Muhabbat Oass ki Soorat
Piyasi pankhari kay hont ko seraab karti hay
Guloon ki aasteenon mein anokhay rung bharti hay
Seher kay jhatpaty mein, gungunati, muskurati, jagmagaati hay
Muhabbat kay dinon mein dasht bhi mehsoos hota hay
Kisi firdos ki soorat
Muhabbat Oass ki Soorat

Muhabbat Abar ki Soorat
Dilon kay sarzameen pay ghir kay aati aur baresti hay
Chaman ka zarrah zarrah jhoomta hay, muskurata hay
Azal ki bay-namu mitti main sabzah sar uthata hay
Muhabbat unko bhi aabad or shadab karti hay
Jo dil hain qabar ki sooorat
Muhabbat Abar ki Soorat!

Muhabbat Aag ki Soorat
Bujhy seenon mein jalti hay toh dil baydar hoty hain
Muhabbat ki tappish mein kuch ajab asraar hoty hain
Kay jitna yeh bharakti hay, uroos-e-jaan mahekti hay
Dilon k sahilon par jama hoti or bikharti hay
Muhabbat,jhaag ki soorat
Muhabbat, Aag ki soorat!

Muhabbat Khwab ki Soorat,
Nigahon mein utarti hay kisi mahtaab ki soorat
Sitary aarzoo k iss tarha say jag-magaaty hain
Kay pehchani nahi jaati dil-e-baytaab ki soorat!
Muhabbat kay shajar par khwab kay phanchi utarty hain
Toh shaakhain jaag uthti hain
Thaky haary sitary jab zameen say baat karty hain
Toh kab ki muntazir aankhon main
Shammain jaag uthti hain
Muhabbat in main jalti hay charagh-e-aab ki soorat
Muhabbat, Khawab ki soorat

Muhabbat, Dard ki soorat!
Guzashta mosamon ka istearah ban k rehti hay
Shabaan-e-hijar mein, roshan sitarah ban kay rehti hay
Mundairon par charaghon ki lowain jab thartharati hain
Nagar main na-umeedi ki hawain sansanati hain
Gali mein jab koi aahat, koi sayah nahi rehta
Dukhy dil kay liye jab koi bhi dhoka nahi rehta
Ghamon kay bojh say jab tootny lagty hain shaany toh
Yeh un pay haath rakhti hay
Kisi Hamdard ki soorat!

Guzar jaty hain saary qafely jab dil ki basti say
Fiza mein tairti hay dair tak
Yeh gard ki soorat,
Muhabbat, gard ki soorat,
Muhabbat, Dard ki soorat!