Basti basti khor udasi parvat parvat khali pan,
man hira bemol lut gaya ghis ghisri ka tan chandan,
is dharti se us ambar tak do hi chiz gajab ki hai,
ek to tera bhola pan hai ek mera deewana pan
Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai,
bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai,
yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin,
mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai
Jiski dhoon par dunia naache dil ek aisa taara hai,
jo tumko bhi pyaara hai jo humko bhi pyaara hai,
jhoom rahi hai saari dunia jabki humaare giton par,
tab kahti ho pyar hua hai kya ahsaan tumhara hai
Bahut bikhra bahut toota thapde sah nahi paaya,
hawaon ke isharon par magar main bah nahi paaya,
adhoora ansuna hi rah gaya ye pyaar ka kissa
kabhi tum sun nahi paayi kabhi main kah nahi paaya
Bookmarks