Kyun mehken gulaab aankhon mein,
Hum nay rakhey hain Khawab aankhon mein..

Dekho hum ek sawal kartey hain,
likh kar rakhna jawab aankhon mein..

Us mein Khatra hai Doob janay ka,
jhankiye mat janab aankhon mein..

kabhi aankhen kitab mein gum hain,
kabhi gum hai kitab aankhon mein..

koi rehta tha raat din "Alvi"
inhe Khana-Kharab aankhon mein..!!