Eik taza hiqayat hai,
Soon lo tu inayat hai.
Eik shakhs ko dekha tha tarron ki tarha humne.
Eik shakhs ko chaha tha apno ki tarha humne.
Eik shakhs ko samjha tha phoolon ki tarha humne.
Woh shakhs qayammat tha kiya us ki karain baatain.
Din us k liye pedha, our us ki hi thi raatain.
kam milta kisi se tha,hum se thi mulaqatain.
Rang us ka shahabi tha,zulfoin mein thi mehkarin.
Ankhain thi k jadoo tha,palkain thi k talwarain.
Dushman b agar dekhe so jan se dil harre.
Kuch tum se woh milta tha,shoki mein shararat mein.
Lagta b tumhi sa tha dastoore muhabat mein.
Woh shakhs humne eik din apno ki tarha bula.
Taroin ki tarhan toota,phir haath na aya woh.
Humne bohat dhondah.
Tum kis liye chonke ho,kab ziker tumhara hai.
kab tum se takaza hai,kab tumse shikayat hai.
Eik taza hiqayat hai,soon lo tu inayat hai.
Eik shakhs ko dekha tha tarroin ki tarha humne.
Eik shakhs ko chaha tha apno ki tarha humne.
Eik taza hiqayat hai, sun lu tu inayat hai.
Bookmarks