December k dinon mein tum Ne
Mujh se yeh kaha tha na

K tanha hun magar phir bhi
Tumhara sath mein doon ga
...
Apnay hath aankhon par meri
Rakh ker kaha tha na

Bhari duniya se takra k
Tumhara sath mein doon ga

Mujhe aaghosh mein le ker
Yeh aksar mujh se kehte the

Koi mushkil jo aye gi
Tumhara sath mein doon ga

Na badlon ga kabhi jesay
Mosam yeh badalte hain

Badalte mosmon mein bhi
Tumhara sath mein doon ga

Tumhari inhi baton se
Bohat majboor Ho ker mein

Sab k samne tum se
Yeh kehna chahti hun

Tumhare ehad-o-paiman se
To yeh mosam he achay hain

Ehad ker k nahin lotay
Yeh mosam lot aya hai

December mein kaha tha na
K wapis lout aaun ga

Abhi tak tum nahin lotay
December lout aya hai