Meray Sabar Ka Na Lay Imtihaan Meri Khaamoshi ko Sadaa Na De
Jo Teray Baghair Na Jee Sakay Usay Jeenay Ki To Duaa Na De
Tu Azeez Dil-O-Nazar Say Hay Tu Qareeb Rag-O-Jaan Say Hay
Meray Jism-O-Jaan Ka Ye Faaslaa Kahin Waqt Aur Barhaa Na De
Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah kay Bhi Na Paa Sakoon
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar Meri Chahaton ka Sila Na De
Wo Tarap Jo Shula-E-Jaan Main Thi Meray Tan Badan Say Lipat Gaii
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujha Sakay To Hawa Na De
Tujhay Gar Milen Kabhi Fursatain Meri Shaam Phir Say Sanwaar De
Gar Qatal Karna Hay to Qatal Kar Yun Judaiyon Ki Saza Na De