Log har morr pe ruk ruk ke sambhalte kyuun hain
itnaa Darte hain to phir ghar se nikalte kyuun hain
main na jugnuu hun, diyaa hun, na koi taaraa hun
r0shnii vaale mere naam se jalte kyuN hain
neend se mera ta'alluq hii nahin barson se
Khuaab aa aa ke merii chhat pe Tehalte kyuun hain
morr hotaa hai javaanii kaa sambhalne ke liye
aur sab log yahiin aa ke phisalte kyun hain ...??
Bookmarks