Jo meri aankhon se khwaab dekho
to ik bhi shab na so sako gey
keh laakh chaho na huns sako gey
hazaar chaho na ro sako gey
keh khuaab kya hain azaab hain ye
merey dukhon ki kitaab hain ye
rafaqattein inn main chouttein hain
mohabbatein inn main roothti hain
panapti hain inn main wheshattein si
aziyattein inn main phouttein hain
inhi kay dar se khizaan hain jazbey
inhi se shaakhein si tootti hain
ghamon ki bandish hain khwaab merey
ubal raha hay dukhon ka laava
rehn-e-aatish hain khwaab merey
khayal saarey jhulas gaye hain
sulagti khuahish hain khwaab merey
ukharti saansein hain zindigi ki
lahoo ki sazish hain khwaab merey
jo meri aankhon se khuaab dekho
to ik bhi shab na so sako gey