Bichar k tujh se ye khud ko saza di maine
teri talash main aik umer laga di maine
tujhe jo dil se nikala to yun laga jaise
apne ander koi deewar gira di maine
goung behro main raha jaise koi nabina
zindagi tere bina aisa bita di maine
jis ka har lafz adhura raha sanam tum bin
zindagi aisi ik kitaab bana di maine
"wasi" us ko achanak se jo khoya to laga
zindagi aik hi lamhen main ganwa di maine