Koi mousam to aisa ho
Kay jab bichray huon ki yaad kay jugnu
Chamak kho dein
Kisi kay hijr main ronay say pehlay hi
Meri aankhain kabhi so dein
Koi mousam to aisa ho
Kay jab sab phool ulfat kay
Kisi anmit mohabbat kay
Merey dil main khilain par
Un main woh khushbu na ho baqi
Woh khushbu jo tumharay qurb say mehsoos hoti thi
Koi mousam to aisa ho
Kay dil kay zakhm bhar jaein
Agar aisa nahi hota to phir
Kitna hi acha ho
Kay saari khuahishein dil ki
Woh sarey khuab aur arma'n
Yun'hi ghut ghut kay mar jaein
Mujhay aazaad kar jaein
Koi mousam to aisa ho
Kay jo mousam tumhari yaad ka mousam na ho...
Bookmarks