ab k tau, chahton ka bhi mausam bura na tha
par uss se pehlay wo bhi tau uljha huwa na tha

tujhsay bitcharh k milnay ko chaha tha jee magar
tu bhi naya naheen tha, ye dukh bhi naya na tha

kaisa azaab tha k bitcharhne ki rasm mai
jo murh k diakhta tha wo patthar huwa na tha

raas aa gayee mujhay bhi nayee hijraton ki rutt
dukh teray mausamon ka bhi iss se siwa na tha

shayad koi lakeer mujhay uss se chheen lay
iss khauf se wo hath mera daikhta na tha