door ik jazeray par ik udas larki hai
aankhain us ki bojhal si
un main khuwab andekhey
khuwab dekh bhi lay gar, tabeer say woh darti hai
door ik jazeray par ik udas larki hai
...rooh us ki roti hai
man ka meet paney ko
hont us kay bay kal hain
dil ki baat kehney ko
rooz sochti hai woh
chordon jazera hai
hath thamoon dilber ka
aur jabasoon us aangan main
jis main saath soraj kay khosian bhi utarti hain
door ik jazeray par ik udas larki hai
par, apna yeh jazera woh,
chor bhi nahin sakti
gham kay is jazeray ney,
us kay phailey daman main
jitney dukh bhi daley hain
jitney gham bhi bakhshey hain
sarey doosron kay hain
us ki kali qismat main
phaili hai jo tareeki
chaya hai jo san'nata
sara doosron ka hai
us ney apney rishton say pai hain jo zanjerain
us kay paon kay neechey, jo aseer khana hai
us aseer khaney ko, chorna bhi chahey to, chorney say darti hai
apney rishton kay bandhan, torna bhi chahey to, torney say darti hai
gham kay qaid khaney main
janey kab say tanha hai,
janey kab say woh apni khosion ko tarasti hai
door ik jazeray par ik udas larki hai
ik udas larki hai
Bookmarks