badan main aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai
ke zahar-e-Gam kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai

kahaaN vo Qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhii Khvaab jaisaa hai

magar kabhii koii dekhe koii parhe to sahii
dil aaiinaa hai to cheharaa kitaab jaisaa hai

vo saamane hai magar tishnagii nahin jaatii
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai


PSYCHO sang-e-malaamat se zaKhm zaKhm sahii
hame.n aziiz hai KhaanaaKharaab jaisaa hai

Sahaili aap is bar agar parho to koi aor comments dena Ok