"kaisi ho maha?"
waleed ander aa jata hai aur jahan woh khari hoti hai,table ke pas wahan us ke peechay aa ke khara
hojata hai,is terha keh ager maha jaana chahay to na ja sakey.maha ko mehsoos hogaya keh woh us ke peechay
aa ke khara hogaya hai lekin us ne koi jawab na diya.
"tum bilkul nahi badlin waisi ki waisi ho,jaisey pheley theen.mai jaanta hoon,tum mujh se baat kerna
nahi chahti aur na hi mujhay dekhna chahti ho,lekin maha mai tum se baat bhi kerna chahta hoon aur
tumhay ji berh ke dekhna bhi.pichley aik saal se mai ne tum dono ko kahan kahan nahi dhoonda,lekin tum
log nahi miley.faraz jis hospital mein tha wahan gaya,lekin woh wahan se jaa chuka tha,is hospital ka
pata itni mushkil se maloom kiya,soocha baba ko bhi saath le loon,unka check-up hojaye ga aur faraz ko
bhi dhoond loon ga.jab yahan phuncha to tumhari jhalak nazer aayi,phir khud hi seer jhatak diya keh tum
to mujhay har jaga nazer aati ho,aab bhi aisey hi hoga,lekin tumhari awaz is kamrey se bahir aayi to mai
dekhay bina na reh saka.tum haqeeqat mein merey samney ho,tumhay choo ke mehsoos kerna chahta hoon keh
mai tum se ishq kerney laga hoon,aab tumhay khona nahi chahta.meri taraf dekho maha keh mai tumhay nazron
mein bhar lena chahta hoon,please maha meri taraf dekho keh mai tum se maafi maangna chahta hoon."
waleed bolta ja raha tha aur woh roti ja rahi thi aur sooch rahi thi jab mohbat kerti thi us se to uski
aik mohbat bhari nazer chahti thi aur aaj jab woh usay toot ke chahney laga hai to woh chah ker bhi usay
apna nahi sakhti.woh us ke samney se door hojana chahti thi is liye apna rukh moor ke us se kehney lagi.
"raasta dijye mujhay jana hai."
woh us ka raasta rokey khara tha,na woh dayain taraf se ja sakhti thi aur na bayain taraf se.
"mai ne kaha mera raasta chorien."
"kaisey chor doon maha,kitney arsey baad dekh raha hoon tumhay.ye jhuki nazrein,ye rukhsaron pe ansoo,
ye ghabrahat,mera dil ijazat nahi deta keh tumhay apni nazron se oojhal honey doon.ji kerta hai keh
tumhay dulhan bana ke abhi aur isi waqt le jaon ke kahin tum phir gayab na hojao.kiya khayal hai?"
"please...mujhay is terha ki chichori batain bilkul pasand nahi,mujhay jaanay dein."
"ye chichori batain nahi hain maha,ye mera ishq meri mohbaat hai."
maha ne usay nazrein utha ke dekha lekin ziyada dair tak na dekh saki keh uski ankhon mein mohbat ka
samander thatein maar raha tha.us ne apni nazrein jhuka deen aur us ke bayain haath ko jhatka jo woh
kursi pe rakhay us ka raasta rokey khara tha.aur us ke pas se guzerna chaha lekin us ne haath paker ke
rok liya.
"pheley ye haath mai ne tumhay ansoo,azyat aur takhleef deney ke liye pakra tha aur aaj ye haath mai ne
chahat,mohbat aur humaisha thamney ke liye pakra hai.maha,mai tumhay toot ke chahata hoon aur tum se
shadi kerna chahata hoon."
jis baat ka dar tha,akhir woh baat hogayi.maha ne himmat ker ke apna rukh waleed ki taraf moora lekin
apna haath nahi churaya.
"jis maha ko aap dhoond rehay hain woh maha mar chuki,jis maha ko aap jaantey hain woh maha mar chuki,
jis maha se aap mohbat kertey hain woh maha mar chuki,jo maha aap se mohbat kerti thi woh maha mar
chuki,jis maha ka haath aap ne azyat,ansoo aur takhleef deney ke liye thama tha woh maha mar chuki,aur
jis ka haath aap ne chahat,mohbat aur humaisha thamney ke liye pakra hai woh aap ki maha nahi,aap ki
maha mar chuki,jo maha aap ke samney khari hai woh maha nahi woh mrs.maha raheel hai,raheel murad ki
bewah aur aik bachi ki maa.suna aap ne,mai aap ki maha nahi,mai mrs. maha raheel hoon,raheel murad ki bewah
aur aik bachi ki maa."
ye suntey hi waleed ke haath se maha ka haath choot gaya.
"meri beti hai sana,meri jaan hai woh.ye jo rang pehna hai mai ne,sirf uske liye,ankhon mein kajal,honton
pe hansi,ye muskurahat,ye lipstick ye sab us ke liye hai.warna aap ki maha kab ki mar chuki.woh be-rang
hai,usay koi choo nahi sakhta aur na hi koi apna sakhta hai."
ye keh ke maha jaaney ke liye turn howi to wahan apney baba ko dekh ke sakit reh gayi,woh girney hi lagay
thay keh maha unki taraf lapki.
"baba,baba kiya howa baba?"
"mera beta khush nahi hai na?"
taya ji ke is sawal pe maha ke ansoo behney lagay.
"nahi baba mai bhut khush hoon,bhut khush.aap theek hain na?"
taya ji ki ankhain baand hotey dekh ke maha ne unse poocha lekin woh ankhain baand ker chukey thay.
"baba baba ankhain kholye.waleed dekhain baba ko kiya howa."
us ne waleed ko awaz di jo aab tak sakit khara tha,maha ki pukar pe us ne taya ji ki taraf dekha aur unke
pas aya.
"baba please,dekhye baba mai bhut khush hoon.please baba ankhain kholye.faraz ,raheel."
us ne wahin se faraz aur raheel ko awaz di.faraz to nahi per raheel zaroor aa gaya.
"raheel,dekho baba ko kiya howa hai."
"relax baji,mai dekhta hoon,aap paraishan na hoon."
taya ji ko ward mein shift kerney ke baad,raheel ne unhay check kiya.maha aur waleed bahar corridor mein baith gay.
"baba ne sab sunn liya hai,unhay dukh phuncha hai,sab meri waja se howa hai."
ye kehtey howey maha roney lagi.raheel ki awaz pe us ki dil ki dharkan rukney lagi.
"baji,woh theek hain,behosh hogay thay,lekin unka blood pressure high hai."
"to ye theek kaisey howey,raheel tum bhi na."
"baji,sab theek hai aur blood pressure control hojaye ga,aap paraishan na hon."
"faraz ko bulaya?"
"ji baji,mai ne bulaya hai,jaisey hi farig hoga aajaye ga.aap?"
us ne waleed ki taraf dekh ke poocha.
"ye unke betey hain."
waleed ne us ki taraf haath milaney ki garz se haath berhaya.
"waleed aslam."
"doctor raheel.kiya aap ke father ko pheley attack howa hai?"
maha ne hairat se usay dekha.
"ye kiya pooch rehay ho.baba bhut sehat maand hain,unhay kabhi attack nahi howa,bas gussa ziyada ata hai."
"nahi maha,unhay minor attack howa tha."
"what?kab?"
"jab tum dono ghar chor ke gay thay."
"yaAllah."
maha apna ser tham ke wahin baith jati hai.
***************************************************************
"chaand,baba theek hojayain gay paraishan na ho."
"kaisey theek hojayain gay,unhay meri waja se dukh phuncha hai,unho ne sab kuch sunn liya hai."
"sab theek hojaye ga.baba tumhay dekh ke bhut khush howey hain shayad yehi waja hai ke attack ke baad
woh itni ziyada khushi bardasht na ker sakey hon.bas tum paraishan na ho warna tumhay dekh ke unhay kuch
aur na ho jaye aur ager aisa howa to mujh se bura koi na hoga."
doctor raheel se baat kerney ke baad,woh maha ke saath hi baith gaya aur usay tasali deney laga.lekin
maha ko us ki tasali se bhi koi farq na para,is liye usay thora sa hansaney ke liye us ne baat ka rukh
badal diya.
"aab bhi aap se bura koi nahi hai."
waleed ne usay chonk ke dekha.
"kiya matlab?"
"kuch nahi."
usney muskuratey howey kaha aur apney ansoo saaf kiye.
"aisey hi raha karo achi lagti ho."
waleed ki is baat pe usay ghabrahat si honey lagi keh aab najaney woh aur kiya keh de.
"hum baba ko dekh lein?"
waleed us ki ghabrahat pe muskura diya.
"haan chalo."
woh dono kamrey mein dhakil howey to taya ji ko hosh aa chuka tha.unho ne haath ke isharey se maha ko
apney kareeb bulaya.
"ji baba?"
maha unkey kareeb aa gayi aur unka haath tham liya.
"baba aap jaldi se theek hojayain,aap ki beti bhut khush hai.aap bilkul fiker na kerain,bas jaldi se
theek hojayain.phir abhi to aap ne apni nawasi ko bhi nahi dekha."
"haan beta.mai jaanta hoon chahey kuch bhi hojaye tum apni zaban se kabhi shikwa nahi karo gi.ye sirf
aik baap jaanta hai keh us ki beti ko kitna bara dukh mila hai,woh kitna khush hai,chahey woh jitna bhi
chupa le."
"baba.."
maha taya ji ke seenay pe ser rakh ke roney lagi.
"ro lo beta ro lo ji berh ke ro lo keh aaj ke baad mai tumhay kabhi rota howa na dekhoon."
usi waqt faraz derwaza khol ke ander ata hai aur mahoul ki sangeedgi ko dekhta hai.
"ager ye drama khatam hogaya ho to kiya mai apney baba se mil sakhta hoon?"
maha foran seedhay hoke usay aik chapat lagati hai.
"ye drama nahi horaha tha.baba,ye mujhay bhut taang kerta hai aap zara is ke kaan khainchain."
"mai taang kerta hoon?baba ye mujh masoom pe jhoota ilzam hai."
us ki masnoyi narazgi pe sab hansney lagay.
"shuker hai,warna mai to samjha tha keh roney dhoney ka lamba programme hai."
"chaand beta,aik baat kerni hai?"
"ji baba mai yahin hoon,kahin nahi ja rahi lekin sab se pheley aap aram kerain phir hum batain kerain gay."
"chaand sunn to lo baba kiya keh rehay hain."
waleed ne usay tooka aur us ki baat maan ke woh taya ji ki baat sun'nay lagi.
"ji baba kahye?"
"beta tum aur faraz ghar wapis aa jao."
maha aur faraz aik dosrey ko dekhney lagay.
"baba aap pheley theek hojayain,yahan se discharge hojayain phir is silsiley mein baat kertey hain."
"nahi beta mujhay abhi jawab chahye."
maha thori dair soochney ke baad.
"theek hai baba lekin seema aur faraz ki shadi ke baad."
"seema ki kyon?seema aur tumhari shadi saath hogi,taakey seema us ghar se rukhsat ho to tum us ghar mein
kadam rakho."
maha taya ji ki ye baat sunn ke suun hojati hai.
"nahi baba ye mumkin nahi,kyon ke mai shadi nahi kerna chahti,ya ye samjh lein ke aab mai dosri shadi
nahi kerna chahti."
ye keh ke woh kamrey se bahir chali jati hai.
**********************************************************
bahir aa ke woh chair pe baith jati hai,aur taya ji ki kahi howi baton ko soochti hai.woh itni mahv hoti
hai apni soochon mein keh usay ehsas tak nahi hota keh uss ke baraber wali chair pe koi aa ke baitha hai.
"kyon paraishan hogayi ho?"
woh chonk jati hai.
"aap ne baba se bhi keh diya?"
"mai ne baba se kuch nahi kaha,unhay sab pata hai,is liye unho ne tum se baat ki."
"log kiya kahain gay?unkey taaney,unki nazrein,unke sawal aap ko chalni chalni ker dein gay.aap ko mujh se hazar
guuna achi unmarried lerki mil jaye gi,per mai...nahi.mai aik bewah hoon aur aik bachi ki ma aur aap
unmarried hain log kiya kuch nahi kehain gay."
"mai kuch nahi jaanta,mujhay logon ki perwa nahi.mai sirf itna jaanta hoon keh mai tumhay toot ke chahta
hoon aur tum se shadi kerna chahta hoon.mai tum dono ko bhut khush rakhoon ga aur ye baat mai daway ke
saath keh sakhta hoon keh tum jaisi lerki mujhay kahin nahi miley gi."
waleed ye sab keh ke wahan se chala jata hai aur maha apna ser tham leti hai.waleed apni ma aur seema
ko leney chala jata hai.faraz usay is terha baitha dekh ke us ke pas aa jata hai.
"kiya howa baji?"
"kuch nahi.sana kahan hai?"
"merey kamrey mein so rahi hai."
"baba aram ker rehay hain?"
"ji."
"to phir tumharey kamrey mein chaltey hain."
ye dono wahan se faraz ke kamrey mein aajatey hain.kaafi dair tak in dono mein koi baat nahi hoti.akhir
faraz ne kaha.
"baji maan jaye please."
maha usay hairat se dekhney lagi.
"faraz tum to atleast mera saath do,taakey mai baba aur waleed ko samjha sakoon."
"baji mai jaanta hoon aur aap bhi achi terha jaanti hain keh aap waleed bhai se aab bhi mohbat kerti
hain.raheel bhai se shadi ke baad bhi aap waleed bhai ko na bhula sakin aur aab unke proposal se aap is
liye inkaar ker rahi hain keh aap bewah hain aur woh unmarried.aap ko isi baat ka dar hai keh log kiya
kehain gay.baji logon ki perwa kerni chor dein kahin aisa na ho logon ki perwa kertey kertey aap aik baar
phir waleed bhai ko kho dein."
"faraz.."
"baji mai aap ka bhai hoon.aap lakh kahain aap bhut khush hain.per aap khush nahi.aap ki hansi mein aap
ki smiles mein something is missing.aap ko jhoot bolna nahi ata baji.aap baba se keh sakhti hain aur woh
maan bhi jayain per mai...nahi baji nahi mai nahi maan sakhta keh aap khush hain.yaad hai mai ne aap se kaha
tha keh mai aap ko khush dekhna chahta hoon,to baji na aap apni shadi pe khush theen aur na aap aab
khush hain...please baji please waleed bhai ko apna lijye woh aap dono ko bhut khush rakhain gay."
maha faraz ko dekhti reh gayi.
"mai sana ko le ke ghar ja rahi hoon,ye paisey hain,gifts raheel ke kamrey mein hain,dono bachon ke
ward mein baant dena."
"baji.."
"nahi faraz mai naraz nahi,lekin ager isi terha sawal hotey rehay aur isi terha ki batain hoti rahin
to mai sab se rooth jaon gi."
"baji.."
faraz,maha ke jaaney ke baad khud se kehta hai.
"sorry waleed bhai aap ne bhut dair ker di."
**************************************************************
Tayaji discharge ho ke ghar aajatey hain aur maha aur faraz apna saaman pack ker ke wapis ghar aanay ki
tayari.tayaji ko jab se pata chala tha keh woh dono ghar aa rehay hain,kaafi baichaini se intezar ker
rehay thay.
"saari tayari mukamil hai rukhsana?bachay kaafi arsey baad ghar wapis aa rehay hain koi kami nahi rehni chahye."
"aap befiker rehay sab tayari hogayi hai.lekin woh log abhi tak aay kyon nahi?"
"bas anay waley hain."
door bell pe sab derwazey ki janib mutawaja hoye.taya ji ne derwaza khola aur maha ko dekh ke khush hogay.
"jeeti raho beta,khush raho."
"baba, ye sana hai meri beti."
"mashaAllah bhut pyari hai.hum ne aap ke liye bhut sari chocolates rakhin hain,humari guriya khaye gi?"
"ji nana ji."
"baba humarey kamrey wohi hain ya phir hum kahin aur rehain gay?"
"nahi beta jo kamrey pheley thay wohi hain."
"theek hai baba,hum apna saaman rakhtey hain,phir aram se baith ke batain karein gay.chalo faraz."
"mum'ma mai nana ji ke pas hoon."
"theek hai per nanaji ko taang nahi kerna."
bhut si yadein,bhut si batain is ghar mein anay ke baad maha ko yaad anay lagin,jo woh kabhi bhooli nahi thi.
kuch bhi nahi badla sab waisa hi hai jaisa chor ke gay thay.faraz fresh honey ke baad sehan mein sab ke
pas aa gaya aur maha kitchen mein seema ke pas.
"chaand tum wahan sab ke saath ja ke baitho mai ker loon gi."
"haan haan jaaanti hoon tum ne sab bhut acha sambhal liya hai,lekin ager mai tumhari help ker loongi to kiya
hojaye ga?"
"tum to kerti rehti ho,is liye wahan jaa ke sab ke saath baitho mai bas khana laga rahi hoon."
us ki is baat pe maha usay dekhti reh jati hai.
"kiya dekh rahi ho?"
"seema mai wohi chaand hoon,mai bilkul nahi badli.sirf itna farq para hai keh aik bachi ki ma aur bewah hoon,
per tum sab ki wohi purani chaand hoon."
"iam sorry chaand,mera matlab woh nahi tha,bas tum abhi aayi ho to mujhay acha nahi lag raha keh tum direct
yahin aagain kitchen mein kaam kerney ke liye.acha khana tayar hai,tum sab ko bulao mai lagati hoon."
khana khaney ke baad sab taya ji ke kamrey mein aa gay.waleed abhi office se nahi aya tha.maha ne sana
ko kamrey mein ja ke sula diya tha.khoob batain aur hansi mazak ho raha tha keh taya ji ne woh baat
chhair di jis se maha bachna chahti thi.
"beta,to kiya soocha tum ne waleed se shadi ke mutaliq?"
"baba mera faisla aab bhi wohi hai.mai ne kabhi bhi koi bhi baat aap ki nahi ta'ali,per baba ye baat mai
nahi maan sakhti.log kiya kehain gay keh koi aur nahi mila unmarried lerkey se shadi ker rahi hai.baba
mai manhoos hoon aur jo manhoos...."
usi waqt waleed enter howa aur us ki ye baat sunn ke gussa hogaya aur usay aik thaper mara...
"shut up shut up just shut up."
"waleed kiya ker rehay ho?"
taya ji ne waleed ko toka.
"samjhti kiya ho tum apney aap ko,tum ho kiya.tumharey khilaaf kisi aur ke mounh se ye sab suno to us ka
mounh toor doon to tum kiya ho.najanay tumharey dil-o-dimagh mein kiya hai.batao mujhay duniya ki kon si
kitaab mein ye likha hai keh bewah se shadi kerna mana hai kyon ke jo shadi kerey ga woh mar jaye ga?"
"mai ne aisa to nahi kaha."
"aisa kaha nahi to keh do gi,bas isi ki kaser reh gayi hai.log ye log woh,tumhari zindagi mein humari koi jaga nahi
sirf tumhay logon ki perwa hai bas."
"waleed please.."
"mar gaya waleed aur ager tumhara yehi rawaya raha to aik din sach mein mar jaon ga."
"Allah na karey."
maha ne waleed ki ye baat sunn ke beikhtiyar kaha.
"kyon?kyon Allah na karey?mai mar jaon ga to tumhay sakoon mil jaye ga,aur waisey bhi merey merney se tumhay
koi farq nahi parey ga kyon ke tumhay logon ki perwa hai meri nahi."
"please chup hojayain,please chup hojayain,mat kerain aisi batain."
ik dum se kamrey mein san'nata chah gaya.baba,amma,seema,faraz,waleed sab apni apni jaga khamosh thay,
sirf maha thi jis ki siskiyan kamrey mein goonj rahi thi.waleed apni jaga se utha to maha usay is terha
kharey hotey dekh ke dar gayi,keh aab najaney woh kiya kehney wala hai.
"mai aaj raat ki flight se america ja raha hoon,jaaney se pheley mujhay apna faisla suna dena aur sooch
samjh ke faisla kerna keh tumharey aik "haan" se meri zindagi badal jaye gi aur tumharey ik "na" se mai
kabhi bhi pakistan wapis nahi aaon ga,aur logon ko aik side pe rakh ke faisla kerna keh logon ka kaam
hai batain bana'na kisi ke merney pe bhi aur kisi ki khushi pe bhi.bas itna yaad rakhna keh mai tum dono
ko bhut khush rakhoon ga aur ager logon ne kuch kaha to phir mujh se bura koi nahi hoga."
ye keh ke waleed kamrey se chala jata hai.
"baba,please aap unhay samjhayain woh aisa na kerain please baba."
maha rotey howey tayaji ke kadmon mein baith jati hai.
"woh samjhney ki kaifiyat mein nahi hai beta.jaanti ho ye wohi waleed hai jo tum se shidat se nafrat
kerta tha aur aaj usay dekho,koi nahi keh sakhta ye woh waleed hai.woh tumhay bhut chahta hai aur jo us
ne kaha hai woh aisa ker bhi de ga.dekho beta ye mat samjhna keh mai us ka baap hoon to us ki side le
raha hoon per ye sach hai beta keh woh tum dono ko bhut khush rakhay ga.meri to humaisha se khwashish thi
keh tum is ghar ki bahoo bano,per aaj seema,tumhari maa,waleed faraz,sab chahtey hain keh tum is ghar ki
bahoo bano."
"baba, woh mujh jaisi lerki nahi chahtey thay aur mai to bilkul nahi badli waisi hi hoon,phir aisa kiya howa
keh woh mujhay apna'na chahtey hain?"
"tum ne us se nahi poocha?"
maha ne naafi mein ser hilaya.
"beta us se poocho phir,lekin faisla ker leney ke baad kyon ke mai jaanta hoon woh na to tum pe taras kha
raha hai aur na hi humderdi,sirf mohbaat hai.per phir bhi tum jaan'na chahti ho to us se poochna keh woh
kyon kerna chahta hai tum se shadi."
tayaji ye keh ke usay apna faisla kerney ke liye tanha chor detey hain.faraz seema aur tayi ji bhi kamrey se chaley jaatey hain
aur woh aab waleed ki baton ko sooch rahi thi,aik aik baat,us ne kiya kaha tha jab woh ghar chor ke ja
rahi thi.kaafi dair tak woh soochti rahi aik aik pehlo per aik aik lamhay ke mutaliq,khas tor pe sana
ke mutaliq aur akhir us ne faisla ker liya.lekin bhut dair ho chuki thi waleed airport ke liye nikal
chuka tha.
"faraz waleed ko dekha?"
"woh to chaley gay,abhi unhay airport chor ke aa raha hoon."
"theek hai,mai ja rahi hoon tum sana ka khayal rakhna."
"ji baji,per faisla to sunati jayain?"
"aa ke bataon gi,unhay rokna bhut zaroori hai,kahin aisa na ho bhut dair hojaye."
faraz soochta raha keh maha kiya keh gayi hai aur jaisey hi usay samjh aya usnay beikhtiyar zor se kaha
jaisey maha wahin khari hai.
"I love you baji,aap bhut achi hain."
seema us ke pas aayi aur poocha.
"kiya howa?"
"baji maan gayeen.tum nahi jaanti seema mai kitna khush hoon,mai unhay humaisha khush dekhna chahta tha,
aur mujhay humaisha nakaami howi.mai kabhi jaan hi na saka keh baji waleed bhai ke saath hi khush reh
sakhti hain.mai bhut khush hoon bhut khush."
faraz ke chehrey se hi nahi us ki bataon se bhi khushi jhalak rahi thi aur seema usay pheli baar itna
khush dekh rahi thi.
idher maha airport phunchi to nigahain waleed ko hi dhoond rahi theen,per woh kahin nazer nahi aa raha
tha.
"nazer kyon nahi aa rehay kahin chaley to nahi gay?"
us ne apney aap se kaha.
"nazer kaisey aayain gay,mai yahan baitha hoon."
maha ne chonk ke dekha waleed samney baitha tha.woh us ke pas aa ke baith gayi.
"aap gay nahi?"
waleed usay dekhney laga.woh jaanta tha keh us ke musalsal dekhney pe maha ghabra jati hai aur aisa hi howa.
woh ghabrahat mein apna duppatta sahi kerney lagi,jo pheley se hi sahi tha.
"yaar,sahi hai duppatta,khaberdaar jo aab tumhaara haath ser pe gaya,mai kisi ka lihaaz nahi karoon ga
aur tumhara haath paker loon ga."
maha us ki akhri baat pe dar gayi aur apney dono haath goodh mein rakh liye,aur ser jhuka diya.
"flight late hai is liye yahan baitha hoon."
maha ne kuch nahi kaha.kaafi dair tak dono ne apas mein koi baat nahi ki.maha ko samjh nahi aa raha tha
keh kaisey iqraar karey aur kis terha poochay aur waleed maha ke jawab ka muntazir usay tazabzub ki halat
mein dekh raha tha.akhir waleed ne pehal ki aur woh zameen pe ghutney taik ke maha ke kadmon mein baith
gaya.
"ye aap kiya ker rehay hain?"
"ssshhhh tum bas suno aur meri baat ka jawab doo.meri taraf dekho chaand."
maha jaanti thi woh kiya kehney ja raha hai,is liye us ki ankhon mein ansoo anay lagay aur woh waleed ki
taraf dekhney se guraiz ker rahi thi.lekin usay dekhna para.waleed ne kehna shuru kiya.
"chaand,mai tum se bhut mohbaat kerta hoon,tum se ishq kerta hoon,tum se shadi kerna chahta hoon.mai tum
dono ko bhut khush rakhoon ga,kiya tum mujh se shadi karo gi?mera haath thamoo gi?"
waleed ne usay propose kiya aur apna haath agay berhaya.per maha apna ser jhukaye ansoo bahati rahi aur
soochney lagi keh us se kaisey baat karey,kaisey poochay,kaisey jawab de.
"bolo na chaand?kiya howa?kyon ro rahi ho?"
"aap oper baithain idher aaye."
waleed oper us ke pas baith gaya aur usay dekhney laga..
"aap...aap mujh se shadi kyon kerna chahtey hain?aap ko to bold lerkiyan pasand hain,jo nazron se nazrein mila
ke baat karey,mohbaat ho to us ka iqraar karey,aap ko ghabrayi howi si,shermayi howi si lerkiyan achi
nahi lagti phir kyon?mai aab bhi waisi hi hoon,jaisey pheley thi,phir kiya wajah hai jo aap mujh se
shadi kerna chahtey hain?"
waleed usay dekhta reh gaya aur us ke dekhney ka hi aser tha keh woh apna ser se phisalta howa duppatta
sahi kerney hi lagi thi keh waleed ne us ka haath paker liya.
"kaha tha na keh dobara ser pe haath gaya to paker loonga.to aab suno,tum dono ke jaaney ke baad,baba ne
apney kamrey mein mujhay bulaya tha,aur jo inkashafaat howey,us ne yakser mujhay badal ke rakh diya.baba
ne mujhay bataya keh tum mujh se mohbaat kerti theen aur phir us din se mai ne tumhay pagalon ki terha
taalash kiya,per tum nahi mileen.tum mujhay har taraf nazer aatin aur phir mai raat raat bhar jagta rehta,
chaand ko dekhta aur usay dekh ke iqraar kerta,phir akhir tum mujhay mileen lekin kis terha?jab tum ne
mujhay bataya keh tum bewah ho aur aik bachi ki maa,to mai toot gaya bikhar gaya,lekin mai teh'hya ker
chuka tha keh mujhay tum se hi shadi kerni hai.tumhari saadgi,tumhari sharam-o-haya yehi woh cheez thi
jis sey mai nafrat kerta tha,tum se nafrat kerta tha aur yehi cheez mujhay deewana ker gayi aur mai tum
se ishq kerney laga.tumhay propose kiya to tum ne logon ki perwa kerni shuru ker di keh log kiya kehain gay
aur mujhay tum pe gussa anay laga keh tumhay humari perwa nahi,logon ki hai.lekin mujhay dair mein samjh aya keh
tumhay logon ki nahi,humari perwa hai,tum nahi chahtin keh log baba ko,amma ko,seema ko,faraz ko ya mujhay
kahein aur ager aisa howa to tum bardasht nahi ker sako gi is liye tum inkaar kerti rahin aur merey dil mein
tumhari mohbaat berhti gayi."
waleed ye sab keh ke khamoosh hogaya aur maha ko dekhney laga,jo aab tak ansoo baha rahi thi.
"yaar Khuda ki bandi please rona baand karo aur batao mujh se shadi karo gi?"
maha ko ehsas howa to us ne foran apney chehrey se ansoo saaf kiya aur waleed ke berhay howey haath ko dekhney lagi.
"yaar gazab Khuda ka sab kuch bata diya,aab bhi tum chup ho,aab kiya paraishani hai?aik to is phone ko
bhi abhi bajna tha."
waleed ne jhunjalatey howey phone recieve kiya,dosri taraf faraz tha.
"kiya jawab diya baji ne?"
"tumhari baji roye ja rahi hain aur jawab nahi de rahin."
"to phir theek hai mai hold per hoon,jab tak woh jawab nahi deteen,kyon ke yahan sab muntazir hain."
"ok theek hai."
waleed ne phone per se tawaja hata ke maha ko dekha.
"dekho aab ager tum ne jawab na diya to mujh se bura koi na hoga."
waleed ne kuch is terha kaha keh maha ki hansi choot gayi.woh gussa honey laga.
"haan tum hans lo.tumhay meri perwa thori hai,tumhay to logon ki...."
"mujhay manzoor hai."
maha ne us ke beech mein bola jo woh apna jumla mukamil na ker saka,aur maha ko aisey dekhney laga jaisey
us ne kuch ghalat suna ho aur phone pe faraz se poochney laga.
"yaar tum ne kuch suna?"
maha jo iqraar kerney ke baad apna ser jhuka ke baithi thi,waleed ki is baat pe apna ser peet ke reh gayi.
"kiya waleed bhai!humain awaz aa gayi aur aap to itney kareeb hain aap ne nahi suna?"
"waleed kiya ker rehay hain?"
"tum ne kuch kaha tha phir se bolo?"
maha ne sharam se apna ser jhuka diya.
"yaar sharmana baad mein,pheley batao tum ne kiya kaha,dekho announcement bhi horahi hai."
"mai ne kaha mujhay manzoor hai."
"really?"
waleed ko aab bhi yaqeen nahi aa raha tha.
"ji."
"ji?"
"ji."
"I love you."
waleed ne itni zor se kaha keh aas pas ke log dekhney lagay.maha ne ghabra ke waleed ka bazoo paker ke usay bithaya.
"waleed hum teenager to nahi hain log kiya kahain gay."
"ufff phir wohi log mai bhool gaya tha.acha aab mai ander ja raha hoon,rona nahi hai.kaam khatam ker ke wapis
aaon ga,ziyada din bhi lag sakhtey hain.apna khayal rakhna aur sab ka bhi.ok mai chalta hoon."
waleed jaaney laga,phir kuch yaad anay per,us ke pas aya.
"yaar dil nahi ker raha,sooch raha hoon nikah ker ke jaon,taakey tum se baat to ho sakey,nahi to meri
awaz sunn ke hi ghabra jao gi aur bolo gi aik minute mai baba ko bulati hoon."
us ke is andaz pe maha jo udas khari thi hansney lagi.
"acha aab jaye flight mis hojaye gi."
"aisey hi rehna,jab mai wapis aaon to tumhay aisey hi dekhon suna?"
"ji."
"Allah hafiz.I love you."
"Allah hafiz."
waleed ander chala gaya aur maha ne zer-e-lab kaha.
"I love you too."
jab tak waleed uski nazron se oojhal nahi hogaya,tab tak maha wahin khari rahi,jab waleed chala gaya to woh ghar
ke liye main road ki taraf anay lagi,taakey ghar ja ke sab ki khushi dekh sakey.
Bookmarks