ye na thi hamari qismat k vasaal-e-yar hota
agar aur jeetay rehtay yahi intezar hota
huay mar k ham jo ruswa, huay kyun na gharq-e-darya
na kabhi janaaza uth'ta na kahin mazar hota
ye masaa'el-e-tasawuf ye tera bayan "Ghalib"
tujhe ham Wali samajhtay jo na baada-khwar hota .
Bookmarks