1. #1
    PSYCHOSIS Guest

    neww Chirag maangtey rehne

    Chirag maangtey rehne ka kuch sabab bhi nahi
    Andhera kaise bitaye ke ab to shab bhi nahi

    Main apne zehen me basi ek yaad par khush hu,
    Ye waqayi hai ki mujko wo mila ab bhi nahi

    Jo mere shero shayari me mujse zyada bolta hai,
    Main uski Ghazal ka ek lafz bhi nahi.

    Aur ab to zindagi guzarne ke sau tareekey hai
    Hum uski yaad me tanha rahe the jab bhi nahi.

    Kamaal shakhs tha jisne hume tabah kiya,
    Khilaaf uske ye dil ho saka ab bhi nahi

    Ye dastakein,ye meri zindagi ki aadhi raat,hawa ka shor
    samaj lu to kuch ajab bhi nahi

    Ye dukh nahi ki andhero se sulah ki humne,
    malal ye hai ki ab subah ki talab bhi nahi

    Hisaab meri mohabbat ka dil aj bhi tujse maang sakta hai
    Ghareeb-e-sheher dilka magar beadab bhi nahi.

    Hume bahot hai mohabbat ishq ki nisbat,
    Ki yeh qabeela koi aisa Kam-nasab bhi nahi.

  2. #2
    Sahaili's Avatar
    Senior Member
    Dec 2010
    777


 

 

Thread Information

Users Browsing this Thread

There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

Bookmarks

  •