Hum mohabbat ke talabgaar hue
Kaisey dhokey main giraftaar hue

Zulm se bhi siwa sitam yeh hua
Log zaalim ke tarafdaar hue

Ahl-e-dil waqt ke rahber the kabhi
Ab magar waqt ki raftaar hue

Dil me jo baat bhi aayi keh di
Umr bhar hum na smajh-daar hue

Hum koi Yusuf-e-Kanaan na the
Yunhi ruswa sar-e-bazaar hue

Dard ki jins-e-giraaN leta kaun
Ik faqat hum hi khridaar hue

Zindagi maut ke pardey me rahi
Khwaab dar khwaab hi bedaar hue