ik shakhs ko dekha tha taro ki tarah humne
ik shaks ko chaha tha apno ki tarah humne ik shakhs
ik shakhs ko samjha tha phoolon ki tarah humne
wo shakhs qayamat tha kaya us ki kare bate
din us k liye paida aur us ki he thi raaten
kab milta kisi se tha hum se thi mulakate
rang us ka shahabi tha zulfo main thi mahkare
ankhe thin k jadhu tha palken thi ya talware
dushman bhi agar dekhe so jaan se dil hare
kuch tum se wo milta tha baato main shabahat thi
han tum sa he lagta tha shokhi main shararat main
lagta bhi tum sa he tha dastoor-e-mohabat main
wo shakhs hamin ik din apno ki tarah bhiula
taro ki tarah dooba phoolon ki tarah toota
phir hath na aya wo hum ne bohat dhoondha
tum kis liye chonke ho tum kis liye chonke ho
kab zikar tumhara hai kab tum se takaza hai
kab tum se shakait hai ik taza hekaiyt hai
sun lo to inayt hai ........
Bookmarks