Main nay is taur se chaha tujhe aksar jaana
Jaisay mehtaab ko bay ant samundar chahay
Jaisay suraj ki kiran seep ke dil mein utray
Jaisay khushbu ko hawa rang se hat kar chahay
Jaisay pathar ke kalaijay se kiran phoot-ti hai
Jaisay gunchay khulay mausam se hina maangtay hain
Jaisay khawabon mein khayyalon ki kamaan tootti hai
Jaisay barish ki dua aabla pa maangtay hain
Mera har khawab mere sach ki gawahi day ga
Wus-At-E-Deed ne tujh se teri khawahish ki hai
Meri sochon ne kabhi dekh ke saraapa apna
Main nay duniya se alag teri parastish ki hai
Khawahish-E-Deed ka mausam kabhi dhundla jo hua
Noch daali hain zamaano ki naqaabein mainay
Teri palkon pe utarti huii sub-hon ke liye
Torr daali hain sitaron ki tanaabein mainay
Main nay chaha ke tere husn ki gulnaar fiza
Meri ghazalon ki qataaron se dehakti jaaye
Mainay chaha ke mere fun k gulistaan ki bahaar
Tere Aankhon ke ghulabon se mehakti jaaye
Teh tau yeh tha ke sajaata rahay lafozon k kanwal
Mere khamosh khayyalon mein takallum tera
Raqs karta rahay bharta rahay khushbu ka khumaar
Meri khawahish ke jazeeron mein tabassum tera
Tu magar ajnabi maahol ki parwirdah kiran
Meri bujhti hui raaton ko sehar kar na saki
Teri saanson mein maseehaai thi lekin tu bhi
Chaara zakhm-e-gham deeda-e tar kar na saki
Tujh ko ehsas hi kab hai kissi dard ka daagh
Aankh se dil mein utar jaaye tau kiya hota hai?
Tu k *SEEMAAB* tabbiyat hai tujhe kiya maaloom
Mausam-E-Hijr thehr jaaye tau kiya hota hai?
Tu ne us morr pe torra hai talluq ke jahan
Dekh sakta nahin koi bhi palat kar jaana
Ab yeh aalam hai ke aankhein jo khulain gi apni
Yaad aaye ga teri deed ka manzar jaana
Mujh se maangay ga tere ehd-e-muhabbat ka hisaab
Tere hijraan ka dehakta hua mehshar jaana
Yun mere dil ke baraabar tera gham aaya hai
Jaisay sheeshay ke muqabil koi pathar jaana
Jaisay Mehtaab Ko Bay Ant Samundar Chahay
MAINAY IS TAUR SE CHAHA TUJHE AKSAR JAANA....!!!
Bookmarks