1. #1
    Oct 2011
    204

    announce Main azal ki shaakh


    Main azal ki shaakh se toota hua,
    Phir raha hoon aaj tak bhatka hua,
    Dekhta rehta hai mujhe ko raat din,
    Koi apne takht per betha hua,
    Chand taare dur peechey reh gaye,
    Main kahan par agaya urta hua,
    Band khirki se hawaa ati rahi,
    Aik sheesha tha kahin toota hua,
    Khirkiyon mein, Kaghzon mein, Maiz per,
    Saarey kamre mein hai woh phelaa hua,
    Apne maazi ka samundar chaaniye,
    Ik khazaana hai yahan dooba hua,
    Doston ne kuch sabak aese diye,
    Apne saaye se bhi hoon sehma hua,
    Kis ki aahat atey atey ruk gayi,
    Kis ne mera saans hai roka hua?

  2. #2
    Sep 2012
    524
    ​nice one thanks 4 sharing

    kabhi pathar ki thokar se bhi ati nahi kharash

    kabhi aik zara si bat se insan bekhar jata hai


 

 

Thread Information

Users Browsing this Thread

There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

Bookmarks

  •