ujhe dekhne ke baad zamane dekhne ki chah na rahi
tujhe sunne ke baad geet sunne ki talab na rahi
teri aankhon mein doobne ke baad duryai aas na rahi
kaye dafa doob ke dekha magur samundar mein gehraye na rahi
teri soch se sochne ke baad sochne ke kabil na rahi
chaya nasha aisa ke din mein bhi hosh mein na rahi
tujhe chahne ke siwa koye buri aadat na rahi
lekin aisi buraye ko chorne ki taqat na rahi
tera andaz-e-bayaan dekhne ke baad haal-e-dil bayan kerne ke layaq na rahi
kya rang tere chehre mein hai tasweer dekhne ki zaroorat na rahi
hai intezaar durwaza khulne ka, tere dar se uthne ko himmat na huwi
shayad bohut der ho gaye, durwaza khulne ki umeed na rahi
lekin jaayein kahan ke ab aur koi rah na rahi
murne ki bhi kahin aur chah na rahi
Bookmarks