Meri chahat tha wo meri ana bhi tha,
mere khamosh lehjon ki wo ik sada bi tha,
rehta tha subh-o-sham wo mere wajood main,
meri awaz mera lehja wo meri ada bi tha,
deta tha mujhko zakham wo be-hisab mgr,
hamdard bi tha mera wo meri wafa bi tha,
ab us k zikr pr aksar ma khamosh rhta hon,
kbi meri muhabbat ki wo intaha bi tha,
ajab kash-ma-kash thi meri zindagi,
poujna usay bi tha aur dil main khuda bi tha…