[COLOR="darkorange"] Woh dil ka bura, na bewafa tha
Bus,mujh say yoonhi bicharr gaya tha

Lafzoon ki hadoon say mawara tha
Aab kis say kahoon woh shakhs kaha tha?

Woh meree ghazal ka aaeina tha
Her shakhs yeh baat janta tha

Her simat ussi ka tazkara tha
Her dil main woh jaisay bus raha tha

Mein uss ki ana ka aasara tha
Woh mujh say kabhi na roothta tha

Mein dhoop k bun main jal raha tha
Woh saya-abr ban gaya tha

Mein banjh rutoon ka aashana tha
Woh mosam-e-gul ka zaiqa tha

Ek bar bicharr kay jab mila tha
Woh mujh say lipatt kay ro pada tha

Kia kuch na ussay kaha gaya tha?
Uss nay to laboon ko see liya tha

Woh chand ka hamsfer tha shayed
Ratoon ko tamam jagta tha

Hontoon main guloon ki naram khushboo
Batoon main to shehad gholta tha

Kehnay ko juda tha mujh say lekin
Woh meree ragoon main gonjata tha

Uss nay jo kaha, kiya woh dil nay
Inkar ka kis main hosala tha

Yoon dil main thi yaad uss ki jaisay
Masjid main charragh jal raha tha

Mat pooch hijab k qareenay
Woh mujh say bhi kam hee khul saka tha

Uss din mera dil bhi tha paresha