Aslam O Alykum

Dosto Aap Logo K lye Aik Aur Bohat Acha Tutorial banaya Hai .. Aur Mujay Pura Yaqeen Hai K Iss Ko Dekhnay Aur Iss per Work Kernay K Baad Aap Logo K text enhancement ki Problem Dobara Nahi HOgi ..!!

Mainay Kuch Lines Likh ker Un per Work Kia hai .. Bas Aap nay Follow kerna hai Jesay Jesay Mainay work Kia hai ..!! Ok To Aap New file Open ker Len Apnay Matloooba Size Main ..!!

Poetry Designing Main Background Color Bohat Ehmiyat Rakhata hai iss Bat ka Khayal Rakhna Chaye ..!!

Sab Se pehlay Foreground Color Per YE Code Add keren # 917836 Aur Keyboard se Alt+Backspace Press keren.. Background per Brown Sa Color Apply HO jae Ga ..



Normally Zayda Tar Brown Aur is se Milta Julta Color Use hota hai..

Ab Aap Koi Bhi Sher Likheye ..!! Mainay Recently apnay aik design Mai Jo Nazam thi Wahi Type ker li .. Khair .. Aagay Barhtay Hain .!!



Blending Options Mai jae Aur Color Overlay Main Jaen ..!!

Default Pe Red Color Aa Raha hOta hai



Aap Color Picker Select keren Aur Background Per Click Ker Den .. Aap K Text Background Color Ka HO jae Ga Don’t Worry …



Aap Color Picker se He Ab Color Window Mai Rehtay Huay Uper Ki Tarf Light Color Choose keren Mainay Ye Color Pick Kia # ecd28c



Iss Baat Ka Khayal Rakhna Hota hai k Background Se Color Different hO Agar Dark Background HO To Light Color Choose kertay Hain .. Agar Light Background Ho To Outer shadows Dark use kertay Hain Color Chahy Light He hO ..!!

Ook Aghala Step Hai Drop Shadow Uski Settings YE ker Len ..



Sab Se Khas Cheez Hai bevel Emboss Settings Is Mai Aaap Ka Hand Set Hona chaye ..!! Iski Settings Zayda Kam ker K Dekha keren .. Gloss Counters Apply ker K Dekha keren ..

Yaha Per Main 4 Mukhtalif Effects lagaOon Ga Baqi Aap K upper Depend kerta hai k Aap Kistara se settings Apply kertay HO .. Maqsad Hota hai k text khubsoorat Dikhay .. Khair ..!!

1st Setting

Pehlay Ap YE Settings ker K Dekhye ..



Settings Apply kernay K Baad apka Text Kuch Istara Nazr aye ga !!. Filwqt Ye Kafi Nice Effect Lag raha hai ..!!




2nd Setting

Isi Tara Kuch Settings Chang Ki Mainay .. Depth Aur Size Thora Sa Barhya Aur Shadings Ka angle Chang kia Gloss Counter KO khatam ker dia .. highlight Mode Aur Shadow Mode ki Opacity Levels Chang kiye .!!!



Ab Dekheye Iss Main Aik Smooth Se Look Aajae Gi .. Istara Dikhay ga .. !!





3rd Setting

Ab Aik Aur Tara Se Settings Chang Kiin .. Shadow Mode Color Burn Kia Opacity Kam ki Aur Direction Downward ki .. Aap Bhi Yahi Settings keren. Dehan se Koi Cheez Miss na HO …!!



Ab Dekhye Iski Aik Aur Look Nikalay Gi .. Like This ..



4th Setting

Len Janab Ab Aik Aur Setting Chang kertay Hain Iss Bar .. .Depth 100, Size 18, Global lights ki Setting 100-32, Gloss Counter Chang kia, Aur Highlight Mode Ko Chang ker K Color dodge ker Dia .!! Color Background wala He Lia ..!!



Iss Sari Changing Ka Maqsad Ye Tha k Aap Log Experience keren Har Option K Sath Aap Settings Kam Zayada Ker K Dekhye Jistara Aapko Munasib Lagay Lakin Khayal Ye Rakhna hai k Kisi B Cheez ki Settings Itni Zayda Na HO k text ki Loook He khrab HO jae ..!!

Ab Hum Issi per Kuch Mazeed Effects lagayen Ge .. Aagay Barhtay Hain ..!! OuterGlow Mai Jaen Aur Color Picker se Background Color He Utha Len .. !! Baqi ki Settings Nechy Jistara Mainay ki Hain bilkul usi Tara kejye .!!

Yaha Aik Aur Cheez bohat Aham Hai .. Blend Mode !! Isko Aap hamesha chang ker K Dekhtay Raha keren .!! Is se Text Mazeed Achi Look deta hai ..!!



Ab Inner Glow Main Jaen Aur YE Settings Ker Len .. !!



Inner Glow K Baad Stroke mai Jayen Aur Ye Settings Ker Len ..



Stroke Main Color Aur Size Bohat Ahmiat Rakhtay Hain ..!! Koi Kaid To Nai hai Lakin Poetry Designing Mai Storke Size Kam He Use hota hai ..!! 1 Point Han Agar Text ka Size Bara HO To Aap Stroke ka Size Baraha Saktay Hain ..!! Color KO Mainay Text K Color se Thora Sa Dark rakha .. !!

Akhir Main Inner Shadows Apply Kia Mainay .. It All Depends On You Aap Kistara Se Text ki Settings Kertay Hain Aap Mazeed Options Bhi Use ker Saktay Hain .. Khair ..!!

Inner Shadow ki Ye Settings ker Len .. !!



Yaha per Mera 4rth Text Effect Complete HOta hai Ab Isski Aik Khubsoorat Si look Nikalay Gi ..!!

Finally Text Kuch Istara Se Dikhay Ga .. Haina Khubsuurat ..!!




TO Dosto Yaha Mera Tutorial Apnay Akhtataam KO Pohancha .. Aap iss per Work Zroor Keren Kisi Cheez ki Smajh Na Aaye to Bila Jhijak Question Kejye .!! In Sab Effects KO Try Kejye Saray Options Bari Bari Use ker K Dekhen..!! Umeed Hai Iss Se Kafi Logo Ko Faida Hoga Aur unki Designing Mai text Kafi Improve HO jae Ga .!!

Aik Zroori bat K Text size Yaha per Bara Hai .. Normally Designing Mai Poetry Ka Text Size Iss se Chota HOta hai .. to Aap Uss Hisab se Settings Kam ker K Dekh lejye ga ..!!

Aur Akhir Main Aik Aur Baat .. !! Iss tutorial KO bananay Ka Maqsad Tab Pura HOta hai Jab Aap Log Iss per Work Ker K Apna Homework Share keren ..!! Otherwise !! Is Ko Khali Dekhnay Ka Fiada Nai HOga .!! Please Reply Zroor Kejye Ga I Have Done My Job Now Its Your Turn !!

Fee Amaan Allah ..!!