Gaye Dino Ka Suraag Lay Kar Kidhar Say Aaya Kidhar Giya Wo
Ajeeb Manoos Ajnabi Tha Mujhay Hairan Kar Gia Wo
Bas Ak Moti See Chap Dikha Kar Bas Ak Methi See Dhun Suna Kar
Setara-e-Shaam Ban Kay Aaya B-rang Khowab Sehar Kar Gia Wo
Khushi Ke Rut Ho Ke Ghum Ka Mosam Nazar Usay Dhondti Hai Har Dam
Wo Boyey Gul Tha Keh Nagma-e-Jaan, Meray Tu Dil Main Utar Gia Wo
Na Ab Wo Yadoon Ka Charta Darya Na Fursatoon Ke Udaas Barkha
Yon He Zara See Kasak Hai Dil Main Jo Zakham Gehra Tha Bhar Gia Wo
Kuch Ab Sanbhalnay Lagi Hai Jaa Bhi, Bdal Chala Hai Dour Aasmaa Bhi
Jo Raat Bhari Thi Tal Gaee Hai, Jo Din Kara Tha Guzar Gia Wo
Bas Ak Manzil Hai Abu ul Hoos Ke Hazar Rastay Hain Ahal -e- Dil Kay
Yahi Tu Hai Mujh Main Us Main, Guzar Gia Main Thehar Gia Wo
Shekasta Para Main Khara Hoon, Gaye Dino Ko Bula Raha Hoon
Jo Qafla Mera Hamsafar Tha Misaal Gard -e- Safar Giya Wo
Mera Tu Khowan Ho Gia Hai Pani, Sitam-garoo Ke Palak Na Bhegi
Jo Nalaa Utha Tha Raat Dil Say Na Janay Kyun Be Aser Gia Wo
Wo Mey-Kaday Ko Jaganay Wala, Wo Raat Ke Neend Uranay Wala
Yeh Aaj Kia Us Kay Dil Main Aai Keh Shaam Hotay He Ghar Gia Wo
Wo Hijar Ke Raat Ka Setara, Wo Ham Nafs Ham Sukhan Hamara
Sada Rahay Us Ka Naam Pyara, Suna Hai Kal Raat Marr Gia Wo
Wo Jis Ka Shanay Pay Hath Rakh Kar Safar Kia Tu Nay Manziloon Ka
Teri Gali Say Na Janay Kyun Aaj Sar Jhukaye Guzar Gia Wo
Wo Raat Ka Be Nawa Musafer, Wo Tera Shair Wo Tera Nasir
Teri Gali Tak Ham Nay Dekha Tha, Pher Na Janay Kidhar Gia Wo
Bookmarks