123
  1. #21
    Sep 2013
    Karachi
    36

    "kaisi ho maha?"
    waleed ander aa jata hai aur jahan woh khari hoti hai,table ke pas wahan us ke peechay aa ke khara
    hojata hai,is terha keh ager maha jaana chahay to na ja sakey.maha ko mehsoos hogaya keh woh us ke peechay
    aa ke khara hogaya hai lekin us ne koi jawab na diya.
    "tum bilkul nahi badlin waisi ki waisi ho,jaisey pheley theen.mai jaanta hoon,tum mujh se baat kerna
    nahi chahti aur na hi mujhay dekhna chahti ho,lekin maha mai tum se baat bhi kerna chahta hoon aur
    tumhay ji berh ke dekhna bhi.pichley aik saal se mai ne tum dono ko kahan kahan nahi dhoonda,lekin tum
    log nahi miley.faraz jis hospital mein tha wahan gaya,lekin woh wahan se jaa chuka tha,is hospital ka
    pata itni mushkil se maloom kiya,soocha baba ko bhi saath le loon,unka check-up hojaye ga aur faraz ko
    bhi dhoond loon ga.jab yahan phuncha to tumhari jhalak nazer aayi,phir khud hi seer jhatak diya keh tum
    to mujhay har jaga nazer aati ho,aab bhi aisey hi hoga,lekin tumhari awaz is kamrey se bahir aayi to mai
    dekhay bina na reh saka.tum haqeeqat mein merey samney ho,tumhay choo ke mehsoos kerna chahta hoon keh
    mai tum se ishq kerney laga hoon,aab tumhay khona nahi chahta.meri taraf dekho maha keh mai tumhay nazron
    mein bhar lena chahta hoon,please maha meri taraf dekho keh mai tum se maafi maangna chahta hoon."
    waleed bolta ja raha tha aur woh roti ja rahi thi aur sooch rahi thi jab mohbat kerti thi us se to uski
    aik mohbat bhari nazer chahti thi aur aaj jab woh usay toot ke chahney laga hai to woh chah ker bhi usay
    apna nahi sakhti.woh us ke samney se door hojana chahti thi is liye apna rukh moor ke us se kehney lagi.
    "raasta dijye mujhay jana hai."
    woh us ka raasta rokey khara tha,na woh dayain taraf se ja sakhti thi aur na bayain taraf se.
    "mai ne kaha mera raasta chorien."
    "kaisey chor doon maha,kitney arsey baad dekh raha hoon tumhay.ye jhuki nazrein,ye rukhsaron pe ansoo,
    ye ghabrahat,mera dil ijazat nahi deta keh tumhay apni nazron se oojhal honey doon.ji kerta hai keh
    tumhay dulhan bana ke abhi aur isi waqt le jaon ke kahin tum phir gayab na hojao.kiya khayal hai?"
    "please...mujhay is terha ki chichori batain bilkul pasand nahi,mujhay jaanay dein."
    "ye chichori batain nahi hain maha,ye mera ishq meri mohbaat hai."
    maha ne usay nazrein utha ke dekha lekin ziyada dair tak na dekh saki keh uski ankhon mein mohbat ka
    samander thatein maar raha tha.us ne apni nazrein jhuka deen aur us ke bayain haath ko jhatka jo woh
    kursi pe rakhay us ka raasta rokey khara tha.aur us ke pas se guzerna chaha lekin us ne haath paker ke
    rok liya.
    "pheley ye haath mai ne tumhay ansoo,azyat aur takhleef deney ke liye pakra tha aur aaj ye haath mai ne
    chahat,mohbat aur humaisha thamney ke liye pakra hai.maha,mai tumhay toot ke chahata hoon aur tum se
    shadi kerna chahata hoon."
    jis baat ka dar tha,akhir woh baat hogayi.maha ne himmat ker ke apna rukh waleed ki taraf moora lekin
    apna haath nahi churaya.
    "jis maha ko aap dhoond rehay hain woh maha mar chuki,jis maha ko aap jaantey hain woh maha mar chuki,
    jis maha se aap mohbat kertey hain woh maha mar chuki,jo maha aap se mohbat kerti thi woh maha mar
    chuki,jis maha ka haath aap ne azyat,ansoo aur takhleef deney ke liye thama tha woh maha mar chuki,aur
    jis ka haath aap ne chahat,mohbat aur humaisha thamney ke liye pakra hai woh aap ki maha nahi,aap ki
    maha mar chuki,jo maha aap ke samney khari hai woh maha nahi woh mrs.maha raheel hai,raheel murad ki
    bewah aur aik bachi ki maa.suna aap ne,mai aap ki maha nahi,mai mrs. maha raheel hoon,raheel murad ki bewah
    aur aik bachi ki maa."
    ye suntey hi waleed ke haath se maha ka haath choot gaya.
    "meri beti hai sana,meri jaan hai woh.ye jo rang pehna hai mai ne,sirf uske liye,ankhon mein kajal,honton
    pe hansi,ye muskurahat,ye lipstick ye sab us ke liye hai.warna aap ki maha kab ki mar chuki.woh be-rang
    hai,usay koi choo nahi sakhta aur na hi koi apna sakhta hai."
    ye keh ke maha jaaney ke liye turn howi to wahan apney baba ko dekh ke sakit reh gayi,woh girney hi lagay
    thay keh maha unki taraf lapki.
    "baba,baba kiya howa baba?"
    "mera beta khush nahi hai na?"
    taya ji ke is sawal pe maha ke ansoo behney lagay.
    "nahi baba mai bhut khush hoon,bhut khush.aap theek hain na?"
    taya ji ki ankhain baand hotey dekh ke maha ne unse poocha lekin woh ankhain baand ker chukey thay.
    "baba baba ankhain kholye.waleed dekhain baba ko kiya howa."
    us ne waleed ko awaz di jo aab tak sakit khara tha,maha ki pukar pe us ne taya ji ki taraf dekha aur unke
    pas aya.
    "baba please,dekhye baba mai bhut khush hoon.please baba ankhain kholye.faraz ,raheel."
    us ne wahin se faraz aur raheel ko awaz di.faraz to nahi per raheel zaroor aa gaya.
    "raheel,dekho baba ko kiya howa hai."
    "relax baji,mai dekhta hoon,aap paraishan na hoon."
    taya ji ko ward mein shift kerney ke baad,raheel ne unhay check kiya.maha aur waleed bahar corridor mein baith gay.
    "baba ne sab sunn liya hai,unhay dukh phuncha hai,sab meri waja se howa hai."
    ye kehtey howey maha roney lagi.raheel ki awaz pe us ki dil ki dharkan rukney lagi.
    "baji,woh theek hain,behosh hogay thay,lekin unka blood pressure high hai."
    "to ye theek kaisey howey,raheel tum bhi na."
    "baji,sab theek hai aur blood pressure control hojaye ga,aap paraishan na hon."
    "faraz ko bulaya?"
    "ji baji,mai ne bulaya hai,jaisey hi farig hoga aajaye ga.aap?"
    us ne waleed ki taraf dekh ke poocha.
    "ye unke betey hain."
    waleed ne us ki taraf haath milaney ki garz se haath berhaya.
    "waleed aslam."
    "doctor raheel.kiya aap ke father ko pheley attack howa hai?"
    maha ne hairat se usay dekha.
    "ye kiya pooch rehay ho.baba bhut sehat maand hain,unhay kabhi attack nahi howa,bas gussa ziyada ata hai."
    "nahi maha,unhay minor attack howa tha."
    "what?kab?"
    "jab tum dono ghar chor ke gay thay."
    "yaAllah."
    maha apna ser tham ke wahin baith jati hai.
    ***************************************************************

    "chaand,baba theek hojayain gay paraishan na ho."
    "kaisey theek hojayain gay,unhay meri waja se dukh phuncha hai,unho ne sab kuch sunn liya hai."
    "sab theek hojaye ga.baba tumhay dekh ke bhut khush howey hain shayad yehi waja hai ke attack ke baad
    woh itni ziyada khushi bardasht na ker sakey hon.bas tum paraishan na ho warna tumhay dekh ke unhay kuch
    aur na ho jaye aur ager aisa howa to mujh se bura koi na hoga."
    doctor raheel se baat kerney ke baad,woh maha ke saath hi baith gaya aur usay tasali deney laga.lekin
    maha ko us ki tasali se bhi koi farq na para,is liye usay thora sa hansaney ke liye us ne baat ka rukh
    badal diya.
    "aab bhi aap se bura koi nahi hai."
    waleed ne usay chonk ke dekha.
    "kiya matlab?"
    "kuch nahi."
    usney muskuratey howey kaha aur apney ansoo saaf kiye.
    "aisey hi raha karo achi lagti ho."
    waleed ki is baat pe usay ghabrahat si honey lagi keh aab najaney woh aur kiya keh de.
    "hum baba ko dekh lein?"
    waleed us ki ghabrahat pe muskura diya.
    "haan chalo."
    woh dono kamrey mein dhakil howey to taya ji ko hosh aa chuka tha.unho ne haath ke isharey se maha ko
    apney kareeb bulaya.
    "ji baba?"
    maha unkey kareeb aa gayi aur unka haath tham liya.
    "baba aap jaldi se theek hojayain,aap ki beti bhut khush hai.aap bilkul fiker na kerain,bas jaldi se
    theek hojayain.phir abhi to aap ne apni nawasi ko bhi nahi dekha."
    "haan beta.mai jaanta hoon chahey kuch bhi hojaye tum apni zaban se kabhi shikwa nahi karo gi.ye sirf
    aik baap jaanta hai keh us ki beti ko kitna bara dukh mila hai,woh kitna khush hai,chahey woh jitna bhi
    chupa le."
    "baba.."
    maha taya ji ke seenay pe ser rakh ke roney lagi.
    "ro lo beta ro lo ji berh ke ro lo keh aaj ke baad mai tumhay kabhi rota howa na dekhoon."
    usi waqt faraz derwaza khol ke ander ata hai aur mahoul ki sangeedgi ko dekhta hai.
    "ager ye drama khatam hogaya ho to kiya mai apney baba se mil sakhta hoon?"
    maha foran seedhay hoke usay aik chapat lagati hai.
    "ye drama nahi horaha tha.baba,ye mujhay bhut taang kerta hai aap zara is ke kaan khainchain."
    "mai taang kerta hoon?baba ye mujh masoom pe jhoota ilzam hai."
    us ki masnoyi narazgi pe sab hansney lagay.
    "shuker hai,warna mai to samjha tha keh roney dhoney ka lamba programme hai."
    "chaand beta,aik baat kerni hai?"
    "ji baba mai yahin hoon,kahin nahi ja rahi lekin sab se pheley aap aram kerain phir hum batain kerain gay."
    "chaand sunn to lo baba kiya keh rehay hain."
    waleed ne usay tooka aur us ki baat maan ke woh taya ji ki baat sun'nay lagi.
    "ji baba kahye?"
    "beta tum aur faraz ghar wapis aa jao."
    maha aur faraz aik dosrey ko dekhney lagay.
    "baba aap pheley theek hojayain,yahan se discharge hojayain phir is silsiley mein baat kertey hain."
    "nahi beta mujhay abhi jawab chahye."
    maha thori dair soochney ke baad.
    "theek hai baba lekin seema aur faraz ki shadi ke baad."
    "seema ki kyon?seema aur tumhari shadi saath hogi,taakey seema us ghar se rukhsat ho to tum us ghar mein
    kadam rakho."
    maha taya ji ki ye baat sunn ke suun hojati hai.
    "nahi baba ye mumkin nahi,kyon ke mai shadi nahi kerna chahti,ya ye samjh lein ke aab mai dosri shadi
    nahi kerna chahti."
    ye keh ke woh kamrey se bahir chali jati hai.
    **********************************************************


    bahir aa ke woh chair pe baith jati hai,aur taya ji ki kahi howi baton ko soochti hai.woh itni mahv hoti
    hai apni soochon mein keh usay ehsas tak nahi hota keh uss ke baraber wali chair pe koi aa ke baitha hai.
    "kyon paraishan hogayi ho?"
    woh chonk jati hai.
    "aap ne baba se bhi keh diya?"
    "mai ne baba se kuch nahi kaha,unhay sab pata hai,is liye unho ne tum se baat ki."
    "log kiya kahain gay?unkey taaney,unki nazrein,unke sawal aap ko chalni chalni ker dein gay.aap ko mujh se hazar
    guuna achi unmarried lerki mil jaye gi,per mai...nahi.mai aik bewah hoon aur aik bachi ki ma aur aap
    unmarried hain log kiya kuch nahi kehain gay."
    "mai kuch nahi jaanta,mujhay logon ki perwa nahi.mai sirf itna jaanta hoon keh mai tumhay toot ke chahta
    hoon aur tum se shadi kerna chahta hoon.mai tum dono ko bhut khush rakhoon ga aur ye baat mai daway ke
    saath keh sakhta hoon keh tum jaisi lerki mujhay kahin nahi miley gi."
    waleed ye sab keh ke wahan se chala jata hai aur maha apna ser tham leti hai.waleed apni ma aur seema
    ko leney chala jata hai.faraz usay is terha baitha dekh ke us ke pas aa jata hai.
    "kiya howa baji?"
    "kuch nahi.sana kahan hai?"
    "merey kamrey mein so rahi hai."
    "baba aram ker rehay hain?"
    "ji."
    "to phir tumharey kamrey mein chaltey hain."
    ye dono wahan se faraz ke kamrey mein aajatey hain.kaafi dair tak in dono mein koi baat nahi hoti.akhir
    faraz ne kaha.
    "baji maan jaye please."
    maha usay hairat se dekhney lagi.
    "faraz tum to atleast mera saath do,taakey mai baba aur waleed ko samjha sakoon."
    "baji mai jaanta hoon aur aap bhi achi terha jaanti hain keh aap waleed bhai se aab bhi mohbat kerti
    hain.raheel bhai se shadi ke baad bhi aap waleed bhai ko na bhula sakin aur aab unke proposal se aap is
    liye inkaar ker rahi hain keh aap bewah hain aur woh unmarried.aap ko isi baat ka dar hai keh log kiya
    kehain gay.baji logon ki perwa kerni chor dein kahin aisa na ho logon ki perwa kertey kertey aap aik baar
    phir waleed bhai ko kho dein."
    "faraz.."
    "baji mai aap ka bhai hoon.aap lakh kahain aap bhut khush hain.per aap khush nahi.aap ki hansi mein aap
    ki smiles mein something is missing.aap ko jhoot bolna nahi ata baji.aap baba se keh sakhti hain aur woh
    maan bhi jayain per mai...nahi baji nahi mai nahi maan sakhta keh aap khush hain.yaad hai mai ne aap se kaha
    tha keh mai aap ko khush dekhna chahta hoon,to baji na aap apni shadi pe khush theen aur na aap aab
    khush hain...please baji please waleed bhai ko apna lijye woh aap dono ko bhut khush rakhain gay."
    maha faraz ko dekhti reh gayi.
    "mai sana ko le ke ghar ja rahi hoon,ye paisey hain,gifts raheel ke kamrey mein hain,dono bachon ke
    ward mein baant dena."
    "baji.."
    "nahi faraz mai naraz nahi,lekin ager isi terha sawal hotey rehay aur isi terha ki batain hoti rahin
    to mai sab se rooth jaon gi."
    "baji.."
    faraz,maha ke jaaney ke baad khud se kehta hai.
    "sorry waleed bhai aap ne bhut dair ker di."
    **************************************************************

    Tayaji discharge ho ke ghar aajatey hain aur maha aur faraz apna saaman pack ker ke wapis ghar aanay ki
    tayari.tayaji ko jab se pata chala tha keh woh dono ghar aa rehay hain,kaafi baichaini se intezar ker
    rehay thay.
    "saari tayari mukamil hai rukhsana?bachay kaafi arsey baad ghar wapis aa rehay hain koi kami nahi rehni chahye."
    "aap befiker rehay sab tayari hogayi hai.lekin woh log abhi tak aay kyon nahi?"
    "bas anay waley hain."
    door bell pe sab derwazey ki janib mutawaja hoye.taya ji ne derwaza khola aur maha ko dekh ke khush hogay.
    "jeeti raho beta,khush raho."
    "baba, ye sana hai meri beti."
    "mashaAllah bhut pyari hai.hum ne aap ke liye bhut sari chocolates rakhin hain,humari guriya khaye gi?"
    "ji nana ji."
    "baba humarey kamrey wohi hain ya phir hum kahin aur rehain gay?"
    "nahi beta jo kamrey pheley thay wohi hain."
    "theek hai baba,hum apna saaman rakhtey hain,phir aram se baith ke batain karein gay.chalo faraz."
    "mum'ma mai nana ji ke pas hoon."
    "theek hai per nanaji ko taang nahi kerna."
    bhut si yadein,bhut si batain is ghar mein anay ke baad maha ko yaad anay lagin,jo woh kabhi bhooli nahi thi.
    kuch bhi nahi badla sab waisa hi hai jaisa chor ke gay thay.faraz fresh honey ke baad sehan mein sab ke
    pas aa gaya aur maha kitchen mein seema ke pas.
    "chaand tum wahan sab ke saath ja ke baitho mai ker loon gi."
    "haan haan jaaanti hoon tum ne sab bhut acha sambhal liya hai,lekin ager mai tumhari help ker loongi to kiya
    hojaye ga?"
    "tum to kerti rehti ho,is liye wahan jaa ke sab ke saath baitho mai bas khana laga rahi hoon."
    us ki is baat pe maha usay dekhti reh jati hai.
    "kiya dekh rahi ho?"
    "seema mai wohi chaand hoon,mai bilkul nahi badli.sirf itna farq para hai keh aik bachi ki ma aur bewah hoon,
    per tum sab ki wohi purani chaand hoon."
    "iam sorry chaand,mera matlab woh nahi tha,bas tum abhi aayi ho to mujhay acha nahi lag raha keh tum direct
    yahin aagain kitchen mein kaam kerney ke liye.acha khana tayar hai,tum sab ko bulao mai lagati hoon."
    khana khaney ke baad sab taya ji ke kamrey mein aa gay.waleed abhi office se nahi aya tha.maha ne sana
    ko kamrey mein ja ke sula diya tha.khoob batain aur hansi mazak ho raha tha keh taya ji ne woh baat
    chhair di jis se maha bachna chahti thi.
    "beta,to kiya soocha tum ne waleed se shadi ke mutaliq?"
    "baba mera faisla aab bhi wohi hai.mai ne kabhi bhi koi bhi baat aap ki nahi ta'ali,per baba ye baat mai
    nahi maan sakhti.log kiya kehain gay keh koi aur nahi mila unmarried lerkey se shadi ker rahi hai.baba
    mai manhoos hoon aur jo manhoos...."
    usi waqt waleed enter howa aur us ki ye baat sunn ke gussa hogaya aur usay aik thaper mara...
    "shut up shut up just shut up."
    "waleed kiya ker rehay ho?"
    taya ji ne waleed ko toka.
    "samjhti kiya ho tum apney aap ko,tum ho kiya.tumharey khilaaf kisi aur ke mounh se ye sab suno to us ka
    mounh toor doon to tum kiya ho.najanay tumharey dil-o-dimagh mein kiya hai.batao mujhay duniya ki kon si
    kitaab mein ye likha hai keh bewah se shadi kerna mana hai kyon ke jo shadi kerey ga woh mar jaye ga?"
    "mai ne aisa to nahi kaha."
    "aisa kaha nahi to keh do gi,bas isi ki kaser reh gayi hai.log ye log woh,tumhari zindagi mein humari koi jaga nahi
    sirf tumhay logon ki perwa hai bas."
    "waleed please.."
    "mar gaya waleed aur ager tumhara yehi rawaya raha to aik din sach mein mar jaon ga."
    "Allah na karey."
    maha ne waleed ki ye baat sunn ke beikhtiyar kaha.
    "kyon?kyon Allah na karey?mai mar jaon ga to tumhay sakoon mil jaye ga,aur waisey bhi merey merney se tumhay
    koi farq nahi parey ga kyon ke tumhay logon ki perwa hai meri nahi."
    "please chup hojayain,please chup hojayain,mat kerain aisi batain."
    ik dum se kamrey mein san'nata chah gaya.baba,amma,seema,faraz,waleed sab apni apni jaga khamosh thay,
    sirf maha thi jis ki siskiyan kamrey mein goonj rahi thi.waleed apni jaga se utha to maha usay is terha
    kharey hotey dekh ke dar gayi,keh aab najaney woh kiya kehney wala hai.
    "mai aaj raat ki flight se america ja raha hoon,jaaney se pheley mujhay apna faisla suna dena aur sooch
    samjh ke faisla kerna keh tumharey aik "haan" se meri zindagi badal jaye gi aur tumharey ik "na" se mai
    kabhi bhi pakistan wapis nahi aaon ga,aur logon ko aik side pe rakh ke faisla kerna keh logon ka kaam
    hai batain bana'na kisi ke merney pe bhi aur kisi ki khushi pe bhi.bas itna yaad rakhna keh mai tum dono
    ko bhut khush rakhoon ga aur ager logon ne kuch kaha to phir mujh se bura koi nahi hoga."
    ye keh ke waleed kamrey se chala jata hai.
    "baba,please aap unhay samjhayain woh aisa na kerain please baba."
    maha rotey howey tayaji ke kadmon mein baith jati hai.
    "woh samjhney ki kaifiyat mein nahi hai beta.jaanti ho ye wohi waleed hai jo tum se shidat se nafrat
    kerta tha aur aaj usay dekho,koi nahi keh sakhta ye woh waleed hai.woh tumhay bhut chahta hai aur jo us
    ne kaha hai woh aisa ker bhi de ga.dekho beta ye mat samjhna keh mai us ka baap hoon to us ki side le
    raha hoon per ye sach hai beta keh woh tum dono ko bhut khush rakhay ga.meri to humaisha se khwashish thi
    keh tum is ghar ki bahoo bano,per aaj seema,tumhari maa,waleed faraz,sab chahtey hain keh tum is ghar ki
    bahoo bano."
    "baba, woh mujh jaisi lerki nahi chahtey thay aur mai to bilkul nahi badli waisi hi hoon,phir aisa kiya howa
    keh woh mujhay apna'na chahtey hain?"
    "tum ne us se nahi poocha?"
    maha ne naafi mein ser hilaya.
    "beta us se poocho phir,lekin faisla ker leney ke baad kyon ke mai jaanta hoon woh na to tum pe taras kha
    raha hai aur na hi humderdi,sirf mohbaat hai.per phir bhi tum jaan'na chahti ho to us se poochna keh woh
    kyon kerna chahta hai tum se shadi."
    tayaji ye keh ke usay apna faisla kerney ke liye tanha chor detey hain.faraz seema aur tayi ji bhi kamrey se chaley jaatey hain
    aur woh aab waleed ki baton ko sooch rahi thi,aik aik baat,us ne kiya kaha tha jab woh ghar chor ke ja
    rahi thi.kaafi dair tak woh soochti rahi aik aik pehlo per aik aik lamhay ke mutaliq,khas tor pe sana
    ke mutaliq aur akhir us ne faisla ker liya.lekin bhut dair ho chuki thi waleed airport ke liye nikal
    chuka tha.
    "faraz waleed ko dekha?"
    "woh to chaley gay,abhi unhay airport chor ke aa raha hoon."
    "theek hai,mai ja rahi hoon tum sana ka khayal rakhna."
    "ji baji,per faisla to sunati jayain?"
    "aa ke bataon gi,unhay rokna bhut zaroori hai,kahin aisa na ho bhut dair hojaye."
    faraz soochta raha keh maha kiya keh gayi hai aur jaisey hi usay samjh aya usnay beikhtiyar zor se kaha
    jaisey maha wahin khari hai.
    "I love you baji,aap bhut achi hain."
    seema us ke pas aayi aur poocha.
    "kiya howa?"
    "baji maan gayeen.tum nahi jaanti seema mai kitna khush hoon,mai unhay humaisha khush dekhna chahta tha,
    aur mujhay humaisha nakaami howi.mai kabhi jaan hi na saka keh baji waleed bhai ke saath hi khush reh
    sakhti hain.mai bhut khush hoon bhut khush."
    faraz ke chehrey se hi nahi us ki bataon se bhi khushi jhalak rahi thi aur seema usay pheli baar itna
    khush dekh rahi thi.
    idher maha airport phunchi to nigahain waleed ko hi dhoond rahi theen,per woh kahin nazer nahi aa raha
    tha.
    "nazer kyon nahi aa rehay kahin chaley to nahi gay?"
    us ne apney aap se kaha.
    "nazer kaisey aayain gay,mai yahan baitha hoon."
    maha ne chonk ke dekha waleed samney baitha tha.woh us ke pas aa ke baith gayi.
    "aap gay nahi?"
    waleed usay dekhney laga.woh jaanta tha keh us ke musalsal dekhney pe maha ghabra jati hai aur aisa hi howa.
    woh ghabrahat mein apna duppatta sahi kerney lagi,jo pheley se hi sahi tha.
    "yaar,sahi hai duppatta,khaberdaar jo aab tumhaara haath ser pe gaya,mai kisi ka lihaaz nahi karoon ga
    aur tumhara haath paker loon ga."
    maha us ki akhri baat pe dar gayi aur apney dono haath goodh mein rakh liye,aur ser jhuka diya.
    "flight late hai is liye yahan baitha hoon."
    maha ne kuch nahi kaha.kaafi dair tak dono ne apas mein koi baat nahi ki.maha ko samjh nahi aa raha tha
    keh kaisey iqraar karey aur kis terha poochay aur waleed maha ke jawab ka muntazir usay tazabzub ki halat
    mein dekh raha tha.akhir waleed ne pehal ki aur woh zameen pe ghutney taik ke maha ke kadmon mein baith
    gaya.
    "ye aap kiya ker rehay hain?"
    "ssshhhh tum bas suno aur meri baat ka jawab doo.meri taraf dekho chaand."
    maha jaanti thi woh kiya kehney ja raha hai,is liye us ki ankhon mein ansoo anay lagay aur woh waleed ki
    taraf dekhney se guraiz ker rahi thi.lekin usay dekhna para.waleed ne kehna shuru kiya.
    "chaand,mai tum se bhut mohbaat kerta hoon,tum se ishq kerta hoon,tum se shadi kerna chahta hoon.mai tum
    dono ko bhut khush rakhoon ga,kiya tum mujh se shadi karo gi?mera haath thamoo gi?"
    waleed ne usay propose kiya aur apna haath agay berhaya.per maha apna ser jhukaye ansoo bahati rahi aur
    soochney lagi keh us se kaisey baat karey,kaisey poochay,kaisey jawab de.
    "bolo na chaand?kiya howa?kyon ro rahi ho?"
    "aap oper baithain idher aaye."
    waleed oper us ke pas baith gaya aur usay dekhney laga..
    "aap...aap mujh se shadi kyon kerna chahtey hain?aap ko to bold lerkiyan pasand hain,jo nazron se nazrein mila
    ke baat karey,mohbaat ho to us ka iqraar karey,aap ko ghabrayi howi si,shermayi howi si lerkiyan achi
    nahi lagti phir kyon?mai aab bhi waisi hi hoon,jaisey pheley thi,phir kiya wajah hai jo aap mujh se
    shadi kerna chahtey hain?"
    waleed usay dekhta reh gaya aur us ke dekhney ka hi aser tha keh woh apna ser se phisalta howa duppatta
    sahi kerney hi lagi thi keh waleed ne us ka haath paker liya.
    "kaha tha na keh dobara ser pe haath gaya to paker loonga.to aab suno,tum dono ke jaaney ke baad,baba ne
    apney kamrey mein mujhay bulaya tha,aur jo inkashafaat howey,us ne yakser mujhay badal ke rakh diya.baba
    ne mujhay bataya keh tum mujh se mohbaat kerti theen aur phir us din se mai ne tumhay pagalon ki terha
    taalash kiya,per tum nahi mileen.tum mujhay har taraf nazer aatin aur phir mai raat raat bhar jagta rehta,
    chaand ko dekhta aur usay dekh ke iqraar kerta,phir akhir tum mujhay mileen lekin kis terha?jab tum ne
    mujhay bataya keh tum bewah ho aur aik bachi ki maa,to mai toot gaya bikhar gaya,lekin mai teh'hya ker
    chuka tha keh mujhay tum se hi shadi kerni hai.tumhari saadgi,tumhari sharam-o-haya yehi woh cheez thi
    jis sey mai nafrat kerta tha,tum se nafrat kerta tha aur yehi cheez mujhay deewana ker gayi aur mai tum
    se ishq kerney laga.tumhay propose kiya to tum ne logon ki perwa kerni shuru ker di keh log kiya kehain gay
    aur mujhay tum pe gussa anay laga keh tumhay humari perwa nahi,logon ki hai.lekin mujhay dair mein samjh aya keh
    tumhay logon ki nahi,humari perwa hai,tum nahi chahtin keh log baba ko,amma ko,seema ko,faraz ko ya mujhay
    kahein aur ager aisa howa to tum bardasht nahi ker sako gi is liye tum inkaar kerti rahin aur merey dil mein
    tumhari mohbaat berhti gayi."
    waleed ye sab keh ke khamoosh hogaya aur maha ko dekhney laga,jo aab tak ansoo baha rahi thi.
    "yaar Khuda ki bandi please rona baand karo aur batao mujh se shadi karo gi?"
    maha ko ehsas howa to us ne foran apney chehrey se ansoo saaf kiya aur waleed ke berhay howey haath ko dekhney lagi.
    "yaar gazab Khuda ka sab kuch bata diya,aab bhi tum chup ho,aab kiya paraishani hai?aik to is phone ko
    bhi abhi bajna tha."
    waleed ne jhunjalatey howey phone recieve kiya,dosri taraf faraz tha.
    "kiya jawab diya baji ne?"
    "tumhari baji roye ja rahi hain aur jawab nahi de rahin."
    "to phir theek hai mai hold per hoon,jab tak woh jawab nahi deteen,kyon ke yahan sab muntazir hain."
    "ok theek hai."
    waleed ne phone per se tawaja hata ke maha ko dekha.
    "dekho aab ager tum ne jawab na diya to mujh se bura koi na hoga."
    waleed ne kuch is terha kaha keh maha ki hansi choot gayi.woh gussa honey laga.
    "haan tum hans lo.tumhay meri perwa thori hai,tumhay to logon ki...."
    "mujhay manzoor hai."
    maha ne us ke beech mein bola jo woh apna jumla mukamil na ker saka,aur maha ko aisey dekhney laga jaisey
    us ne kuch ghalat suna ho aur phone pe faraz se poochney laga.
    "yaar tum ne kuch suna?"
    maha jo iqraar kerney ke baad apna ser jhuka ke baithi thi,waleed ki is baat pe apna ser peet ke reh gayi.
    "kiya waleed bhai!humain awaz aa gayi aur aap to itney kareeb hain aap ne nahi suna?"
    "waleed kiya ker rehay hain?"
    "tum ne kuch kaha tha phir se bolo?"
    maha ne sharam se apna ser jhuka diya.
    "yaar sharmana baad mein,pheley batao tum ne kiya kaha,dekho announcement bhi horahi hai."
    "mai ne kaha mujhay manzoor hai."
    "really?"
    waleed ko aab bhi yaqeen nahi aa raha tha.
    "ji."
    "ji?"
    "ji."
    "I love you."
    waleed ne itni zor se kaha keh aas pas ke log dekhney lagay.maha ne ghabra ke waleed ka bazoo paker ke usay bithaya.
    "waleed hum teenager to nahi hain log kiya kahain gay."
    "ufff phir wohi log mai bhool gaya tha.acha aab mai ander ja raha hoon,rona nahi hai.kaam khatam ker ke wapis
    aaon ga,ziyada din bhi lag sakhtey hain.apna khayal rakhna aur sab ka bhi.ok mai chalta hoon."
    waleed jaaney laga,phir kuch yaad anay per,us ke pas aya.
    "yaar dil nahi ker raha,sooch raha hoon nikah ker ke jaon,taakey tum se baat to ho sakey,nahi to meri
    awaz sunn ke hi ghabra jao gi aur bolo gi aik minute mai baba ko bulati hoon."
    us ke is andaz pe maha jo udas khari thi hansney lagi.
    "acha aab jaye flight mis hojaye gi."
    "aisey hi rehna,jab mai wapis aaon to tumhay aisey hi dekhon suna?"
    "ji."
    "Allah hafiz.I love you."
    "Allah hafiz."
    waleed ander chala gaya aur maha ne zer-e-lab kaha.
    "I love you too."
    jab tak waleed uski nazron se oojhal nahi hogaya,tab tak maha wahin khari rahi,jab waleed chala gaya to woh ghar
    ke liye main road ki taraf anay lagi,taakey ghar ja ke sab ki khushi dekh sakey.

  2. #22
    Sep 2013
    Karachi
    36
    "Baji! aap soyi nahi abhi tak?"
    "need nahi aa rahi hai.tum jaag rehay ho,koi emergency hai kiya?"
    "nahi baji,emergency nahi hai koi,mai paani peeney ke liye utha tha,to aap ke kamrey ka derwaza khula howa tha
    to aap ke pas aa gaya.kiya baat hai baji,koi paraishani hai kiya?"
    maha airport se ghar aayi to sab apnay apnay kamron mein thay.us ne derwazay ko lock kiya aur apney kamrey
    mein aa gayi.chadar utar kar almari mein rakhi aur palang pe soyi sana ke pas baith ke us ke balon mein
    ungliyaan phairnay lagi aisey keh woh uth na jaye.us ne faisla to ker liya tha lekin woh sana ko kaisey
    bataye usay yehi paraishani thi.woh inhi soochon mein gum thi keh faraz aa gaya aur aab woh us se uski
    paraishani ki wajah pooch raha tha.
    "baji?"
    "haan,kiya howa?"
    "kyon paraishan hain,kiya baat hai?"
    woh faraz ko dekhnay lagi jaisey us ke sawal ko samjhnay ki koshish ker rahi ho.
    "faraz mai sana ko kaisey bataon gi,jab woh mujhay dulhan bana dekhay gi,jab woh shadi ki tayariyaan dekhay gi,
    mai,mai kiya kahoon gi us se?ye keh us ki maa ki shadi hai,woh us ke liye papa la rahi hai.woh choti nahi
    rahi keh usay khilona de ke ya koi aisi baat ker ke behla loon,woh bari hogayi hai.mai kiya karoon mujhay kuch
    samjh nahi aa raha hai."
    ye keh ke maha dono hathon se apna ser pakar ke baith jati hai.faraz us ke pas jata hai.woh apni behan se kiya
    kahay usay kuch samjh nahi ata.
    "baji!"
    "faisla kertey waqt mai ne bhut soocha,baba ki khushi,amma ki khushi,seema aur tumhari khushi,tum dono ki shadi,
    tum dono ki khushiyan,waleed ki mohabbat,unkey daway,unki khushi,sana ka mustaqbil,uski khushiyan,us ki
    khwashihain,us ka tahafuz,sab kuch faraz sab kuch,aur inkaar ki soorat mein waleed ka wapis na ana.ager mai
    inkaar ker deti,to woh kabhi pakistan wapis nahi atay,baba aur amma to akeley reh jatey,unka to aik hi beta
    hai woh jeetey jee mar jatey,aur us ki waja mai hoti.to phir batao mujhay mai ne theek kiya?"
    faraz ye sab sunn ke maha ko dekhta reh gaya aur jab woh bola to bas ye keh.
    "baji,in sab mein aap kahan hain?aap ki khushi kahan hai?aap ka dil kiya kehta hai?baji,aaj bhi aap sab ki
    khushi mein khush hain.yahan tak keh sana ke liye bhi.."
    "woh meri beti hai faraz.."
    "mai ne kab kaha keh woh nahi hai.mai jaanta hoon,aap jaanti hain keh sana kon hai aur kiya hai.lekin phir bhi
    baji,aik baar sirf aik baar apni khushi ka khayal kerain.aap ka dil kiya kehta hai woh sunain.baqi sab ko aik
    taraf rakhain,sirf apney liye soochain aik baar."
    faraz apni baat keh ke khamoosh hojata hai.kaafi dair tak kamrey mein khamooshi chahyi rehti hai.
    "baba mar jayain gay faraz,amma ye ghum seh nahi payain gi.merey aik inkaar pe waleed wapis nahi aayain gay.
    mai bhut achi terha jaanti hoon unhay.tum ne unka chehra nahi dekha,jab mai ne haan kiya tha,unkey chehrey ki
    muskurahat,ankhon ki chamak,sirf aik haan se,to merey na kehnay se najanay kiya ho."
    woh uth ke sana ke pas palang pe baith jati hai.
    "ye meri jaan,meri zindagi hai faraz.ye bari ho rahi hai.aur jaisey jaisey ye bari ho rahi hai,waisey waisey
    is ke sawalaat berhtey ja rehay hain,is ki sooch berhti ja rahi hai,ye bhut sensitive aur touchy hoti ja rahi
    hai."
    "phir aap kiya sooch rahi hain?"
    "mai issey sab kuch bata doon gi."
    "baji!"
    "ye bhut zaroori hogaya hai,is se pehlay keh issey kisi aur se maloom ho,mai khud sab kuch bata doon gi."
    "theek hai baji.aab aap aram se so jaye,bilkul fiker na kerain kisi bhi baat ki."
    "jao,tum bhi so jao ja ke."
    "ji baji."
    faraz apney kamrey mein chala jata hai aur maha sana ke baraber mein lait jati hai.
    *****************************************************************
    aik saal baad....
    waleed wapis aa chuka tha,taya ji chahtey thay keh pheley waleed aur maha ki shadi ho phir faraz aur seema ki.
    lekin maha inkaar ker deti hai.woh kitchen ka phailawa samait rahi thi keh waleed wahin us ke pas aa jata hai
    aur us ka haath pakar ke usay bahir sehan mein le ata hai.
    "kiya ker rehay hain waleed,mera haath chorien."
    woh us kay haath pakernay se hi ghabra jati hai aur phir us pe ye keh waleed usay sehan mein le ata hai is
    waqt koi bhi kamray se nikal ke wahan aa sakhta tha,lekin ye baat waleed ki samajh mein nahi aa sakhti thi.
    "baitho."
    maha hairat se kabhi usay aur kabhi us ke ishara ki howi kursi ki taraf dekhti hai.
    "kha nahi jaon ga,baith jao baat kerni hai."
    "waleed mujhay kaam hai aur raat ke is waqt,hum kal baat ker lain gay."
    "tum baith rahi ho ya phir mai..."
    "acha acha baithti hoon."
    waleed us ki jhijhak samajh gaya tha is liye us ne maha ko foran dhamki di aur woh bhi humaisha ki terha us ki
    baaton se ghabra ke wahin us ke kareeb baith gayi.itna kareeb keh ager maha uth ke jana chahay to na ja sakay
    keh waleed us ka haath pakar ke usay rok le ga.maha ko ye baat tab mehsoos howi jab waleed ne baat kerni shuru
    ki aur usay ehsaas howa keh woh ghabrahat mein ghalat jaga baith gayi hai.
    "tum ne inkaar ker diya hai?"
    "ji."
    "aik to mai tumharey is ji se bara tang hoon,iss ji ke ilawa bhi kuch ata hai ya nahi?"
    waleed us ke labon se ji sunn ke gussay mein aa jata hai.
    "kiya hogaya hai aap ko ahista bolain."
    "kiya ahista bolon,haan kiya ahista bolon.tumhay andaza bhi nahi hai keh mai kitni shidat se tumhay chahata
    hoon.jitna jaldi mai tumhay apney kareeb kerna chahata hoon,tum utna door hoti ja rahi ho.majnoo hoagaya hoon
    tumharey..."
    us ke majnoo kehney pe maha ki hansi choot jati hai,per waleed usay gussay se dekhta howa wahan se chala jata
    hai.
    "ufffff aab inhay manana parey ga."
    woh uth ke waleed ke kamrey ki taraf jati hai usay mananay ke liye.derwazay pe dastak de ke woh andar aati
    hai aur kuch kehney hi wali hoti hai keh woh bol uthta hai.
    "mujhay tum se koi baat nahi kerni hai."
    "waleed aap ko kiya hogaya hai?kyon bachon jaisi harkatein ker rehay hain?"
    "what?mai bachon jaisi harkatein raha hoon?to theek hai,mat karo mujh se baat jao mujhay sona hai."
    ye kehtey hi waleed bister pe lait jata hai aur ankhon pe bazoo rakh leta hai.woh janta hai keh maha apni baat
    kiye bina nahi jaye gi,phir bhi woh sota ban jata hai.dosri taraf maha ko samajh nahi ata keh woh baat kaisey
    karey keh waleed gussay mein tha.phir bhi us ne himmat ker ke baat shuru ki.
    "mai ne shadi se inkar nahi kiya hai.mai ne baba se sirf ye kaha hai keh mujhay waqt chahye is liye filwaqt
    rehney dein.mai ne abhi tak san ase kuch nahi kaha hai,usay sab kuch batanay ke liye himmat aur waqt chahye.
    aap sunn rehay hain na?"
    ye kehtey hi maha ne apna ser utha ke waleed ki taraf dekha jo us ke samney khara usay hi dekh raha tha.maha
    usay is terha apni simit dekhta pa kar do kadam peechay derwazay se lag ke khari hogayi.waleed us ki ehtiyat
    aur ghabrahat pe muskura deta hai.
    "aisey kiya dekh rehay hain?"
    woh us ke musalsal dekhnay pe poochti hai.
    "kuch nahi,tum kaho to mai baat karoon sana se?"
    "nahi mai ker loon gi,woh bari ho rahi hai najanay kaisa react karey."
    "chalo jaisi tumhari merzi,ruko tumharey liye kuch laya hoon."
    waleed usay jata howa dekh ke rok leta hai.woh us ke kehnay pe ruk jati hai aur usay kuch talaash kerta howa
    dekhti hai.
    "kahan rakh diya hai mai ne..o haan yaad aya!"
    waleed apni almari ke locker ko kholta hai aur us mein se aik khoobsurat dibya nikalta hai aur maha ko deta
    hai.
    "ye tumharey liye hai."
    "ye kiya hai?"
    "khol ke dekho."
    "waleed ye?"
    maha kholti hai to us mein se aik khoobsurat angothi ko nikalti hai.
    "tumharey liye,kaisi lagi?"
    "bhut achi hai per mehangi hogi na?"
    maha ke is sawal pe woh hansnay lagta hai.usay is terha hansta dekh ke maha ka mounh ban jata hai.
    "is mein hansnay wali kiya baat hai?"
    "jis shop pe mujhay ye pasand aayi thi,isey haath mein leke mai tumhay hi sooch raha tha keh tum isey dekh ke
    kiya kaho gi,aur pehli baat zehan mein merey yehi aayi keh tum kaho gi ye bhut mehangi hai aur meri hansi
    choot gayi,wahan pe sab mujhay dekhnay lagay.is liye jab tum ne wohi baat kahi to mujhay hansi aagayi."
    waleed ki in baton pe maha ke chehrey pe bhi muskurahat aa gayi.
    "isey younhi dekhti raho gi ya pehno gi bhi ya mai pehna doon."
    uski akhri baat pe aur us key agay kadam berhanay pe,maha jaldi se apni ungli mein woh angothi pehan leti hai.
    "bhut khoobsurat hai."
    "per tum se ziyada nahi."
    "aab mai ja rahi hoon,foran shuru hojatey hain."
    waleed us ke chehrey pe sharam-o-haya ke rang dekh ke us ke kareeb anay ki koshish kerta hai keh maha foran
    kamrey se chali jati hai aur waleed us ke is terha ghabra ke janay pe apney qheqhay ko rok nahi pata.
    ********************************************************************

    waqt guzarta raha aur maha,sana ko kuch na bata saki.yahan tak ke faraz aur seema ki shadi hogayi.jo hum
    soochtey hain waisa hota nahi,aur jo nahi soochtey woh humarey waham-o-gumman mein bhi nahi hota aur hota
    chala jata hai.maha ko waqt chahye tha sana ko sab kuch batanay ka lekin usay mozoon waqt muyasar nahi aya.
    waqt ka kaam guzarna hai aur woh guzarta chala jata hai,kisi ke liye nahi rukta.maha ke liye bhi nahi ruka
    aur aik shaam in sab ki zindagi ko tareekh ker gaya.
    "mum'ma!"
    maha kitchen mein shaam ki chai ki tayari mein masroof thi keh wahan sana aa gayi.
    "ji beta bolo?'
    "mum'ma!"
    "ji beta bolo,mai sunn rahi hoon."
    sana kuch dair khamoosh rehney ke baad bolti hai.
    "mum'ma!kiya aap meri mum'ma nahi hain?"
    maha jo chai sab kapon mein daal rahi thi,sana ke is sawal pe usay sakit nazron se dekhnay lagi.
    "bolain na kiya aap meri mum'ma nahi hain?"
    sana ke dobara poochney pe us ke sakit wajood mein junbish paida howi,to us ke haath se chai ki pateeli,us ke
    paon pe gir gayi,per usay kuch mehsoos na howa.woh sana ke pas bhagney ke se andaz mein gayi aur usay apney
    dono hathon se pakar ke jhanjhorney lagi.
    "kis ne kaha hai ye sab aap se?bolein jawab dein?kis ne kaha hai?mamoo ne kaha hai?"
    usay pehla khayal faraz ka aya to us ne poocha.
    "nahi,uncle ne."
    "uncle ne?kon se uncle ne?"
    "waleed uncle ne."
    "waleed ne."
    usay hairat ka shadeed jhatka laga magar dosrey hi pal woh sana ka haath pakar ke waleed ke pas chaat pe
    phunchi.
    "kiya kaha hai aap ne is sey?"
    jaisey hi woh chaat pe phunchi,us ne waleed ka rukh apni taraf kiya aur us ki ankhon mein ankhain daal ke
    us se poocha.woh usay dekhta reh jata hai.ansooaon se bhara chehra,ankhon mein gussa,paraishani.
    "kiya dekh rehay hain,mai kuch pooch rahi hoon aap se?"
    "yehi keh tum us ki maa nahi ho."
    "kis ne kaha hai ye aap se?kyon bataya aap ne issey?"
    "sach bataya hai,aur ager ye sach nahi to phir bolo kon hai ye?is ke maa baap kon hain?maloom nahi kis ki
    aulaad hai,jayiz bhi hai ya naj..."
    "waleed!"
    is se pehley ke woh apni baat mukamil kerta,maha ka haath us ke chehrey pe nishaan chor gaya.woh hairat se
    maha ko daikhney laga,jahan pe sirf gussa tha.koi sharam,koi ghabrahat nahi,jo usay dekh ke maha pe taari
    hojati thi.
    "haan ye sach hai keh mai us ki maa nahi aur woh meri beti nahi lekin ye.."
    aik pal ke liye maha sana ko bhool jati hai keh woh usay apney saath chaat pe layi thi,lekin jaisey hi
    darwazay pe khatkay ki awaz aayi maha apni baat mukamil nahi ker payi.woh sana ki taraf berhti hai to woh
    wahan se bhagney lagti hai aur maha us ke peechay.waleed bhi in dono ke peechay ata hai.
    "sana,sana.ruko beta meri baat suno."
    "nahi,aap meri mum'ma nahi hain."
    "sana,mera bacha."
    "nahi nahi aap meri mum'ma nahi hain."
    woh seeriyan utarti jati aur kehti jati aur us ke peecha maha usay rokney ke liye.
    "sana,aap meri beti ho,meri jaan ho,meri zindagi ho."
    "nahi nahi,aap meri mum'ma nahi chorien mujhay."
    woh aik jhatkey se maha se apna aap chura ke darwazay se bahar chali jati hai.
    "faraz roko usay."
    woh faraz ko derwazay se ata dekh ke kehti hai.lekin jab faraz sana ko rokney ki koshish kerta hai to woh us ka bhi
    haath jhatak ke bhaag jati hai.shor ki awaz sunn ke wahan taya ji,tayi ji aur seema bhi aa jatey hain.
    maha aur faraz sana ko rokney us ke peechay jatay hain lekin jab tak woh us tak phunchtey gaariyon ke apass
    mein takranay se aik zordaar dhamaka hota hai jis se fizza goonj uthti hai aur saath hi maha ki cheekh bhi.
    "baji!baji!ankhain kholein."
    faraz,maha ko zameen pe girney se pehlay hi apnay bazooaon mein sambhal leta hai.
    "seema tum andar ja ke baba aur amma ko batao,mai baji ko le ke hospital jata hoon."
    "aur sana?"
    faraz lamhay ke liye seema ko uljhi howi nazron se dekhta hai keh usay kiya jawab de.
    "gaariyon ke takranay ki awaz yahan tak aayi thi,aik dhamakey ki soorat mein,dua karo wahan sana na ho keh
    ager aisa howa to baji mar jayain gi."
    "Allah na karey,kaisi batain ker rehay hain."
    "theek keh raha hoon,agay kiya honay wala hai tum nahi jaanti,koi bhi nahi jaan sakhta siwaye merey."
    ye kehtay hi faraz gaari mein baith ke maha ko hospital le jata hai aur seema ghar ke andarja ke taya ji aur
    tayi ji ko batati hai.
    *********************************************************
    "hello,raheel mai baji ko le ke aa raha hoon."
    "lekin baat to sunn,hello??"
    raastey mein faraz ne raheel ko phone ker ke bata diya,lekin us ki baat sunnay se pehley hi line kaat di.
    gaari ko full speed mein chalatey howey,faraz ne aik nazer apni behan pe daali aur kaha
    "iam sorry baji,aaj aap hosh mein nahi,mujhay duayain aur naseehat kernay ke liye,aur aaj mai hosh mein nahi.
    kisi ki perwah kiye bagair full speed mein gaari chala raha hoon keh aap aur aap ki jaan se berh ke mujhay
    koi azeez nahi.iam sorry baji."
    faraz hospital phuncha to raheel wahin us ke intezar mein khara tha.
    "dimaag to kharab nahi hogaya hai tera,kis terha gaari chalata howa aya hai aik ghantey ka raasta adhay ghantey
    se bhi kam mein phuncha hai,khud bhi maray ga dosron ko bhi marwaye ga.baba!"
    usay daanttey howey raheel ki nazar sab se pehley tayaji pe pari phir us ke baad tayiji seema aur phir maha pe.
    seema ke batanay pe ye sab bhi faraz ke peechay hospital aagay.
    "faraz!"
    raheel ne sawaliya nazron se faraz ko dekha.
    "behosh hogayi hain."
    "mai check kerta hoon.tu paraishan na ho."
    "mai apni leave wapis lena chahta hoon."
    "filwaqt rehnay de,mai sambhal loon ga,tu paraishan na ho bas,dua ker."
    faraz ne apni shadi ki waja se leave li howi thi,woh chahta tha keh maha ka ilaaj woh karey lekin raheel ne
    mana ker diya.thori dair baad raheel kamrey se bahar aya to faraz us ko uljhi howi nazron se dekhney laga.
    "kiya baat hai raheel?baji theek to hain na?"
    "faraz,nervous breakdown howa hai."
    faraz wahin kursi pe apney dono hathon se sar pakar ke baith gaya.
    "khud ko sambhal.dua ker unhay jald hosh aa jaye.aur faraz,sana.."
    "sana?kahan hai sana?bol na yaar kahan hai sana?"
    "yahin hai.ICU mein.bhut shadeed accident howa hai.bhut chootein aayi hain.mai tujhay phone ker ke batanay
    wala tha,usi waqt tera phone aya aur tu ne baji ke mutaliq kaha,mai us waqt batana chahta tha lekin tu ne
    line kaat di.aur tu kuch paraishan bhi laga is liye dobara phone nahi kiya."
    "usay hospital kon laya?"
    "jis gaari se accident howa tha,wohi shaks usay yahan laya woh khud bhi buri terha hurt hai."
    "ye sab kiya hogaya raheel."
    "khud ko sambhal faraz.dua ker sab theek hojaye ga."
    "mai sana ko dekhna chahta hoon."
    "theek hai."
    faraz ke saath baqi sab bhi sana ko dekhnay ICU gay.patiyon mein jakra us ka wajood dekh ke seema aur tayi ji
    apna zabt kho baithin aur ro parin.faraz aur tayaji ne in dono ko sambhala.aab ye sab sirf dua ker sakhtey
    thay.
    ************************************************
    do din guzar gay na maha ko hosh aya aur na hi sana ko.faraz ne tayaji aur tayiji ko ghar bhaij diya,seema
    ne janay se inkaar diya lekin phir bhi faraz ne usay zaberdasti ghar bhaij diya.woh subah ko jati aur dophar
    ko wapis hospital aa jati.faraz kabhi maha ke pas hota kabhi sana ke pas.teesrey din sana ko hosh aya lekin
    woh sirf do ghantey zinda reh saki aur jaisey hi uski ankhain band howin maha ko hosh aagaya.jab maha ko hosh
    aya,tab faraz,tayaji aur waleed sana ki tadfeen ker rehay thay aur tayiji aur seema ghar pe thay.maha ne hosh
    mein atay hi sab se pehlay sana ka naam liya aur hyper hogayi aisey keh usay sambhalna mushkil hogaya.raheel ne
    usay sakoonawar injection de ke sula dia.aisa roz honay laga jab bhi woh uthti sana ka naam leti aur bikhar
    jati.faraz ne bhut baar koshish ki keh usay sana ke mutaliq bataye lekin raheel usay rok deta.phir aik din
    woh so kar uthi to bilkul normal thi na hi us ne sana ka naam liya aur na hi woh hyper howi.raheel ne us ki
    condition dekh ke usay kuch dino baad discharge ker diya.jis din maha ko discharge hona tha,us din faraz us ke
    saath tha.faraz ko woh bhut chup chup lagi,woh koi baat nahi ker rahi thi bas aik hi jaga dekhay ja rahi thi.
    faraz ko us ki khamooshi khataknay lagi,woh chahata tha keh maha us se sana ke mutaliq poochay aur woh usay
    sab kuch bata de apney dil ka boojh halka ker le.akhir faraz ne hi pehal ki.
    "baji aap ka paon kaisey jala?"
    maha ne aik nazer faraz pe daali aur phir apney paon ko dekha.
    "garam pateeli gir gayi thi."
    "kaisey?"
    "haan!"
    faraz ne apna haath us ke haath pe rakha taakey woh us ki taraf mutawajah rehay.maha ne uski taraf dekha.
    "baji kaisey gir gayi pateeli?"
    maha ki ankhain ansowaoan se bhar gayin aur tap tap ker ke us ke ansoo faraz ke haathon pe girney lagay.
    "baji!"
    "us din mai sab ke liye shaam ki chai ki tayari ker rahi thi keh wahan sana aa gayi aur us ne mujh se poocha
    keh kiya aap meri mum'ma nahi.tab aik pal ke liye mujhay laga keh merey paon ke neechay zameen nahi rahi.mai
    sakit nazron se usay daikhti rahi aur jab us ne mujh se dobara yehi sawal kiya tab merey wajood mein harkat
    howi aur merey haath se pateeli gir gayi."
    maha ye sab kehnay ke baad khamoosh hogayi.faraz ne us ka haath nahi choora.phir maha ne kehna shuru kiya.
    "waleed ne usay sab kuch bata diya aur jaanay kiya bataya aur kaisey bataya keh woh biphar gayi aur mujh se
    bhaagtey howey derwazay se nikal gayi.tum ne waleed ko bataya tha sab kuch??"
    "ji baji!"
    "kyon faraz kyon bataya tha,ager nahi batatey to aaj sana mujh se naraz nahi hoti."
    kamray mein aik baar phir khamooshi chah gayi.
    "faraz usay merey pas lao.woh mujh se naraz hai mai usay mana loon gi,usay pyar se sab kuch sahi sahi bata doon
    gi.tum usay ghar pe akela to chor ke nahi aay na?woh bahir hogi usay merey pas lao usay bolo mum'ma bula rahi
    hain."
    woh aik saans mein faraz ko sab kuch keh gayi jaisey usay umeed thi keh sana wahin hai hospital mein us ke pas.
    "baji woh!"
    "kiya baat hai faraz tum kuch boltey kyon nahi sana kahan hai?"
    "baji woh nahi hai."
    "nahi hai?kiya matlab?"
    faraz ko samjh nahi aa raha tha keh maha ko kaisey bataye lekin us ke bataney se pehly hi maha samjh gayi.us ne
    aik jhatkey se apna haath churaya aur bister se uth khari howi.
    "baji!"
    "nahi ye nahi ho sakhta"
    "ye sach hai woh hum sab ko chor ke chali gayi hai."
    "nahi nahi ye nahi ho sakhta,woh mujhay chor ke nahi ja sakhti."
    "mai ne khud apney haathon se mitti daali..."
    "nahi nahi"
    "baji! mai ne apnay in haathon se us ki qabar pe phool charhaye."
    "nahi nahi,faraz woh mujhay chor ke nahi ja sakhti.woh meri jaan hai."
    ye kehtey hi woh zameen pe baith ke apnay dono haath mounh pe rakh ke phoot phoot ke ronay lagi.faraz apni
    behan ke pas wahin pe baith gaya.
    "baji!"
    faraz ka itna hi kehna tha keh woh apnay bhai ke galay lag ke ronay lagi.
    "bas baji bas."
    woh us ke ser pe haath phair ke usay chup karanay laga.
    "woh mujhay chor gayi faraz.mai akeli hogayi khaali damaan.kuch nahi bacha merey pas.mai kyon zinda hoon faraz
    woh mujh se naraz ho ke chali gayi.akhri waqt tak woh yehi kehti rahi aap meri mum'ma nahi aap meri mum'ma
    nahi.haan mai us ki maa nahi tabhi to aab tak zinda hoon.kon ho gi aisi maa jo apnay bachay ke mernay pe bhi
    zinda hai.mai mar kyon nahi gayi."
    "bas ker dein baji,bas ker dein."
    maha kaafi dair tak us se lipat ke roti rahi.jab woh kuch sambhal gayi to to faraz ne kaha...
    "aayain baji ghar chalain."
    aur woh dono uth ke hospital se ghar ke liye rawana howey.
    **************************************************************
    ghar phunch ke maha apney kamrey mein chali gayi woh kisi se baat nahi kerna chahti thi,na us ne raat ka khana
    sab ke saath khaya.
    "baji khana kha lein."
    faraz aik tray mein us ke liye khana laya tha.
    "dil nahi ker rah ahai,tum kha lo."
    "thora sa kha lein mai apnay haathon se khilata hoon."
    "nahi faraz bilkul dil nahi hai khanay ka."
    woh us ke bed pe baith gaya aur tray us ke samnay rakh di.
    "aap ko yaad hai baji jab ami baba ki death howi thi mai har waqt rota rehta tha,khana bhi nahi khata tha.phir
    aap mujhay behlatin aur apnay haathon se khana khilatin,bilkul aisey!"
    faraz niwalay bana ke us ke mounh mein dalnay laga.maha ki ankhon mein ansoo aagay,woh us ke mounh mein niwalay
    daalta jata aur baat kertey jata.
    "sana ko hosh aya tha."
    woh ansoo bhari ankhon se faraz ko dekhnay lagi,jaisey yaqeen kerna chaha rahi thi keh woh sach hai ya jhoot.
    "jis din aap hospitalized howi theen usi din sana bhi wahin thi ICU mein.us ka accident howa tha aur bhut
    shadeed chotein aayi theen usay."
    maha bhut sakoon se us ki baat sunn rahi thi.ankhon se ansoo beh rehay thay.
    "do don baad usay hosh aya lekin sirf do ghantey ke liye.woh musalsal aap se milney ki zid kerti rahi aur phir
    us ne bhi mujh se wohi sawal kiya jo aap se kiya tha,aur mai ne usay bhut pyar se bhut aram se sab kuch bata
    diya."
    faraz kuch dair tak intezar kerta raha keh maha kuch bolay lekin woh kuch nahi boli bas us ki shakal dekhti
    rahi.
    "aap poochain gi nahi us ne kiya kaha ye sab sunnay ke baad?"
    maha ne apna ser asbaat mein hilaya to faraz ne kaha..
    "us ne kaha mamoojaan,mum'ma se kehye ga mujhay maaf ker dein,aap hi meri mum'ma hain aur mai aap se bhut pyar
    kerti hoon.I love you mum'ma."
    ye suntey hi maha faraz ke kandhay pe ser rakh ke ronay lagi.
    "bas baji aaj ro lain jitna rona hai,mai aap ko phir na dekhon aisey rotey howey."
    aur phir us din ke baad se maha ki ankhon mein ansoo nahi aay.din mahino mein guzartey rehay.bazahir sab kuch
    theek tha lekin woh waleed ki mojoodgi mein apnay kamrey mein rehti.jab woh office jata tab woh apnay kamrey
    se nikalti,nashta kerti,tayaji aur tayi ji ke pas baithti.faraz aur seema se batain kerti.dophar ka khana woh
    in logon ke saath khati.lekin raat ka khana woh apnay kamrey mein khati keh waleed khanay ki maiz pe hota.jab
    kabhi woh office nahi jata to maha poora din kamrey se bahir nahi nikalti.waleed sab kuch dekh aur bardasht
    ker raha tha.lekin kab tak bardasht kerta,akhir aik din jab us ki office ki chutti thi aur maha us ki ghar mein
    mojoodgi per aapnay kamrey mein thi keh woh us ka derwaza khol ke andar aya.
    "chalo merey saath."
    maha us ke is terha kamrey mein anay per hairat se usay dekhti hai.
    "mujhay kahin nahi jana."
    waleed agay berh ke us ka haath pakerta hai aur taqreeban khainchta howa usay sehan mein lata hai,aur is terha
    us ka haath chorta hai keh woh ghoomti howi taya ji ke kadmoon mein girti hai.seham mein taya ji tayi ji seema
    aur faraz baithay batain ker rehay thay,waleed ke is rawaye per sab ne aik saath us ki taraf dekha.
    "baji!"
    faraz uth ke apni behan ki taraf ata hai.
    "baji aap theek hain?"
    "haan theek hoon."
    "waleed ye kiya badtameezi hai?"
    tayaji gussay mein waleed ki taraf dekhtey howey kehtey hain.
    "poochain iss se kis baat ka aur kis ka sog mana rahi hai ye aab tak,kon si woh is ki sagi aulaad thi jo aab
    tak sog mana rahi hai ye.pata nahi woh raheel ki bhi aulaad thi ya nahi."
    aik dam se waleed boltey boltey maha ki taraf dekh ke kehnay laga..
    "pata nahi kisi beech rah se uthaya hai ya phir kachrey se."
    maha aik jhatkey se uthi aur waleed ki taraf berhi aur us ka garaibaan pakar ker poochnay lagi..
    "kiya kaha aap ne?"
    waleed uski ankhon mein ankhain daal ke dekhnay laga aur kaha
    "pata nahi beech rah se uthaya hai ya phir.."
    is se pehlay ke waleed apni baat mukamil kerta maha ne usay aik thapar mara..
    "bas ker dein!bas ker dein!khuda ke liye.ye dekhain,mai haath jorti hoon aap ke samnay baksh dein usay,nahi hai woh yahan.mai aap ke paon perti hoon,us masoom ko baksh dein.woh raheel ki beti thi,unki sagi aulaad,unki pehli wife shermeen se."
    maha kehtay hi phoot phoot ke ronay lagi.faraz uth ke maha ke pas aya aur us ke kandhon pe haath rakh ke us ko
    uthaya.
    "baji please mat roain aisey,bas ker dein."
    "kaisey bas ker doon.kaisey?"
    maha ik dum se gussay mein chilanay lagi.
    "bas ker doon,kyon bas ker doon?do saal baad jab hum yahan aay thay,meray saath aik bachi thi tab kisi ne nahi
    poocha mujh se keh ye bachi kon hai?kis ki hai?kisi ne poocha?nahi kisi ne nahi poocha,na baba aap ne,na aap
    ne amma,na tum ne seema,phir aab kyon?aab kyon jab keh woh yahan nahi hai.khuda ke liye us masoom ko baksh
    dein."
    "beta tum ne khud se bhi to nahi bataya?"
    rotay rotay maha behaal ho chuki thi keh usay tayi ji ki awaz sunayi di.
    "mai khud se batati amma!kaisey batati.kahan se laati woh dil jis se batati keh woh meri beti nahi,raheel ki
    beti hai unki pehli wife shermeen se."
    maha wahin un ke dermiyaan baithi roti rahi.faraz us ke pas baith gaya.thora sambhalnay ke baad maha ne ahista
    ahista sab batana shuru kiya.
    "jab hum yahan se gay to sab se pehlay ghar ka masla tha keh hum kahan rehtay.bhut mushkilon se aik chota sa
    ghar mila.dosrey din faraz ne ja ke hospital se resign kiya taakay aap mein se koi humain dhondh na paaye.
    kuch din tak faraz ne mukhtalif hospitals mein job talaash ki aur akhir aik hospital mein job mil gayi.yahan
    is ki dosti dr.raheel se howi aur usi ne humain aik dosri jagah pe khaali ghar dikhaya jo hospital se kareeb
    bhi tha.iss ghar ke maalik raheel thay jo ghar ko baich ker mustakil tor per bahir ja rehay thay.hum itnay baray ghar ko nahi khareed sakhtey thay,is liye hum ne soocha keh us ghar mein aarzi tor pe reh laitay hain aur kahin acha sa ghar dhondhtey rehain gay,jab mil jaye ga to wahan reh lein gay.per aisa na ho saka raheel do teen hafton ke baad sab kuch windup ker ke wapis pakistan aa gay.humain phir rehaish ka masla lahaq hogaya,lekin raheel ne wahan se janay na diya.woh mujh se shadi kerna chahtey thay,unho ne faraz se baat ki aur faraz ne meray ser pe haath rakh ke sawal kiya."
    maha ansoaon ke dermiyan muskura di aur faraz ke ser pe haath phaira.woh bhi apni behan ko dekh ke muskura dia.maha ne baat ka silsila wahin se jora jahan se tora tha.
    "mai ne yehi kaha jaisey tum theek samjho aur is terha sadgi se shadi hogayi.na unki taraf se koi tha na
    humari taraf se.shadi ki raat unhay ne mujhay bataya keh unki aik beti hai sana,unki pehli wife shermeen se.woh humaisha pakistan isi liye wapis aay thay keh unki wife ki death ho chuki thi.warna wapis anay ka unka irada nahi tha.sana apni nani ke ghar pe thi.mai un se roz kehti aap usay yahan le aayain merey pas lekin woh yehi kehtey keh tum adjust hojao phir le aaon ga.mera israar berhta raha aur aik din woh sana ko meray pas le aay.woh bhut pyari bhut masoom thi aur jab pehli baar us ne mujhay mum'ma kaha to mai ne usay apni bahon mein samait liya.ahista ahista woh mujh se attached hoti gayi.school se aati to mujhay pukarti,meray bagair khana nahi khati,kabhi kabhi meray haathon se khanay ki zid kerti.meray saath soti,meray bagair usay neend nahi aati
    bhut sensitive thi jaisey jaisey bari ho rahi thi us ke sawalaat berhtey jatay aur mai us ke masoom se sawalon ke jawab deti.us ne apni ma ko nahi dekha tha keh jab woh choti si thi,tabhi us ki ma usay akela chor ke chali gayi thi.woh mujhay hi apni ma kehti aur samjhti.waqt guzarta raha,raheel ne mujhay sab kuch izzat mohabbat
    ghar aur aik pyari si bachi,lekin unka aur mera saath ziyada arsey na reh saka.aik accident mein sana ki saari zimedaari mujhay soanp ke chalay gay."
    kuch pal ke liye maha khamoosh hogayi,sab apni apni jagah chup thay.sehan mein udasi chahyi howi thi,sab ki nazrien maha ki taraf thi.
    "do saal baad hum yahan wapis aa gay.aap mein se kisi ne sana ke mutaliq nahi poocha aur mai ne bhi nahi bataya.faraz ko mai pehlay hi mana ker chuki thi lekin us ne waleed ko bata dia aur waleed ne sana ko."
    maha ye kehtay hi uth ke waleed ke pas aayi aur kehnay lagi..
    "aap ko sab pata tha phir bhi aap us ke khilaaf ulta seedha bolay.mai ne mana kiya tha keh aap usay kuch mat bataye ga lekin aap ne usay bataya.aap kehtay thay keh aap ko mujh se mohabbat hai,ishq hai,to ye kaisi mohabbat hai?ye kaisa ishq hai?bolain jawab dein mujhay?chup kyon hain?"
    maha,waleed ka garaibaan paker ke usay jhanjhornay lagi.lekin woh kuch na bola bas chup chaap usay dekhta raha.
    "jis se mohabbat hoti hai usay takhleef nahi diya kertay.usay ansoo nahi diya kertay.per aap ne mujhay har pal ansoo diye,takhleef di.meri zindagi ko mujh se cheen liya.ye...ye angothi aap ne mujhay di thi na bhut mohabbat se bhut chaha se?"
    woh apnay haath ki ungli mein pehni angothi waleed ko dikhati hai aur aik jhatkey se usay utar ke,uski taraf phainkti hai.
    "mujhay aisi mohabbat aisi chahat nahi chahye,aaj se mera aur aap ka rishta khatam,nafrat hai mujhay aap se."
    "chaand!"
    woh rotay howey wapis apnay kamrey mein janay lagti hai keh usay waleed ki awaz aati hai.woh apna rukh us ki taraf morti hai to usay waleed ghutno ke bal baitha howa nazar ata hai aur us ke dono haath maafi ke liye juray hotay hain.woh usay dekhti reh jati hai.
    "chaand!mujhay maaf ker do mai ne jaan boojh ke ye sab nahi kiya."
    "maaf ker doon?chalain theek hai maaf ker doon gi,ager aap abhi aur isi waqt yahan idher meri ankhon ke samnay meri jaan meri zindagi ko le aayain mai maaf ker doon gi."
    waleed hairat se uski taraf dekhnay lagta hai.faraz,seema,tayaji aur tayiji bhi maha ko aisey dekhtay hain jaisey sadmey se us ke dimagh pe asar hogaya ho.
    "beta kaisi batain ker rahi ho?"
    "nahi baba,inhay maafi chahye to inhay sana ko meray samnay lana hoga."
    "baji,kaisi batain ker rahi hain?kiya hogaya hai aap ko?ye namumkin hai."
    "kyon namumkin hai.inhay mujh se mohabbat hai,ishq kertay hain mujh se,maafi chahye inhay to sana ko yahan meray samnay layain."
    woh faraz se baat kertay kertay apna rukh waleed ki taraf kerti hai aur us se poochti hai..
    "kiya howa?kiya dekh rehay hain?nahi la sakhtey na meri jaan ko?"
    woh ansoo bhari ankhon se usay dekh ke kehnay lagi..
    "mai ne maaf kiya aap ko."
    maha itna keh ke apnay kamrey mein chali gayi aur derwaza band ker liya.
    "baba!baba!kiya howa aap ko?"
    maha ke jaanay ke baad sab apni apni jaga sakit kharay thay keh tayaji ke kursi pe girnay ki awaz aayi aur saath hi seema unki taraf bhaagi.faraz foran unki taraf aya aur nabz check kernay laga.
    "waleed bhai,baba ko hospital le jana hai foran,aap gaari nikalein mai baji ko batata hoon."
    faraz,waleed ko hidayat de ke seedha maha ke kamrey tak aya aur derwaza khatkhataya.
    "baji,derwaza kholain,baba ki tabiyat theek nahi,hospital jana hai baji,derwaza kholain baji please derwaza kholain,baba ki tabiyat serious hai unhay hospital le ke jana hai."
    maha ne derwaza khol diya aur foran bahir sehan mein aa gayi.lekin usay wahan koi dikhayi na diya.
    "baba kahan hain?kiya howa hai unhay?bolo na faraz chup kyon ho?"
    "baji,baba behosh hogay hain,unhay hospital le ke jana hai,gaari mein hain."
    maha foran bhaag ke gaari mein baithi jahan tayaji behosh thay.
    "baba!baba!kiya howa hai aap ko?ankhain kholain baba,faraz gaari chalao."
    maha ki nazrein tayaji ki hi taraf thi,us ne bagair dekhay faraz ko gaari chalanay ka kaha,jab ke driving seat pe waleed tha.
    "tez chalao."
    maha ki baar baar aik hi takraar pe faraz aur waleed aik dosrey ko dekh ke muskuranay lagay.tayiji aur seema ghar pe hi thay.maha bhi nangay paon bhaagti howi gaari mein baith gayi thi.faraz ne usay roknay ki koshish ki thi lekin us ne unsuni ker diya tha.woh ye bhi nahi jaanti thi keh drive faraz nahi waleed ker raha hai.jab hospital phunchay tab maha ko ilm howa keh drive waleed ker raha tha.woh waleed pe aik nazer daal ke hospital ke andar chali gayi.
    "raheel,baba theek to hojayain gay na?"
    "baji aap bilkul fiker na kerain mai aur faraz hain inshAllah unhay kuch nahi hoga."
    raheel,maha ko taasli de ke agay berh gaya aur woh wahin aik kursi pe nidhaal si baith gayi.bhut dair guzer gayi,na raheel aya aur na hi faraz.maha ka dil ghabranay laga kabhi woh kharay ho ke tahalnay lagti kabhi dono hathon se apna ser pakar ke baith jati.waleed kaafi dair se us ki kaifiyat note ker raha tha lekin us ke pas nahi jata.akhir waleed se raha na gaya aur woh us ke saath wali kursi pe baith gaya.
    "chaand!"
    maha ne ser utha ke dekha to apnay baraber mein waleed ko paya woh foran se khari hogayi.
    "mujhay aap se koi baat nahi kerni."
    "Chaand please."
    "mai ne kaha na mujhay aap se koi baat nahi kerni."
    "chaand.."
    waleed kuch kehnay hi laga tha keh raheel ko apni taraf ata dekh ke chup hogaya.
    "raheel,baba kaisey hain?"
    "baji relax.theek hain,hosh aa gaya hai.aap ko bula rehay hain,lekin.."
    raheel ne usay jata dekha to rok liya.
    "lekin kiya?"
    "lekin woh bilkul theek nahi howey hain,un se aisi koi baat na kijye ga jo unhay takhleef de."
    maha us ki baat sunn ke foran tayaji ke kamray ki taraf bhaagi.woh kamray mein phunchi to faraz pehlay se hi wahan mojood tha.
    "baba!"
    "aram se baji,baba bilkul theek nahi howey hain."
    "kiya howa tha faraz?"
    faraz apni behan ko dekhnay laga.
    "aisey kiya dekh rehay ho,bolo na?"
    "baji,attack howa tha,shuker hai jald hosh aagaya lekin abhi bhi khatra hai."
    "baba!ankhain kholain,dekhain mai hoon aap ka beta."
    tayaji ne ankhain khol ke maha ko apnay kareeb paya.
    "baba mai aap ko bhut tang kerti hoon na,aap ko bhut takhleef deti.mujhay maaf ker dein baba,mai aap ki achi beti nahi hoon."
    maha ye kehtay hi tayaji ke seenay pe sar rakh ke ronay lagi.itnay mein waleed,seema aur tayiji ko bhi ghar se le aya tha.
    "bas beta,rotay nahi,mai theek hoon aab aur merey sab bachon mein,meri sab se pyari aur achi beti ho."
    kamray mein dhakil hotay howey seema,waleed aur tayiji ne,tayaji ki baat sunn li thi,is liye seema masnoyi narazgi se kehnay lagi..
    "ye ziyadti hai baba,jo ziyada tang kerta hai aap ko,wohi aap ki jaan hai aur hum sab?hmmmm humari to sirf amma hain."
    seema ki is baat pe sab hansnay lagay.kamray ka mahoal thora khushgawar hogaya.
    "amma ki chamchi."
    faraz ne seema ke ser pe halki si chapat laga ke kaha.
    "aur aap baba ke."
    "woh to mai hoon."
    "chaand dekho na."
    seema ne faraz ki shikayat foran maha se ki.
    "aab tum dono lerna shuru ker do.sudhar jao.kahin se bhi nahi lagta keh tum dono shadi shuda ho,bachon ki terha lertay ho."
    "baji!"
    "bas chup,sab bahir chalo baba ko aram kernay do."
    woh sab bahar nikalnay lagay keh waleed aur maha ko tayaji ki awaz aayi.
    "waleed,chaand,beta baat suno."
    maha ne waleed ki taraf dekha,woh dono tayaji ke pas da'ain aur ba'ain baith gay.
    "Ji baba."
    "beta,chaand,mai nahi jaanta meri zindagi kitni hai,aaj hoon kal nahi..."
    "baba please aisi batain mat kerain.aap bilkul theek hain,kuch nahi howa hai aap ko."
    maha ne rotay howey tayaji ko kaha.
    "beta aik na aik din to sab ko jana hi hai.mera waqt..."
    "nahi baba nahi please."
    woh tayaji ke seenay pe ser rakh ke ronay lagi.
    "chaand please is terha roo gi to baba ko takhleef hogi.woh kehna kiya chahatey hain,sunn to lo.rona to band karo yaar."
    maha ne ik dum se apna ser utha ke waleed ko dekha aur kehnay lagi.
    "aap ko ager achi lag rahi hain is terha ki batain to aap sunay.aur baba ager aap ne mazeed is terha ki batain kin to mai yahan se chali jaon gi."
    waleed aur tayaji us ki ye baat sunn ke aik dosrey ko dekh ke muskuranay lagay.
    "acha hum apnay betay se aisi batain nahi kertey.aab aap apnay ansoo pochain shabash."
    maha ne jaldi se apnay ansoo saaf kiye aur tayaji ka haath apnay haathon mein le liya.tayaji usay kuch dair tak khamooshi se dekhtey rehay.
    "beta,waleed aap se bhut mohabbat kerta hai.jo kuch us ne kiya,us ne kaha,us ne jaan boojh ke nahi kiya.please beta usay maaf ker do aur usay zindagi bhar ke liye apna lo."
    maha suun si baithi reh gayi usay yaqeen hi nahi aa raha tha keh tayaji us se ye sab kahain gay.
    "baba mujhay maaf ker dein,aap kuch bhi kehain mai maan loon gi,per ye nahi baba,ye mujh se nahi hoga."
    "kyon nahi hoga?bolo jawab do?kyon nahi hoga?"
    waleed ko gussa aa gaya aur woh ik dum se kharay ho ke maha se sawal kernay laga.maha dar ke khari hogayi aur kabhi waleed ko aur kabhi tayaji ko dekhti.
    "jawab do?kyon nahi hoga tum se ye sab?samjhti kiya ho tum apnay aap ko?tum ho kiya??"
    "waleed!"
    tayaji ne usay rokna chaha lekin woh gussay mein tha.
    "bewah ho aik,bewaon ke rishtey nahi aatey,paari rehna zindagi bhar ghar ke aik konay mein.tumhari khushkismati hai keh mai tum se mohabbat kerta hoon aur shadi kerna chahata hoon.warna tum mein hai kiya?kuch nahi,kuch bhi nahi.aik chooyi howi aurat ho."
    "waleed chup ho jao."
    maha waleed ko sakit nazron se dekhti aur sunti rahi.us ke wajood mein junbish tab howi jab tayaji ki takhleef deh awaz us ke kaano mein paari.waleed sab kuch keh ke apna rukh mor chuka tha.
    "baba!baba kiya howa aap ko.raheel faraz.baba ankhain kholain."
    woh rotay rotay raheel aur faraz ko wahin se bulanay lagi.
    "waleed,baba ko dekhain na,faraz aur raheel ko bulayain."
    waleed foran bahir ki taraf bhaaga raheel aur faraz ko bulanay.jab woh teeno wapis aay to maha tayaji ke pas khari ro rahi thi.
    "raheel faraz baba ko dekho kiya howa?"
    "baji aap bahir jayain,kuch nahi hoga baba ko hum dekh rehay hain."
    "nahi mai nahi jaon gi."
    "baji,kuch nahi hoga aap bahir chalain."
    woh bebasi se faraz ko dekhnay lagi.faraz ne usay tasali di to woh kamrey se bahir aa gayi.waleed pehlay se hi bahir tha.maha ne usay dekha to woh us ke pas aayi.
    "woh sab kuch jo aap ne andar kaha,baba ke samnay kehna zaroori tha?aap mujh se akelay mein bhi to keh sakhtey thay.aap un ki halat dekhain,jo dil mein aya aap kehtay chalay gay.aap ko kisi ki perwah nahi hai,kisi ka khayal nahi hai.na baba ka,na amma ka aur na mera.aik baat sunn lein ager baba ko kuch howa na,mai aap ko jaan se maar daalon gi aur khud bhi mar jaon gi."
    ye kehtay hi maha ne apna rukh mor liya.waleed khushgawaar hairat se usay dekhnay laga.
    "kiya kaha tum ne?"
    "ager baba ko kuch howa to aap ko jaan se maar daalon gi."
    "nahi,us ke baad?"
    "kuch nahi."
    "yahan dekho meri taraf."
    waleed us ka rukh apni taraf morta hai.lekin maha apni nazrein nahi uthati.
    "itni mohabbat kerti ho mujh se keh mujhay maarnay ke baad,khud apni jaan bhi le lo gi?"
    maha ne kuch nahi kaha aur na hi apni nazrein uthayin.
    "yahan aao meray saath."
    waleed us ka haath paker ke usay raheel ke kamrey mein le gaya.maha ne apna haath nahu churaya aur na hi koi ehtejaaj kiya.woh chup chaap waleed ke saath chalti chali gayi.
    "baitho yahan."
    maha chup chaap baith gayi.waleed us ke samnay kursi rakh ke baith gaya aur us ka haath apnay haathon mein thaam liya.maha ne apna haath churanay ki koshish ki lekin waleed ki grift bhut mazboot thi.woh maha ki ghabrahat mehsoos ker ke muskuranay laga aur us ki sharam o haya se jhuki nazron ko dekhnay laga.
    "mai ne sana ki death ke baad jo kuch kaha woh jaan boojh ke kaha tha taakay tumharey andar jo ghum hai usay bahir le aao,tumharey dil mein jo hai,woh sab keh do.tumhay ansoo,tumhay takhleef denay ke liye nahi,sirf is liye keh mai tum se mohabbat kerta hoon,tumhari perwa hai mujhay,tumhara khayal hai mujhay aur jo kuch mai ne abhi kaha baba ke samnay woh is liye kaha keh tum phir inkaar ker rahi theen,mujhay gussa aa gaya aur mai bolta chala gaya."
    "jab ke baba aap ko roknay ki koshish ker rehay thay."
    "sorry!"
    "ji"
    "kiya ji?phir wohi ji."
    "maaf kiya."
    "thankyou so much."
    "acha aab aap mera haath chorien."
    "bilkul nahi."
    "waleed please.."
    maha ne apna haath churanay ki koshish ki lekin waleed ne us ka haath mazbooti se thaamay howey,usay apnay nazdeek ker liya.
    "kiya ker rehay hain?"
    "woh sab kuch kerna chahta hoon,jis se ye lamha ye waqt tham jaye."
    maha ne apni nazrein utha ke usay dekha lekin waleed ki nazron aur chehray pe ayan jazbaat usay apni nazrein jhukanay pe majboor ker gay.
    "waleed please,koi aa jaye ga."
    "koi nahi aay ga."
    waleed usay apni nazron ke hissar mein liya howa tha.us ki nazron ki taapish,us ki sansein maha ke chehray pe haseen rang bakhair rahi thi.maha ke dil ki dharkan alag chor macha rahi thi.waleed,mazeed usay tang kernay ka khayal tarq ker ke thora sa peechay haath gaya aur apni jaib se wohi angothi nikali jo maha ne us ke mounh pe maari thi.
    "ye?"
    waleed us ki ungli mein pehnanay laga.
    "mai ne soocha ager tumhay younhi dekhta raha to mujh se koi gustakhi na ho jaye.aur ager aisa howa to tum mujhay kabhi maaf nahi karo gi bas mai tumhay apni shidaton,apni mohabbat,apnay jazbaat se tumhay aagah kerna chahta tha,jo mai ker chuka,hai na?"
    maha ne aik nazer waleed ki taraf dekha aur shararat bhari nazron se kaha
    "nahi to."
    ye kehtay hi maha us se thora door ja ke khari hogayi aur muskuranay lagi.waleed us ki shararat samjh gaya tha
    is liye thora agay berha.
    "acha to phir mujhay amal ker ke dikhana hoga?"
    maha us ki ye baat sunn ke dhak se reh gayi aur usay dekhnay lagi,itnay mein waleed usay apni bahon mein le chuka tha.
    "ye kiya ker rehay hain?"
    "amal ker ke dikha raha hoon."
    "waleed please chorien mujhay,mai to aisey hi keh rahi thi.please chorien."
    maha rohansi ho ke apna aap churanay lagi,waleed ne usay chor diya.
    "mujh pe aitebar nahi hai,tumhay laga mai tum se shadi se pehlay..."
    maha ne foran apna ser naafi mein hilaya.
    "mai mazak ker rahi thi,mujhay aap ki shidaton,aap ki mohabbat aur aap ke jazbon ka ilm hai."
    "aur chaand mujhay tum se itni mohabbat hai keh mai kabhi bhi tumhay ansoo,takhleef ya azyat nahi de sakhta,kabhi bhi nahi."
    waleed usay mohabbat bhari nazron se dekhnay laga aur maha apnay haath ki ungli mein pehni howi angothi ko.
    "chaand!mujh se shadi karo gi?"
    waleed ke is sawal pe maha ne nazrien utha ke us ki taraf dekha.
    "bolo na?mujh se shadi karo gi?"
    maha ne apnay lab bolnay ke liye kholay ke waleed kehnay laga.
    "inkaar mat kerna aur na hi ji bolna."
    woh usay muskura ker dekhnay lagi.
    "ji."
    itnay mein faraz derwaza khol ke andar aya.
    "O'khuda,aap dono yahan hain,mai ne poora hospital chaan maara.chalain aayain baba ko hosh aa gaya hai."
    "tumhari behan ko mana raha tha,shuker hai maan gayi hai."
    "sach?"
    faraz ne hairat se maha ko dekha.
    "tobah hai waleed aap bhi haad kertay hain."
    woh dono ke dermiyaan se nikal ke tayaji ke kamray mein aayi aur foran unke seenay se lag ke ronay lagi.
    "baji please,koi emotional scene na karien.mai ne pehlay bhi kaha tha koi aisi baat na ho jo inhay takhleef de.lekin pehlay bhi aap logon ne nahi suna aur aab bhi nahi sunn rehay.rona dhona machaya howa hai.aab ager kuch howa to sab ko hospital se bahir nikal doon ga."
    "raheel!kiya hogaya hai?dekh rehay hain baba?"
    "dekh raha hoon,sab dekh raha hoon."
    tayaji muskuratey howey sab ko dekhnay lagay.kamrey mein sab mojood thay tayiji,seema,faraz,waleed,maha aur raheel.
    "aaj meri poori family yahan hai,mai bhut khush hoon."
    "baba,mai aap ki family nahi,sirf aap ka doctor hoon."
    "raheel,bekaar ki batain mat karo.tum humari family ka hissa ho aur sab se berh ker faraz ke behad close aur wahid dost ho."
    maha ne usay itnay maan se apni family ka hissa kaha ke raheel kuch bol na saka.
    "baba,baji maan gayi hain."
    faraz ne khush ho ke tayaji ko khushkhabri sunayi.
    "chaand,beta yahan aao."
    maha un ke pas aa ke baith gayi.
    "mera beta khush hai?"
    "ji baba mai bhut khush hoon."
    "hurray!!"
    raheel,faraz,waleed aur seema ne aik saath josh mein khushi ka izhaar kiya.tayaji aur tayiji bhi hans diye aur maha is baar khul ke hans di keh is baar us ne dil se kaha tha keh woh bhut khush hai.
    ***********************The End*********************
    Last edited by MY$T3R!OUZ; 02-02-2014 at 01:21 AM.

  3. #23
    Sep 2013
    Karachi
    36
    Ok aaj mai ne apna poora novel share ker liya hai aap perh lein Enjoy

  4. #24
    Zaini's Avatar
    Senior Member
    Aug 2013
    248
    ​hm....zbrdst jii....bht khoob....

  5. #25
    Sep 2013
    Karachi
    36
    Thank You


  6. #26
    Nov 2010
    USA
    3,447
    interesting novel ...... wesey yeh novels itney confusing kion hotey hain Yeh itna confusing nai tha but beech mai aik do jagah per mainey socha essa kesey ho sakta hai shayad ghalat likha hai per jab agey read kia tu pata chala k yeh story hai

    Kafi acha likhti hain aap Keep it up and good luck.

    hope to see more stuff from ur side.

    Thanks


    Ƭσʋт ƨα ɢαʏα нαι мɛяι cнαнαтσи κα ωαʝσσ∂

    Aαв κσι αcнα внι ℓαɢɛʏ тʋ нʋм ιʓнαя иαнι κɛятɛ

  7. #27
    Sep 2013
    Karachi
    36
    Thank You

  8. #28
    Nov 2010
    Cervera, Cataluna, Spain, Spain
    6,419
    Nice One .. ZabarDast Bhot Khub .. Same Here Bech May Mai BHi Confuse Ho GEya Tha ... But Jab Baki ka Read Kiya To Samgh Aya .. Good Work Rose PEtal .. Keep It Up .. !! We Are Hopefully Waiting For YOu Next Story or novel ..

    For Sharing Keep It Up .. !!

    ​




  9. #29
    Senior Member
    Jan 2013
    65
    2ND POST GOOD

 

 
123

Thread Information

Users Browsing this Thread

There are currently 2 users browsing this thread. (0 members and 2 guests)

Bookmarks

  •