya hai,faraz ko,seema ko,mujhay,tumhari ma ko aur is ghar ko,mai usay paisa deta to woh yehi kehti
    baba mai kiya karoon gi,aap faraz ki fees to detey hain,bas merey liye bhut hai,usay chooriyan pasand hain,
    lekin us ne kabhi paisey nahi ma'angay ke baba kuch paisey de dein chooriyan leni hai.per tum ne,waleed
    tum ne,aik lamhay mein us ki mohbaton aur khidmaton ka sila de diya,mai is arsey mein usay kuch na de
    saka aur tum ne aik lamhay mein.usay paisey chahye hotey,ye ghar,ye jaidad chahye hoti to woh ye le ke
    jati,per woh to kuch nahi le ke gayi kuch bhi nahi.per tumhay kiya,faraz chahta to seema se apna rishta
    tor ke jata,per nahi jaantey ho kyon?chaand ki waja se,us ki terbiyat ki waja se.us ne faraz ko ma,baap,
    behan,bhai,dost har rishtey ka pyar diya,chaand ne usay rishtey toorna nahi,joorna seekhaya hai.per tumhay
    kiya,koi jiye ya marey,kisi ka dil tootey ya ghar ujrey,chahay woh tumhari behan ho ya ma baap."
    waleed aab afsurda tha,sab sunnay ke baad usay pata chala keh faraz is ghar ki baat kyon ker raha tha.aab
    usay ehsas howa keh maha us se mohbaat kerti thi,us ka ghabraya howa chehra us ki nazron ke samney ghoom gaya.
    "baba.."
    "rukhsana,iss se kaho,ye meri nazron ke samney se chala jaye."
    "baba please mujhay..."
    "waleed rota howa unkey kadmoon mein baith gaya,per taya ji tis se mis na howey.
    "aik baar baba mujhay maaf ker dein,mai aap se wada kerta hoon,mai un dono ko aap ke pas aik din zaroor laon ga
    please baba please mujhay maaf ker dein."
    "waleed mujhay sambh.."
    "baba..."
    seema aur tayi ji ki cheekh ne usay oper dekhney pe majboor kiya.aik lamhay ki dair hojati to woh zameen pe girtey,
    lekin waleed ne unhay apney mazboot bazoaon mein thaam liya aur foran gaari mein daal ke hospital le gaya.hospital
    ke corridor mein woh teeno apni apni jagah paraishan thay.seema,apni ma ko sambhaley howey thi aur waleed
    in dono ko.doctor ko ata dekh sab apni jaga alert hojatey hain.
    "minor attack tha,Allah ka shuker hai aab khatrey se bahir hain,hosh mein anay ke baad aap sab un se mil sakhtey hain."
    un teeno ne sukh ka saans liya,waleed ne seema aur apni ma ko sambhala .seema us ke seeney se lag ke ronay
    lagi.hosh mein anay ke baad waleed kamrey mein jata hai aur apney baba ka haath thamta hai.
    "baba,mujhay maaf ker dein mai ne maha ko pehchan'nay mein bhut bari ghalati ker di,mai un dono ko aik din
    dhoondh ke pas laon ga.bas aap jaldi se theek hojayain,humain aap ki zaroorat hai."
    taya ji ne ankhain khol ke apney betey ko dekha aur muskura diye.aik haftey hospital mein rehney ke baad
    doctors ne unhay discharge ker diya.ghar aake sab khamoshi se apney apney kamrey mein chalay jatey hain.
    sab maha aur faraz ki kami mehsoos ker rehay thay.
    ********************************************************************************************************
    do(2) saal guzer gaye.taya ji ki sehat aab kaam kerney ki ijazat nahi deti,is liye woh ghar pe rehney lagay,
    aur koi na koi kitaab perhtey ya maha aur faraz ko yaad kertey.tayi ji ki sehat bhi aab theek nahi rehti
    aur aab woh aksar-o-baishter maha ko yaad kertin aur roti rehtin keh kis terha maha ne sab kuch sambhala
    howa tha.seema ki perhayi mukamil ho chuki thi.aab woh ghar ko sambhalti aur apney ma baap ki khidmat kerti.
    farig waqt mein woh maha aur faraz ko yaad kerti.waleed office ke liye jata to raat ko dair se ata.pichley
    do saal mein us ne undono ko har jaga taalash kiya lekin woh kahin nahi miley.woh har waqt aab maha ko
    yaad kerta rehta,kabhi woh usay kitchen mein kaam kertey howey nazer aati,kabhi kamrey mein,kabhi kaprey
    press kertey howey.kabhi us ka ghabraya howa chehra us ki nazron mein ghoom jata,kabhi us ki jhuki howi
    nazrein,kabhi ghabrahat mein usay dekh ke apna jama jamaya duppatta sahi kertey howey.go keh woh roz isi
    soorat-e-haal se guzerta,lekin kabhi us ne apney aap se,ye nahi kaha keh usay ishq hogaya hai.per aaj
    najanay kiya howa ke woh,raat mein aasmaan pe chaand ko dekh ke kehney laga..
    "mai aik din tumhay dhoondh loon ga aur jis din tum mujhay mil gayeen,us din mai tumhay bataon ga ke mai tum se ishq
    kerney laga hoon.haan maha mai tum se ishq kerta hoon."
    ye sab taya ji waleed ke kamrey ke pas se guzertey howey sunn letey hain aur un ke chehrey pe muskurahat
    aajati hai.
    ******************************************************************************

    "faraz uth jao aab,hospital ke liye dair ho jaye gi."
    "sooney dein na baji."
    "bas uth jao."
    "meri pyari baji,thori dair aur."
    "is thori dair aur ke chakkar mein late ho jao gay."
    ye roz ka mamool tha.maha usay isi terha roz uthati thi aur nateeja woh late hojata aur rush drive ker
    ke hospital phunchta.
    "faraz tum dono ne mujhay tang ker ke rakha hai,aik woh nashta nahi ker rahi aur dosra tum uthnay ka
    naam nahi le rehay.bas bhut hogaya,aab uth jao faraz,aab mai uthanay nahi aaongi aur nashta bhi garam
    nahi miley ga."
    "uth ja faraz,nahi to baji aaj sach mein naraz hojayain gi."
    akhir faraz ye kehtey howey uth gaya.
    "ye acha nahi hai,mujhay nahi khana."
    "sana,zid mat karo,nashta khatam karo jaldi se."
    "mum'ma,ye acha nahi hai."
    "buri baat hai jaan,aisa nahi kehtey,sab acha hota hai,sab khatey hain,chalo mai khilati hoon aap ko."
    woh khush hojati hai.
    "ji,I love you."
    "mum'ma ke hathon se khana tha is liye ye dramey bazi ho rahi thi."
    "assalam-o-alykum."
    usi waqt faraz ata hai,per maha koi jawab nahi deti aur us ka nashta leney chali jati hai.woh sana se
    poochta hai.
    "kiya howa,mum'ma naraz hain?"
    "mamoojaan aap bhi haad kertey hain,mum'ma kab se aap ko utha rahi hain,aap uth hi nahi rehay."
    "sorry mum'ma."
    "faraz.."
    "dekhain mum'ma,mamoojaan ne kaan bhi pakrey hain,maaf ker dein."
    "seedhay baitho aur nashta karo."
    maha ne usay nashta detey howey kaha.
    "faraz,tum jaantey ho sana ko school bhi chorna hota hai,aur tum itni rush drive kertey ho ke bas.kitna
    bolti hoon jaldi uth jaya karo,taakey late na ho,tumhari is rush driving se mujhay dar laga rehta hai,
    kab sudhro gay tum."
    "baji aap to bas darti rehti hain,kuch nahi hota."
    'mamoojaan jaldi kerain,dair ho rahi hai."
    "haan beta bas chalo."
    "sana, jaan lunch poora kerna."
    "ji mum'ma i will,love you Allah hafiz."
    "Allah hafiz guriya.faraz khayal se jana aur ahista gari chalana aur hospital phunch ke phone ker dena."
    sana aur faraz aik dosrey ko dekh ke muskuratey hain aur aik saath kehtey hain.
    "mum'ma ager ahista gari chaley gi to hum kal tak phunchay gay."
    "batameez na ho to.faraz aaj mai hospital aaon gi yaad rakhna,Allah hafiz.pata nahi is lerkey ne suna
    bhi ke nahi."
    derwaza bandh ker ke woh jhootey bertan dhooney lagi aur faraz ki call ka intezar kerney lagi.
    "ye lerka phir bhool gaya pata nahi kab sudhrey ga."
    shaam ko woh hospital jaati hai,kyon ke faraz,sana ko school se chutti pe aaj apney saath hospital le
    gaya,aur ye baat maha ko raheel ne phone ker ke batayi thi.raheel,faraz ka dost hai.maha ka irada
    hospital jaaney ka tha hi,wahan woh bachon ke ward mein gifts deney ke liye ja rahi thi aur apney saath
    sana ko bhi le jati,lekin raheel ke phone pe usay apna programme badalna para.hospital phunch ke woh
    raheel ke kamrey mein jaati hai.
    "assalam-o-alykum."
    "walykum assalam baji aaye please,baithye."
    "kaisey ho?"
    "mai theek hoon,aap kaisi hain?"
    "mai bhi theek hoon.paraishan ho kisi baat pe?"
    "baji aap to jaanti hain,amma merey liye lerkiyan dhoondh rahi hain,aur mai abhi shadi nahi kerna
    chahta."
    "to tum unhay pyar se aram se samjhao."
    "mai unhay hazaar baar keh chuka hoon aur woh humaisha yehi kehti hain"budhay hojao gay tab karo gay
    kiya shadi."
    raheel ne kuch is andaz se kaha ke us ki hansi choot gayi.
    "hans lein aap bhi hans lein."
    uska chehra dekh ke maha ko apni hansi pe control kerna para,woh waqyi sanjeeda tha.
    "tumhay koi pasand hai?"
    "baji pasand napasand ki baat nahi hai.aap mujhay bhut achay tareeqey se jaanti hain ke meri zindagi mein
    koi lerki nahi hai.baji aap meri ideal hain.mai faraz ki terha aap ki bhut izzat kerta hoon aur aap se
    apney dil ki baat bhi keh deta hoon,lekin ye baat aaj tak aap se mai ne nahi ki,keh kahin aap naraz na
    ho jayain,per baji ye sach hai,mai jis lerki ko apni zindagi ban'nana chahta hoon,woh bilkul aap jaisi ho,
    aap bhut achi hain,kaash aap mujh se chooti hotin to mai aap ko propose ker deta.
    "raheel...batameez."
    maha ne usay gussay se dekha.
    "sorry baji.waisey kabhi kabhi mujhay bhut jealousy hoti hai keh aap faraz ki baji kyon hain,kaash meri hotin."
    "hmmm ye baat hai is liye abhi shadi nahi kerna chahtey."
    "ji bilkul yehi baat hai."
    "to phir aik kaam karo,amma ko bata do keh tumhay meri jaisi lerki chahye."
    "amma kahain gi,mujh se milwao,mai bhi dekhon akhir us mein aisey kon se surkhaab ke par lagay hain keh
    mujhay is jaisi lerki chahye."
    "to milwa dena."
    "per baji woh..."
    "hmmm samjh gayi,un se chupa lena keh mai bewah hoon,koi baat nahi paraishan na ho amma maan jayain gi."
    "ji baji,you are so sweet....aik minute."
    raheel ka pager bajney laga to woh uth gaya.
    "sorry baji emergency hai,mai phir milta hoon aap se."
    "chalo theek mai phir bachon ke pas jati hoon,sana wahin hogi kiya?"
    "ji baji woh wahin hai.aap ki beti bhut pyari hai,mai dua kerta hoon meri bhi aisi beti ho."
    ye keh ke raheel wahan se bhagney ke andaz mein jata hai,taakey maha ka haath na per jaye,per us ke kaano
    mein uss ke gussay bhari awaz phunch gayi.
    "raheel pito gay mujh se."
    maha bhi wahan se janay lagti hai.jaisey hi woh turn hoti hai,derwazey pe kharey chehrey ko dekh ke
    ga'ang reh jati hai,woh ghabraney lagti hai aur uski ankhon mein ansoo aajatey hain,is se pheley ke woh
    us ke ansoo dekh le,woh apna rukh mor leti hai.


 

 
123

Thread Information

Users Browsing this Thread

There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

Bookmarks

  •