Aaye Dil-e-na-feham
Aaye Khuwahish-e-be-nava
Ye iztaraab kia hai
Ye karab kesa hai
Ye raaton ko jaagna
Aasmaan ko takna
Honton ka larazna
Ek nakaam tamanna
Dua keliay haath uthana
Aur poochna sitaaron se
Ke chaand kahan hai
Shayad baadilon ki aut chupa hai
Mere aangan kab utre ga
Mein kab tak aas lagaoon
Aankhon se motii barsaoon
Samjhaoon besabab dil ko
Ye jaante hue ke
Chaand tu chaand hai
Aawara hai
Aasmaanon mein phirta hai
Wo kab haath aaya hai
Wo kab haath aaye ga
Aaye dil-e-na-feham....sambhal
Aaye khuwahish-e-be-nava....lot ja
Ye khuwahish tu khuwaab hai
Aur khuwaab kab poore hue hain
Bookmarks