muhabton ke haseen fasanay ki baat mat kar
tu is zamane main us zamane ki baat mat kar,

bharam jo qaym he dosti ka rahy to behtar
tu meri jaan is ko azmany ki baat mat kar,

muhabton ke liye haqaiq nahi badalty
tu panion main diye jalane ki baat mat kar,

Qaboliat ka he konsa pal kisy khabar he
mazaq main bi aye yaar janay ki baat mat kar

tu aur jo bhi kahe ga main maan lon ga
bus iltja he mujhy bholane ki baat mat kar